Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3255
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam o alikum kia mangtar ko kiss karna ya us sa milna or phone par bat karna jaiz hai?

Answer: 1-Mangetar ko kiss(bosa) kerna jaiz nahi hay, Q k wo aap k liay na-mehram hay.() Kisi bhi na-mehram aurat ka merd k badan ko haath lagana jaiz nahi hay or isi terah kisi bhi merd ka na-mehram aurat ko chomna jaiz nahi hay.or Mangetar na mehram hay is liay osko kiss kerna bhi jaiz nahi hay. (Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masail, masalah # 259,239). Mangeter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3263
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ham pyar kar sakte hain?agar kar v liya ho to kya ye gunah hai?

Answer: Na-mehram lerkay or lerki ka apas main doosti kerna or piyaar o muhabbat jaiz nahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),mujtahid se pochay gay sawalaat,part#4, sawaal# 125). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3276
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: na-mehram ka kya matlab hai...plz btao..

Answer: Mehram wo qareebi rishta-daar hotay hain jin se kabhi nikah nahi kia jasakta maslan aik merd k liay mehram khawateen o ski maan behan, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhanji,saas hain.Or wo afraad jin ka aik dosray k saath nikah kerna jaiz hay wo aik dosray k na-mehram hotay hain maslan chaha zaad, phophi-zaad, khala zaad, isi terah dosr ajnabi merd or khwateen.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah#2349,2360, pg#478 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3297
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ma apna mangator sa saathe phone pa baath karti hun or baz dafa hum crong side mean (sex discussion )bhee kar latain han par physically miltain han to na koi ghalat baath kartain han na ghalat kam is ka mutaliq bata dan

Answer: Mangeter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3315
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia larki or larka aik dosray say shadi ki gharz say bat cheet karsaktayn hayn? ta k aik dosray k khayalat say waqif hosakayn.. or bat cheet deeni mozoaat pay ho..itz premissble or not?

Answer: Agar dermiyaan main aisi batain nah ki jain jo aik musalman k shayaan e shan nahi hain tu koe haraj nahi(Ref: mujtahid se pochay gay sawalaat, part#4, pg#65).

Id: 3318
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya shadi se pehle larki se phone par sex ki bat karna jayaz hai. jis larki se mangni ho chuki ho.

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Mangetar ko kiss(bosa) kerna jaiz nahi hay, Q k wo aap k liay na-mehram hay. Kisi bhi na-mehram aurat ka merd k badan ko haath lagana jaiz nahi hay or isi terah kisi bhi merd ka na-mehram aurat ko chomna jaiz nahi hay.or Mangetar na mehram hay is liay osko kiss kerna bhi jaiz nahi hay. (Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masail, masalah # 259,239). Mangeter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3326
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa Sir mere age 20 year hy r mojhe grmi bahot hoti hy jis ki wja c main mushakt zni karta hun aysa wazif btayn ya mere shadi ho jay ya yeh adadt chot jay wslam

Answer: Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 2. First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010) Translate: sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah kin a-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). Shadi ki liay Wazifa: 1. Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 3. Shadi honay k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafaat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601) 4. sorah taahaa ki ayat # 131 or 132 ko lerki k baazo(arm) per baandh diya jay insha allah jald rishta aay ga.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 328) 5. Jo mard aurat shadi chahte hein. Wo surah e taha ayat # 131,132 (wala tamud’dannah. . . . .. . .. . .. lit taqwa) ka taweez likh kar gale me dalein. is ayat ke bad darood bhi likhein. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 282)

Id: 3349
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ladkiyon ko bleaching ya waxing karna jayaz hai ? kya unko hath ya pair par se waxing karke baal nikalna jayaz hai ? aur chehre ke baal ke liye wo bleaching karte hai kya wo bhi jayz hai ? with references

Answer: There is no problem as long as it does not lead to serious bodily harm.( E-mail Rcvd From A.Sistani(d.b), dated:Mar 13, 2012) 1-Translate: Is kaam{bleaching / waxing} main koe haraj nahi hay jab tak is amal se koe bohot hi shaded jismani nuqsaan nah pohnchay.( E-mail Rcvd From A.Sistani(d.b), dated:Mar 13, 2012) 2-Cheray k baal saaf kerne or abroon ko sedha kerne se chehray ko zahir kerna mana nahi hojata hay,is shart k saath k haram kaam main mutila nah ho or cheray ko zahirr kerne ka maqsad bhi ye nah ho k os par na-mehram merd ki nazar perhay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masa,il, maslah#524).

Id: 3366
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai ek larki se payar karta hu aur o mujh se payar karti hai ki nahi mujhe pata nahi uska sadi mere chacha ke larka se tay ho gaya hai. Keya mera usse sadi hoga

Answer: jins e mukhalif se dosti kerna (mohabbat) jaiz nahi koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3398
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If you and your partner have fully committed to marrying each other and the marriage dates have been fixed, can the two of you engage in some form of physical contact before marriage? (i.e. kissing, touching, hugging)

Answer: No it is not before marriage.(Ref: jaded Fiqhi masail, maslah#439,467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!