Question: kya allah un ka saath dete hai jo sachha pyar karte hai..kyo wo unki bat sunte hai jise un par pura wishwas ho......me hindu hu.....but dunia me sabse jyada mujhe allah pe bharosa hai.......plz rpy
Answer: Na-mehram say dosti ka is had tak izhaar kerna k us say kehna k mujhay tum say muhabbat hai,jaiz nahi hai aur gunnah hai.(Ref:book nigah aur libaas masla#106,pg#69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: please sir mujhe ap ye bataye k ager koi larka dosre larke(boy) ko kiss karta hai to us ki kia islam me gunah hai ya nh?
Answer: Agar lazzat k iraday aur gunah mai mubtila honay k khoof k baghair ho tu koe haraj nahi hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #16). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam alikum. meri engagement ho gai he. kya me apne mangetar se moile par text par bat kar sakti ho?
Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kiya aik larki kisi larky ko apna bahi bna sakti hai or wo dono ye jante hai k un k darmian koi gahalt kam nai ho ga wo sirf achy behn or bahi hai bs or kuch nai
Answer: G haan bhai banana jaiz agar haram mai mubtila honay ka khof na ho aur wo apka na-mehram he rahay ga(yani saga bhai nahi banayga) lehaza parday k tamam ehkamat ki pabandi ki jaegi. (ref : email received frm ayatollah sistani d.b)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam i am sajjad.maira sawal ye hay k agar mard dosre mard k sath kissing karey leken shehwat ki nazar say nahi tho kia sirup kissing dono k darmayan jayez hay ya nahe
Answer: Agar lazzat k iraday aur gunah mai mubtila honay k khof k bagair ho tou haraj nahi hai. (Ref : Kitab nigah aur libaas masla # 118 pg # 72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mai ek larhki ko dil se sister manta hun . kya mai use hug kar sakta hun kya ?
Answer: Ji nahi na mehram ko galy lagana jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2397-2406)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya mangaitar ko bhai kehna gunah hai ?
Answer: Jee nahi, mangetar ko bhai kehna gunah nahi hai. magar mangetar na mehram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2397)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A/w pls btay mara sawal ya hai ke hum apna dost sa baat kartay hai to panis sa 1 bunnd 2 bund maji aata hai mera bat krna kaisa hai?
Answer: 1)Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref : kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2)Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agr koi zina kr le n phr toba kre to kya uske mahram ko phr b wo karz ada karna hoga... Maine kise k sath intercourse ne kiya h kya me b zina ke zad me aata hu. N iska kufara kya h.
Answer: 1)Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna bagair intercourse k zina nahi hai magar haram hai. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70) 2)Sachay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada kia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aoa.. kiya mai apne mangeter se baat kr sakti hn agr han to kis had tak....?
Answer: Mangetar bhi na mehram he aur mangetar se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shahwat angaiz baat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho warna haram he. (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)