Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17616
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Umrah k doran jis lrki se mngni hui usse message ya cal kr skty?

Answer: 1: Mangni hone ke baad larka aur larki na-mehram hi rehte hain aur na-mehram se baat cheet (chahe aamne saamne ho ya message aur call par ho) ke hawale se aap ko aik sharaei masleh ki taraf mutawajeh kiya jata hai ke, Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho to baat karna jaiz nahin hai, isi tarah gair akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona (parna) jaiz nahin hai. 2: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho, isi tarah aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is soorat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubhaarne wali ho. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #124,125,127, pg #65,66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510). [Updated on 30-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19218
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Girlfriend matlb non mehram ko touch krna hat pakrna kiss krna or hug krna zinn ha

Answer: Ise zina nahin kaha jaye ga lekin is tarah kam bhi Haram aur ghunah e kabira. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2397,2399). Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) 2) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) [Updated on 27-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 19224
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A. O. A. Sir me apni cousin se sachi sachi muhabbat krta ho lekin pays no so janti he ke nai koi aesa wazifa bataye his se so mere jiyada kareeb aye air so bhi krne lage shukriye..

Answer: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69). Jo shaks shadi nai kernay ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho os per wajib hay k shadi karay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #2407) [Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19269
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum, Mera Sawal yeh hai k meray maa baap k behan bhai matlab mamu, chacha aur taya meri beti k liye bhi mehram hain jesay mere liye woh mehram hain?

Answer: Jee han, Mehram hain. (Ref: Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #90). [Updated on 19-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19310
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya aurath kisi na mahram mard se muhabath ka ezhar kar sakti hein

Answer: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69). [Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19323
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اسلام او علیکم! میرا سوال تھا کہ۔ کیا ایسی لڑکی جس سے آپکی شادی ہونی ہو پر ابھی وہ آپ کے لئے نامحرم ہو۔۔ ویڈیو کال پر اس کے اعضا کو دیکھنا زنا کے زمرے میں آتا ہے؟اگر اس بات کا احساس ہو جائے اور سچے دل سے توبہ کریں تو کیا معاف ہو سکتا ہے؟

Answer: 1: Mangni karne se larka or larki miyan, biwi nahin ban jate jab tak ke nikah na kiya jaye or mangani ki koi sharaei hesiyat nahin hai. lehaza mangetar apas me na-mehram hain aur nikah ke bager na-mehram aurat ke balon ko dekhna, aur mard or aurat ka aik dusre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya us ka bosa(kiss) laina ya gale lagana ye tamam kaam bhi Haram aur ghunah e kabira me se hain, chahe lazzat ke iraday ke sath hon ya is ke baghair aur chahe baad me shadi hi Q nah karni ho. Isi tarah Mangni ke baad aam mamool ki baat cheet karna jis ke andar koi shehwat angez guftagu nah ho, koi haraj nahin hai lekin is me bhi shart hai ke is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur nah hi Haram me parhne ka khauf ho. warna jaiz nahin. 2: Agar kisi se koi ghunah sarzad ho jaye sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kar lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur aap bhi yaqeenan bakhsh dega. 3: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341. + Mujtahid se poochy gaye sawalaat, part #3, sawal #115,116, pg #57. + (Ref: link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19344
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: عورت کا اسپیکر پہ مجلس پڑھنا کیسا ہے شیعہ علماء

Answer: 1: Mardon ke na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho. Aur isi tarah aurat ke liye bhi ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is soorat me jaiz nahin hai. 2: Woh nukaat jo ke manqabat aur marsia khuwani ke muamlay mein zaroori hain, in mein se aik yeh hai ke: khawateen ki majlis, manqabat ya marsia khuwani, agar naram aur bareek aawaz ya isi ki manind ke hamrah is tarah se ho ke jo aam taur par sunne walay ke liye hejaan (shehwat) ka baais banti ho, to lazim hai ke na-mehram tak aawaz puhnchane se parhaiz kya jaye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail, pg #266, maslah #510. + Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #534). [Updated on 06-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19423
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum Ma jis sy pyr krta uska nikkah kahy or ho gya ha to Kiya abhi b usko duao ma mangna jaiz ha?

Answer: 1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. 2: Agar koi aadmi kisi aurat ko warghalaay ke wo apne shohor se mutaliq izdawazi zimmedariyaan pori nah karay taake is tarah shohor use talaq daine par majbor ho jaaye aur wo khud us aurat ke saath shadi kar sakay to ye buhut barha ghunah hai. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #2502). [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19427
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hum 4 bhen bhai hai, aur meri walidah ki ab death ho gai hai, is surat mai agar walid sahab dusri shadi krty hai to kya un ki dusri biwi hmary liye mehram hogi ya na mehram ?

Answer: Baap ki zouja (yani soteli maan) mehram hai. (Ref: Mujtahid se poochay gaye sawalat part #3, ques #129, pg #63). [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19500
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum Kia aurat ka apny Dewar se chehry ka bhi Parda hai??

Answer: NULL

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!