Question: Meri sali mujhe pasand nahi karti hai mai kiya karu
Answer: 1) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2) Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahae wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355)
Question: Assalam alaikum meri shadi hone wali hai aur mai usse bahut zyada baate karta hu, aur hum log sex k v bate karte hai kya hone wali bivi se sex ki bate kar sakte hai plz. Bataye
Answer: Jab tak apka nikah nahi hojata tab tak wo apk liye na-mehram hai or shohar or biwi k ilawa kise or se Fahash baten krna haram hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat-ullah sistani (d.b). part # 2, masla # 34)
Question: Larka shadi sy phly larki sy baat kr skta ha.y nahi
Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: apni mangatar say bat kar sakta hu
Answer: Mangayter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koi shehwat angaiz baat na ho, koe haraj nahi he laikin is me bhi shrt he k is se koi jinsi lazzat haasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar koi ohde se maulana hai aur mard zaat hai....koi sawalat k alawa hmara unse bat karna .....jayaz hai ya nhi......???? Jaise namarham se bat karna jayaz nhi toh apne mazhab ke insan se bhi jayaz nhi ho.... Mujhe iss kashmksh se nijaat dilae...
Answer: Na_mehram se guftgu aam tor per dosti or mohabbat ka sabab banti hai is liye is ko sharai sawalat tak mehdud rakhna lazmi hai, Na_mehram(chahe wo apke mazhab ka ho ya nahi)se baat karne se burai or guna men mubtala hone ka khof ho to jaiz nahi (Ref : Sawalat or jawabat, 1st ,masala # 76,79,pg # 57,58) (ALLAH ap ki tofeeqat men izafa farmaye).
Question: kia larka larky engage kay bad phone pay bat kar sakty han.
Answer: Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koi shehwat angaiz baat na ho, koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat haasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AOA mera masla yeh hay ke main kissi ko pasand karti hon lekin kissi ne hamary beach main misunderstanding create ker di hay ab wo baat bhi nahi ker raha hay plz ap kuch ess bata dain pardhny ke liye jo wo meri taraf mail ho jay shukriya
Answer: Sab se pehli bat to ye hai k jins-e-muitazad se dosti ka is had tak izhaar krna k us se kaha jaye k (jesa k apne frmaya ) mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz nahi hai q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, mgr ye hai islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai us hawale se wazeefa apko dete. Khuda apko gunah men mubtala hone se mohfooz rakhe. (Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1ST Eddition, Page#69, Ques#106) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam maulana mera masla ye hai k me ek ladke se bahut pyar karti ho aur usse shadi karna chahti ho plz mujhe koi wazifa batayien k meri shadi usi se ho
Answer: Sab se pehli bat to ye hai k jins-e-muitazad se dosti ka is had tak izhaar krna k us se kaha jaye k (jesa k apne frmaya ) mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz nahi hai q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, mgr ye hai islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai us hawale se wazeefa apko dete. Khuda apko gunah men mubtala hone se mohfooz rakhe. (Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1ST Eddition, Page#69, Ques#106) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: AOA...........aaj kal net pa log jo sexy chat or like that baty krty hy kia ye haram hy ............haram to hy he ma aap sa puchna chahu gi ....
Answer: Fahash batain krna haram hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ager beevi mer jai to shoher is ka chera dekh sakta hai ya nahi
Answer: Bivi mernay k baad shohar k liay na-mehram nahi ho jati or shohor oska chehra daikh sakta hay.balkeh mernay k baad bhi bivi shohar ko or shohar bivi ko baghair kis perday k ghusl bhi da saktay hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#548) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)