Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 351
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I want to ask that if we know about a person that he does not offer his prayers can we merry him and if propsole of any momin does not come what should we do?

Answer: Agar gumrahi aur inhiraaf ka darr ho to jaiz nahi hay.Ref:www.sistani.org (urdu) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 364
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Does Allah make pairs for marriage before birth or He has given us the choice of marrying someone suitable.In other words is it really a fact that marriages are made in heaven even before a person is born?

Answer: islam ne shadi ke maamale me insan ko apani pasand or napasand ka pura ikhteyar daya he. or shariee hudud ka khiyal rakhte hue ladke or ladki ko ek dusare ko dekhane ki bhi ejazat di he. ye jumala jo kaha jata he ke jode asmaano par bante hain is ka hargiz ye matlab nahi he ke Allah ne insan ko majboor kar daya he. balke is se murad yeh le sakte hain ke shadi ke baad jo do insano ka rishta qaim hota he wo parwardigar ke pehle se maloom hota he. .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 365
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it really a fact that marriages are made in heaven before birth or Allah has given this choice to man? Secondly is it okay to watch television drama series which do not have songs and dances in them?

Answer: islam ne shadi ke maamale me insan ko apani pasand or napasand ka pura ikhteyar daya he. or shariee hudud ka khiyal rakhte hue ladke or ladki ko ek dusare ko dekhane ki bhi ejazat di he. ye jumala jo kaha jata he ke jode asmaano par bante hain is ka hargiz ye matlab nahi he ke Allah ne insan ko majboor kar daya he. balke is se murad yeh le sakte hain ke shadi ke baad jo do insano ka rishta qaim hota he wo parwardigar ke pehle se maloom hota he. .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 370
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr kisi wja sai koi larki 24 sal ki umar tk haiza na ho or medical reoart k mutatbiq us mai koa kami ho to kia wo larki kisi sai shadi kar sakti hai ?

Answer: kar sakti he (ref:al-masailul muntkhba Aytullah Seestani (d.b.) masala no.966) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 469
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamualaekum mera sawal a hai k kya mae meri biwi kaa badan barhana(nude)mubashrat k dauraan dekh sakta hon kya meri biwi bhi mujhe usi halat me dekh sakthi hai

Answer: Mian bewi aik dosray ka poora badan dekh saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.327 Aytullah Seestani (d.b.) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 478
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam-u-alaiakum janab mera sawaal ye hain ka mari shadi hone wali hai to app se ya poochna cahta hu ka biwi ka sath jansi talluqaat qayam karne ka tariqaqar kya hai islam ki rooh sa mai app ka jawab ka intazar karu ga. shukariah

Answer: miya-biwi jis tarh bhi dono razi ho ek-dusre se lazzat utha sakte hain. haiz ki halt me jemaa karna jaiz nahi he or maqaad me dukhul nahin karna chahiye.(www.sistani.org. topic: ham bistari q.5) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 507
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jesay ayatullah sistani k hisab se hai tou kya ayatullah khamnai k hisab se bhi kya larka larki khud shadi ker sktay hain baghair kisi wakeel k ???

Answer: aap www.khamenei.ir par ruju karain .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 523
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaam janaab mera ek Q. hai ki mujhe hum bistrai ki doa nahi aati aur meri jaldi shaadi hone wali hai kya aap mujhe doa mail kar sakte hai me aap ki mail ka intzaar kar rahaa hoon khudha hafiz

Answer: is mawqe par khas koi dua padhna wajib nahi he, albtta shabe jufaf ke kuchh aadab he k jo mutaleqa kitabo me mil jayengain. .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 530
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar mai sunni ladki se shaadi karu toh jayaaz hai hai toh kaise

Answer: agar gumrahi ka khof n ho to sahih he, albtta ye tabaee tor unhi logo me se ho sakta he jo ahlebayt ahlhemusslam se dushmani rakhne wale n ho.(ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part-1 page 70) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 588
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujhe sunni ladki pasand hai kia me us se shadi kar skta ho.

Answer: jaiz he agar woh nasebi na ho (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2406) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!