Question: aurat k aglay maqam main hambistari /jima(Intercourse)say bacha hota hai ya peechay k maqaam say?
Answer: Aurat k agay k maqam main hambistari(jima) krnay say bacha paida hota hay.Mazeed ye k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k razi nah honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi razi ho tab bhi shadeed makhroh hay. (ref: Ayat ullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: keya may wife kay nipple ko mooun may lay sakta houn kay nahi .
Answer: Wife k nipple ko mooun may layna jaaiz hay.laikin agar shohar biwi ke breast(nipple) ko suck karey aur usmai doodh aa jaaye, toh oska koe kaffarah nahi hay.laikin ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#6) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia admi apni bivi ki back me sex kar sakta ha
Answer: Aurat k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tab bhi shadeed makhroh hay. (ref: Ayat ullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: shohar ladki ko sex kam karta ho to kiya laki ko ijazat he ke wo dusra nikah kare?
Answer: Agar shohar bivi k sex ki khahish ko mukammal taur per pora nah kerta ho(yani kam sex kerta ho) jis ki wajah say bivi ko gunah main perhnay ka khatrah ho tu,is sorat e haal main ehtiyaat e wajib ye hay k shohar bivi k sex ki khahish ko pora karay ya is k talaaq k mutaalbay ko pora karay,laikin agar shohar aisa nah karay tu bivi ko sabar or intizaar kerna chahiay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #418). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Hamara nikkah ho chuka hay. Rukhsati 2 years k baad hay but kabhi kabhaar phone per hum oral sex kar letay hain kiya yeh Islam mein jayaz hay?
Answer: Nikah k baad bivi say shewat(lazzat) wali baat kerna kerna bhi jaiz hay.jaahaan tak phone per shehwat (laazat) wali baat kernay ki baat hay tu ye khiyaal rahay k is kaam say aap haraam kaam(maslan istimna(hand practice)) main nahi perhain gay,tu phone per lazzat wali baat kerna jaiz hogi.(Ayat ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masaail,maslah#396,452) . .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: i want to merry in abroad what you suggest me.
Answer: Mard ko chahae k jis aurat se shadi karna chahta he os me in sifaat aur khososiat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me shohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232) .Update on dated 06-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya main shadi ki raat agar bivi ko sex karoon ur sath hi condom use karoo to ky ye jaiz hai ya nahi ans me soon
Answer: shohar k liay jaiz hay k wo condom ko istimaal karay laikin is maqsad k liay ehtiyaat e wajib ye hay k pehlay apni bivi say ijazat lay lay.(Jadeed fiqhi masail,Maslah#455,Ayatullah seestani(d.b). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: jayaz tariqe se pasand karke shadi karna hai kya islam main?kya yeh jayaz hai
Answer: kisi bhi ghair ekhteri amal per shariat koi hukum nahi lagati laikin yaad rahey k shariat kisi bhi aisay irtebat ya mulaqaat ki ijazat nahi deti jo in’hain haram ki taraf le janey wala ho.(insaan apne pasand ki shadi kar sakta hai) (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) .Update on dated 06-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mubashrat kerte waqt ladka or ladki ko ek dosre ka pura jism dekhna kya haram hai
Answer: Jima kartay waqt aurat ki faraj ki taraf nazar karna makrooh he.poray kaprhay utaar(berhana ho ker) ker jima kerna makroh hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 , masla # 5) .Update on dated 30-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: maine apne biwi ke piche jema kiya uska kaffara bataye please
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay or koe kaffara nahi. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). .Update on dated 30-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).