Question: salam mara sawal ye hai k ager kissi k matay per zada ball hain tuo kiya un ko bhi chopna hai , ager koi larka body buliding keray tuo kiya ye qulat hai.yani ak terhan say uss ka ye kam zeenat hogaya . wassalam
Answer: Jee haan,Khawateen kay liye na-mehramoo say chehray aur hathoo kay ilawa baqi tamam badan aur baaloo ka chupana wajib hay.Ref:Book-1 Q.No.140...Larkoo kay body building karnay main bazat-e-khud koi haraj nahi hay,jaisay mard kay chotee aasteen ki qameez pehenna aur eye brows banwana jaiz hay.Ref:Book-4 Q.No.123,135...Haan albatta aurat kay liye na-mehram mard kay jism par nazar daalna Lazzat kay iraday say aur haram main mubtala honay kay khouf kay saath Haram hay balkay Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par lazzat ka irada aur haram main mubtala honay kay khouf na ho tab bhi nigah nahi daalni chahiye.laikin agar aurat mard kay jism kay un hissoo masalan SAR,DONO HAATHOO,aur DONO PINDLIOON par jinhain umooman mard nahi chupatay lazzat kay iraday kay baghair nazar daalay aur haram main mubtala honay ka khouf na ho to koi Ishkaal nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2392.
Question: Apnay mehram (male) k samnay kisi female (us ki na mehram) ki tareef bayan karna jaiz hai?
Answer: Agar Shehwat ubharnay ka baais na ho to koi haraj nahi hay.Ref: Istiftaat A.Sistani I-5.
Question: Assalaamualikum my name is huda i m 14 years old mera sawal yeh hai kay kya hum male doctor sey test (blood test, hepatiatis , sugar test etc ) kar wa saktein hain jabkay hamain jan ka khatra bhi nahi hai. Thank you
Answer: Aurat agar na-mehram mard say apni kisi aisi beemari ka ilaj karanay par majboor ho jiska ilaaj wo behtar tor par kar sakta ho to usay ijazat hay kay wo na-mehram mard say apna ilaj karwa sakti hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2400.
Question: Salaam,mera sawal yeh hai key main balig hoon aur mera cousin na balig hai to kya mera os key samney parda karna wajib hai ya nahi
Answer: Aihtiyaat e lazim ki bina par apna badan aur aar k Baal us larkay say bhi chupaey jain jo abhi baligh to na hoa ho laikin achay aur buray ko samajhta ho aur aihtimaal ho k aurat kay badan par us ki nazar parhnay say us ki jinsi khwaahish baidaar ho jaey ge,Is k alawa main na-baligh say badan chupana wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: in hijab kiya yeh zaroori hai kay apna munh poora chupaya jaye
Answer: Aurat kay liye zaroori hay kay apna badan aur baal Na Mehram say chupaey Laihaza iskay alawa main chehra aur kalaiyoo tak haath chupana zaroori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399) Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)..
Question: SALAM main ek teacher hoo kia main girls ko para sacta hoo
Answer: Jaiz hay agar haram main parnay ka khouf na ho (agarchay wo haram main parna haram nazar hi say kion na ho) lihaza agar haram main parnay ka khouf ho agarchay rafta rafta hi sahi to phir ye jaiz nahi hoga.Ref:Istiftaat A.Sistani S-48.
Question: salam.muje ye pochna ha k agar koi apni biwi se baat karey phone pe aur baat krte hue ya kuch soch k uski mani kharij hojae,to uskey barey mai kia hukum ha?kia is se gunah hota ha aur ghusl wajib hojata hai?aur ehtelaam kisey kehtye hain?
Answer: 1, woh rutubat jo kabhi kabhi shewat ubharnay par mard kay aala-e-tanasul se kharij hoti hai usay "mazi" kehtay hain jo paak hai, lehaza is par ghusl-e-janabat nahi hoga. aur guna bhi nahi hoga kyon ke woh miya biwi hain. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 70+nikha ke ahkaam, pg 25+334. 2, insaan ka aik khaas had tak pochna, ke jis kay saat woh qadir ho jai mani kay nikaalnay par (is se farq nahi parhta ke yeh halat-e-need mein ho ya jaagtay huway). REF: mustalihaat-e-fiqh, buloog, pg no. 107.
Question: Mera sawal yeh hai kai kia sohar apni biwi ki sharamga ko dekh sakta hai or kia biwi apnai sohar ki sharamga dekha sakti hai?
Answer: ji haan, shohar aur biwi aik dusray ki sharam-gaah dekh saktay hain. REF: A.Sistani, jadeed fiqhi masail, masla no: 401, pg no. 255.
Question: ASSALAM O ALIKUM AGAR KOYE LARKI LARKON SAY DOSTI NAHI KARNA CHAHTI. MAGAR WOH UN KO ISLAM KI BATAY BATATI HAY .tu yeh jaiz hay ya nahi?
Answer: agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein parnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139.
Question: Salaam. Mera sawal yeh hai kay kya hum recorded programs jin main baz dafah na mehram kay shoulders ya gardan kay hissay dikh rahay hotay hain . Hum issay dekh saktay hai ya nahi? Thanks.
Answer: aurat kay liyay na-mehram mard ke jisim par nazar dalna haram hai, lekin aurat mard kay jisim kay un hisso eg. sar(head), dono haath, dono pindliyoo par jinhain urfan chupana zaroori nahi hai, lazzat kay iraday kay bagair nazar dalay aur haram mein mubtila honay ka khauf na ho to koi haraj aur ishkaal nahi hai. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 2392.