Question: ASLAM O ALAIKUM meri aik dost hai jab bhi wo apne mangetar se baat karti hai to usko shahowat zahir hoti hai.Uski shalwar gandi ho jati hai kya uske liye kapre badalna aur nahana zruri hai aur sar sey duppata utarne se wazu toot jata hai?
Answer: 1)Wo ratubat jo aurat se shewat k saath kharij hoti he agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aaloda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 345) 2)Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) 3)Dupatta utarnay sai wazoo batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mujhe ek larke se boht pyar he wo bhe phle mjhe se karta tha ab nhn karta dhoka de rha use kis trah apne bas me karo koi wazefa wagera batai me boht mjbr ho
Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AOA... sir mera question ye hai k larki k lye munh bola bhai bnana jaiaz rishta hai...? mtlb kya wo na mehram nai ho ga lrki k lye...?plz Quran aur ahadees ki roshni mn answer den....
Answer: Is terah sai bhai bananay sai wo larka mehram nahi banay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2397-2406)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia koi shadi shuda aorat kisi ghair ko bhai Bol sakti hai
Answer: Jee haan bhai bolna jaiz magar haram mai mubtila honay ka khof na ho aur wo apka na-mehram he rahay ga(yani saga bhai nahi banayga) lehaza parday k tamam ehkamat ki pabandi ki jaegi. (ref : email received frm ayatollah sistani d.b)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AOA sir ma aik larky sy buhat piyar karti hon aur chahti hon k woh b mujay paglon ki turha chahy plz solution buta dein....plzzzz
Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Jinsi lazzat, shehwat aur haram mai mubtila honay k bagair larkio sai ishqia batain karna kaisa hai?
Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahi hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Larkoo k lie larkio ko dost banana kaisa hai?
Answer: Na-Mehram sai dosti aur rakaqat rakhna jaiz nahi hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Ishq k baray mai wazahat karain?
Answer: Aksar ishq khayali hotay hain aur in ka sarchashma shehwat hota hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia kisi larky se mohabbat krana jaize hai
Answer: kisi bhi gair ekhteri amal per shariat koi hokum nahi lagati laikin yaad rahey k shariat kisi bhi aisay irtebat ya mulaqaat ki ijazat nahi deti jo in’hain haram ki taraf le janey wala ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya kisi ladki se mohabat kerna jaiez hai ya ni
Answer: kisi bhi gair ekhtieri amal per shariat koi hokum nahi lagati laikin yaad rahey k shariat kisi bhi aisay irtebat ya mulaqaat ki ijazat nahi deti jo inhain haram ki taraf le janey wala ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)