Question: salaam mera sawal yahy kay " kia shohar appni bivi kay saath baath room main naha sakta hy ya nahi.
Answer: shohar aur biwi dono aik dosray ka poora badan dekh saktay hain aur nahanay me bhi yehi suratehal hoti hai. lehaza is mein bhi koi haraj nahi. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 2395.
Question: Salam, me aik medical college ka student hu and meri class me larke bi hai n larkiya bhi..aik class me hone ki waja se larkyoo se baat krna lazmi hojata hai.. is bare me kya hukum hai??
Answer: w.s. khilwat k maqam par agar mulaqat na ho to us soorat me jaiz he jab insan un tamam bato se dur ho jin k hote hue haram me padne ka khouf ho sakata he. (ref: mujthid se puchh gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 4 page 65-66)
Question: meri behan ki mangni hoi thi,wo dono phone per bat kerte the take shadi se pehle aik dosre ko samajh le, kia is silselay me on dono ke liye bat kerna jaiz tha?or agar romance ki bate na kare tu kia hokum hai?
Answer: b.t. agar darmiyan me aysi batain n ki jayen jo ek muslman ke shayane shan nahin hain to koi haraj nahin. albatta orat ki zimmedari bhi he k wo apni awaz ko atna khubsurat or barik n banae jo insan k jazbat ko abharne wali ho. (mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 4 q.125&127 pub. by quran-o-itrat academy)
Question: Assalamo-Alaikum, Khawateen Ka Apney Chehrey ke Bal(Face) Jo Nikaltee Hain Ya Saf Kertee Hain, Ye Jayez Hey? Iltemas-e-Dua
Answer: Khawateen Ka Apney Chehrey (face) k baal saaf Kerna or abroo (eye-brow) ko sidah kerna jaiz hay. (ref: Ayat Ullah Seestani (d.b), Jadeed fiqhi masail, Maslah #513) . Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: magaiter k sath kis had tak bat kerna jaiz hai
Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam, 1 ghar mai majlis barpa hoti hai jis mai lADIES MARSIEY NOHEY OR MAJLIS PHARTI HAI, JIN KE AWAZ NA MHERAMO TAK B JATI HAI, OR KUCH SUNI HAZRAT IS KA MAZAK B URATEY HAI. KIA YEH JAIZ HAI
Answer: Aurat k lie jaiz he k wo apni awaz ajnabi mard ko suna,ay magar ye k haram me parhnay ka khof ho ( is surat me jaiz nahi ho ga) albatta aurat k lie apni awaaz ko is tarah dil kash banana jaiz nahi he k sunnay walay k lie aam taur per hejaan aawar ho agar chahay sunnay wala mehram hi hoon. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 510 pg # 266-267) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam, 1 ghar mai majlis barpa hoti hai jis mai lADIES MARSIEY NOHEY OR MAJLIS PHARTI HAI, JIN KE AWAZ NA MHERAMO TAK B JATI HAI, OR KUCH SUNI HAZRAT IS KA MAZAK B URATEY HAI. KIA YEH JAIZ HAI
Answer: Aurat k liay ye jaiz nahi k wo apni awaaz ko khoobsorat or dikhash banaay k sunnay walay ki tabiyat hijaan aawar ho,chahay sunnay wala aurat ka mehram hi Q nah ho.(Jadeed Fiqhi masail,Maslah#500,Ayatullah seestani(d.b).)
Question: Kaya Islam main larki say payar karna jaiz hai?plzz mujhay detail main answer batain.thank you.
Answer: 1)Kisi bhi ghair akhtari amal per shariat koi hokum nahi lagati he lakin yad rahey , shariat kisi bhi aise artibat ki ijazat nahi deti jo inhein haram ki taraf le janay wala ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) 2) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
Question: islam main pasand karke shadi karsakte kya?jayaz tariqe se
Answer: kisi bhi ghair ekhteri amal per shariat koi hukum nahi lagati laikin yaad rahey k shariat kisi bhi aisay irtebat ya mulaqaat ki ijazat nahi deti jo in’hain haram ki taraf le janey wala ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ager larka or larki Khuda ko hazir nazir jaan k ek dusrey ko ek dusrey ko tasleem ker lein, to kia wo ek dusrey k liey mehram hain, unka aapas mein mein guft o shaneed kerna munasib hai? jb keh wo ek dusrey ko apna life partner samajhtey hain.
Answer: Aik larki ka kisi no-jawan sai dosti krna is eitebar sai k shadi aik dam to nhi hoti bal k shoru mai baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).