Question: سلام کیا تائی یا چچی بالغ بھتیجے کا بوسہ لے سکتی ہے؟
Answer: Taai aur chachi na-mehram hai aur kisi na mehram mard aur aurat ka aik dosre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya bosa dena chahe lazzat or shehwat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair ye tamam kaam bhi Haram aur gunah e kabira me se hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30). [Updated on 24-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam alaikum kia hm hamari class fellows say hath Mila saktay hn skin dhamp kar dastanay use kar k ?
Answer: Na-mehram se hath milana haram hay, siwaye ye ke hath main dastana ho to haram nahin hay, (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani (d.b), maslah # 467). [Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamu alaikum bina shadi kiya lover ko touch kar sakte hai
Answer: Na-mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko choona (touch) haram hai, chahae lazzat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair, balke choona to door, dekhna bhi haram hai. chahay baad me shadi hi Q nah karni ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397). [Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai aik larki sy piyaar karta ho aur wo bhi muj sy piyaar karti ha kiya hum message par baat kar skty hai.
Answer: 1: Jins e mukhalif (na-mehram mard aur aurat ka aik dusre) se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujood hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. 2: Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho. Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimmedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ . + Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #58,69, Ques #79,106. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66). [Updated on 10-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: asalam o alaikum mera swal ye h ke agr ap kisi ke sth relation me ho apki niyat nikkah ki ho pr ap kr ni skte kiun ke apki abh age ni pr ap agy jakr us se nikkah krna chahte ho or abh bs relation me rehna chahte ho tu kya gunah h
Answer: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kaam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. magar ye hai ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lihaaza is aitebar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakti hain aur dua kar sakti hain. (Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). [Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam.o.Alykum! University life ma hum opposite gender k sth kia had tak rah skty ha
Answer: 1: University me co-education me agar ghunah aalood nigahon ka tabaadla nah ho aur Haram me mubtila honay ka khauf nah ho to koi haraj nahin. lekin is k bawajood ye maslah is layeq hai ke islami mumaalik(countries) ke zimme daaar afraad larkon aur larkioon ke liye alag alag taleemi idaray bananay ke liye mansooba bandi karain. 2: Kisi na mehram (larkay aur larki ka aik dusre) se dosti karna hi Jaiz nahin hai. Lekin na-mehram larka aur larki apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho. Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimmedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: Nigah aur libas, sawal #92, pg #63. +link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ . + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66). [Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can a girl add males in her social media accounts?
Answer: Agar ghunah me mubtila (ghumrah) hone ka khouf nah ho to koi haraj nahin hai. lekin agar fasaad, buraayei aur ghunah me mubtila hone ka khauf ho jaiz nahin hai. (Ref: Nighah aur libaas, mafhoom e sawal #78,79, pg #58). [Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Me ek Sunni ladki hu aur ek Shia ladke se muhabbat krti hu vo bhi krte h unke ghar wale razi h per hamare nhi h aur unke karobaar ki wajah se ghar wale nhi maante plz koi Amal batyae take rishta aur shadi ho sake
Answer: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kaam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujood hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. magar ye hai ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lihaaza is aitebar se ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bheja jaa sakta hai aur dua ki jaa sakti hai. 2: Wazifa: Surah e ahzaab ko hath se likh kar aik dabbay (box) me band kar ke apnay ghar me hifazat se rakh dain aur is surah ko har roz aik bar parh kar dua mangain to hasb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Naway e saleheen, pg #352). [Updated on 05-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya ager larki ki sharmgah ke andar na dala jaye na agye na pechain lakin baqi sab romance ho or jism be nagaye ho tu ye zina hai ke nai?
Answer: Yeh zina shumar nahin hoga lekin is tarah apna jism kisi na mehram ko dikhana ya dekhna aur choona Haram aur ghunah e kabira hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2397. + Minhaj us Saliheen, part #1 maslah #30). [Updated on 11-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I'm talking to a namehram with the intention of nikah and also following the rules of halal conversation,without including any haram talk , is it right or not?
Answer: Aam mamool ki baat cheet karna jis ke andar koi shehwat nah ho koi haraj nahin hai lekin is me bhi shart hai ke is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur nah hi Haram me parhne ka khauf ho. (Ref: Mujtahid se poochy gaye sawalaat, part #3, sawal #115,116, pg #57). [Updated on 13-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]