Question: shadi se pehlay chest suck krnay ya daikhnay ka kya gunah hai? ya agr jism daikh lay to?
Answer: Nikah sai pehlay aurat na mehram hoti hai aur os k sath jinsi lazzat hasil karna bagair intercourse k zina nahi hai magar haram hai. aur jism dekhna bhi haram hai.(Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2397) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ASSALAMO ALAIKUM W.R.W.B. Sir mera question hai kay aik na mehram larki sy kis hadd tak rawabit jaez hen. Reference dy kr bataiye ga kay aik na mehram larki sy kis kis cheez ki mumaniyat hai. Thank you
Answer: 1)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) 2)jins e mukhalif k sath batain karna is surat mai jaiz nai jab fasad , burai aur ghunah mai mubtila honay ka khof ho. (Ref : Kitab Nigah aur libas pg # 58) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya kisi ladki ko nikah ke irade se mohabbat karna jayaz hai
Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: main aik sunni larka hu,main aik larki se pyar krta hu wo bhi mjh se pyar krti hai per uski mother bukhari syed hai aur walid ahlebait main se hai , plz ap mjay btain kya main us se shadi kar skta hu.?
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mera question hai ki, mohabbat k baare mai quran kya kahti hai hai,
Answer: Gair ikhtari kaam par koi hokum nahi lagaya ja sakhta. Agarchah is ka muqaddima ikhtiari hay.agar haram ho to is ka murtakib na hoon. Lakin har surat may shawat aur lazzat wala kaam nikah say pehlay haram hay. (Ref : Ayatullah Sistani d.b. official website http://sistani.org/index.php?p=827020&id=972 Q#1) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: KIA BIWI KI BEHAN SE YANI SALI SE HATH YA MUSAFA KARNA JAIZ HAI? KIYA SALI NAMAHRM HOTI HAI? KIYA SALI KO SAR PA PIYAR DIYA JA SAKYA HAI? AGAR SALI EDAT MAI HI TO US KO BEHNOI SE PARDA KARNA CHAIY?
Answer: Biwi ki behan yani saali na mehram hai aur os sai hath wagira milana ho ya sar par hath rakhna ho to koi kapra hona zaroori hai aur lazzat k iraday aur ghunah mai mubtila honay ka khof na ho to koi haraj nahi hai warna haram hai. (Ref : Kitab Nigah aur libas pg # 71)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kya kesi women ko lip kiss kr sakty hai jo sirf kiss ki had tak ho?
Answer: Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna bagair intercourse k zina nahi hai magar haram hai. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mn ak larky ko pasnd krti hn aur us se shadi krna chahti hn.par wo nae krta.koi wazifa btay.
Answer: 1)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kar sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341) 2)Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. (Ref : kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 3)Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway ef salaheen pg # 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: meri ek frnd hamari relation acchi hai magar badnami k dar se maine usse bat karna chod diya jiska use bahot bura laga to me kya karu/ ladkiyo gair majhab dosti rakhana kaisa hai
Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna aur baat cheet karna jaiz nhi q k gunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kiya ladki se mohabbat karna jaiz hai??
Answer: Kisi bhi gair ekhteri amal per shariat koi hokum nahi lagati laikin yaad rahey k shariat kisi bhi aisay ﺍﺮﺘﺒﺎﻂ ya mulaqaat ki ijazat nahi deti jo inhain haram ki taraf le janey wala ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)