Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2067
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: pahli shohar ki beti dosre shohar k lye mehram ha k nae

Answer: 1)Agar koi shakhs kisi aurat say nikah karay aur is k sath hambistri karay to phir is aurat ki larki is mard ki mehram ho jati hay chahae wo nikah k waqt majood ho ya bad may paida hon. 2)Agar koi shakhs kisi aurat say nikah karay aur is k sath hambistri na ki ho to jab tak wo aurat os k nikah may rehay ethiat wajib ki bina par os waqt tak os larki say nikah na karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2351-52) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2140
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam-o-Alikum! kia khawateen ka beautician ka cource ya kaam jaez hai?

Answer: Beautician ka cource kernay main ba-zaat e khud koe haraj nahi rakhta he. (ref : kitab nigah aur libas Sawal # 161-2 Pg # 96) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2237
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia nikah se pehlay apni mengetar se phone pe baat ker sakta hon sirf is liay k mera khayal kisi or ghalat cheez pe na jay balke usi se batain ker k dil laga rahay.

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Id: 2276
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is love is rong in islam and also love marrieg

Answer: Kisi bhi ghair ikhtari amal per shariat koi hokum nahi lagati he lakin yad rahey , shariat kisi bhi aise artibat ki ijazat nahi deti jo inhein haram ki taraf le janay wala ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). Pasand ki shadi ko islam na-pasnd nahi samajhta.balkeh munasib hay k merd jis khatoon se shadi kerna chata hay os main in sifaat ko paish e nazar rakahy jo aik misaali khatoon main honi chahiay jo paak daaman, shareeful asl or naik ho or dunyavi or ukhravi mamilaat main shohor ki madad gaar sabit ho.merd k liay munsib nahi hay k bivi k intekhaab main iski nazar sirif oska zahiri husun wa Jamaal or maal o daulat ho. Isi terah aurat or os k wali(baap/dada) ko chahiay keh on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho.( Ref:A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 386,387) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2297
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr kisi grl ko hum touch bi kr lain to kiya zina ha ya us ki sahram gaha ko bi just touch kr lain to kiya zina ha aur is ka kufara kaisy ada hogga umed ha ap mery 2 sawal han us ka ans jadl daingy

Answer: 1)aurat k lie na mehram Mard par Lazzat k qasd sey nigah daalna Haram hay jab k lazzat k qasd k baghair on hisso par nazar dalain jinhain aam taur per chupana zarori nahi maslan (sar,dono haath etc)to aisa karna Jaiz hai magar in hisso k ilawa baqi jism par nigah daalna Haram hay.Isi terah merd k liay sirif aurat k chehray or hathaylioon(palms) per lazzat k baghair nazar daalna jaiz hay is k ilawa baqi jism or baal per nigaah kerna haram hay.(Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani(d.b)Prob No 2397). 2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2334
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hmari baat teh ho gai hai k hm2 ki shadi hog,,kea hm msg k zrihe baat kr skte?or koi treka jis se gunha na ho?its so important,,plzz rixp

Answer: Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat angaiz baat na ho, koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat haasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 2335
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: allama sahib ,kia 25 saala lrki mehram k bgher trip k sath ja skti he jis mei 40 saal ki aurten bhi mojod hun?, plz jldi jwab bhejiey ga, shukria.

Answer: Wajibaat e sharie ka khayl rakhtay huay jaiz trip per jana jaiz he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 119, pg # 63) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2349
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr hum ampni mangaitr say baat cheat shuru ker lain.aur baat jinsi lazat tak aa Pohnchy. Asy mn hum harig bi Bo Jain. Is ka kya guano hy. Aur tauba kasy ki jay?

Answer: 1)Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shewat angaiz baat na ho , koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) 2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2361
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia islam me lrky aur lrki ka piyar krna jaiz he?aur kia islam me iski koi misal milti he?

Answer: kisi bhi ghair akhteri amal per shariyat koe hukum nahi lagati laikin yaad rahey k shariyat kisi bhi aisay raabtay ya mulaqaat ki ijazat nahi deti jo in’hain haram ki taraf le janey wala ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2421
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia larka or larki aik dosary se mail saktay hain.ta k un ko pata chal sakay k dono kasy hain.tell me about islami law.and hawala jat2

Answer: Agar gunah or buraae main mubtila honay ka khoof maujood ho tu oskay saath mail joul or rabitahj jaiz nahi hay. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 102). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!