Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17296
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Muja aik larkay se bht Pyar ha r ous ko b muj se ha per wo larka Meri chachi ka Bai ha ous na ghr bat ki thi lakin ous ka ghr walay nhi manay phr ous na muj se kaha ka hum bat kerna chor dy menay kaha ok

Answer: 1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. Albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain. 2: Shadi ke liye wazifa: Rasool(s.a.w.w) ne famaya: surah e yaseen ki tilawat kiya karo is me 10 barkaten hain jin me se aik ye hai ke gair shadi shuda (afraad) shadi shuda ho jayen gay. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Dunya-o-akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, mafhoom e pg #18). [Updated on 02-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17331
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ha k ma ek larki sy pyar krta hu aur wo b bhot pyar krti ha lakin masla ye h k hm dono shadi shuda hain kisi aur k sath. Hm chahty hain k hamara nikah ho jy kya aisa ho sakta ha k nikah hmara ho jy .. kya ek larki na nikah ho sakta ha aisy...

Answer: 1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. 2: Shadi shuda aurat ka kisi dosre mard se nikah karna Haram hai, lekin agar us ka shohar us ko talaq de de to iddat guzarne ke baad wo aurat kisi doosre mard se nikah kar sakti hai. 3: Agar koi aadmi kisi aurat ko warghalaye ke wo apne shohor se mutalliq izdawaji zimmedariyaan poori nah kare taake is tarah shohor use talaq daine par majboor ho jaaye aur wo khud us aurat ke saath shadi kar sake to talaq aur nikah to sahi hain. Lekin dono ne buhut barha ghunah kiya hai. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2366,2502). [Updated on 09-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17341
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Na mehrum ki awaz public sun sakti hai, chahy nohay ki surat mai hi ho?

Answer: 1: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho. Aur isi tarah aurat ke liye bhi ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is soorat me jaiz nahin hai. 2: Woh nukaat jo ke manqabat aur marsia khuwani ke muamlay mein zaroori hain, in mein se aik yeh hai ke: khawateen ki manqabat ya marsia khuwani, agar naram aur bareek aawaz ya isi ki manind ke hamrah is tarah se ho ke jo aam taur par sunne walay ke liye hejaan (shehwat) ka baais banti ho, to lazim hai ke na-mehram tak aawaz puhnchane se parhaiz kya jaye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail, pg #266, maslah #510. + Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #534). [Updated on 10-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17348
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar mard or aurat ek jaga pe Kam karty Hain TU Kiya dono apass mey phone pe baat cheet kar sakty Hain

Answer: 1: Na-mehram se baat cheet ke hawale se aap ko aik sharaei masleh ki taraf mutawajeh kiya jata hai ke, Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho to baat karna jaiz nahin hai, isi tarah gair akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona (parna) jaiz nahin hai. 2: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho, isi tarah aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is soorat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubhaarne wali ho. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #124,125,127, pg #65,66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510). [Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17411
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: islam ma kon kon sa rishta na maherm h plz ayat sa wazhiya kryn like bhabhi dever ka rishta bahnoi ka sali etc

Answer: Quran ki surah nisa ki ayat #23 me jin mehram afrad ka tazkira hua hai un ke alawa baqi tamam reshtay na-mehram hain, jaise chachi, mumani, bhabhi, sali, chacha zad, phupho zad, mamu zad, khala zad, wagera ye na-mehram hain. Surah nisa ki ayat #23 ka tarjema: "Tum par Haram kar di gayei hain tumhari maaen, tumhari betiyan, tumhari behnain, tumhari phuphiyan, tumhari khalayein, tumhari bhatijiyan, tumhari bhanjiyan, tumhari woh maaen jo tumhe doodh pila chuki hon aur tumhari doodh shareek behnain, tumhari biwion ki maaen aur jin biwion se tum muqarebat kar chuke ho un ki woh betiyan jo tumhari parwarish mein rahi hon, lekin agar un biwion se (sirf adq {nikah} hua ho) muqarebat nah huei ho to koi harj nahin hai, neez tumahray sulbi beton ki biwiyan aur do behnon ka baham jama karna, magar jo pehlay ho chuka so ho chuka, bay shak Allah bara bakhsnay wala, reham karne wala hai. (Ref: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=4&ano=23 ). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17488
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam, Mera sawal ye hai k shaadi shuda hone k bawahood kya shohar ka extra Marital affair hona jayaz hai? Chahe wo is niyat se ho k wo nikah krega?

Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahin hai Q k ghunah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. Isi tarah kisi na mehram se doosti karna bhi Jaiz nahin hai. (Ref: Nigah aur Libas, sawal #106, pg #69, Mujtahid se pouchey gaye sawalat, part #4, sawal #125, pg #65). [Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17491
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mray question ya hy k agr ak larki or larka apny marzi sa zina karty hain to kia dono barabr k gonah k haq dar hu gay k zina srf boys k lia ho ga?

Answer: 1: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahin hai Q k ghunah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. Isi tarah kisi na mehram se doosti karna bhi Jaiz nahin hai. Zina krna to uss se bhi bara gunah shumar hoga or Gunah dono k zimme hai ot toubah krna wajb hai (Ref: Nigah aur Libas, sawal #106, pg #69. + Mujtahid se pouchey gaye sawalat, part #4, sawal #125, pg #65). [Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17543
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamu alikum ... mera sawal ye h mene apne fiance ki video dkhi .. dekhne se geelapan mehsoos kyaa... bgair shehwaat k wo liquid nkla to kia wo mani h yaa koi or chz ? Or kia us se mj pr gusal wajib hogaya ? Nmz k lye ?

Answer: 1: Mangetar apas men na-mehram hain aur nikah ke bager na-mehram mard or aurat ka aik dusre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya us ka bosa(kiss) laina ya gale lagana ye tamam kaam bhi Haram aur ghunah e kabira me se hain, chahe lazzat ke iraday ke sath hon ya is ke baghair aur chahe baad me shadi hi Q nah karni ho. 2: Wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwuraat ke waqat apni sharamghah men mehsoos karti hain aur wo ratoobat itni miqdar men nah ho ke doosri jaghah ko aalooda kare to wo paak hai aur us ke liye ghusl nahin hai aur wuzu ko bhi baatil nahin karti hai, Han! agar rutobat is qadar ziyada ho ke inzaal kehlaye aur libaas ko aalooda kare jabke sath sath aurat hijan e shehwat ki intihaa ko puhnch jaye aur mukammal razamandi (orgasm) ho to najis aur janabat ka moojib hai balke agar hijan e shahawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyat e lazim ki bina par najis aur janabat ka moojib hai aur in maqamat par jahan aurat shak kare ke rutoobat is had se ziyada puhnchi ya nahin aur ya khud rutoobat ke kharij hone men shak kare to ghusl wajib nahin hai aur wuzu aur ghusl baatil nahin hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + part #3, maslah #14,15,16. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #345,2397). [Updated on 17-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17571
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slm...fiqe jafrrya me mangi k kia hasyt hai..or mangi k period k duran..text ,msges waghera kr skte hain..zrrt prne pr ..kabhi kabhi...agr mangi k duranya zaid ho..ya nikkah dair se hona paya ho tab?

Answer: Mangni karne se larka or larki shohar or biwi nahin ban jate jab tak ke nikah na kiya jaye or mangani ki koi sharaei hesiyat nahin hai. lehaza mangetar apas me na-mehram hain aur Mangni ke baad aam mamool ki baat cheet karna jis ke andar koi shehwat angez guftagu nah ho, koi haraj nahin hai lekin is me bhi shart hai ke is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur nah hi Haram me parhne ka khauf ho. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341. + Mujtahid se poochy gaye sawalaat, part #3, sawal #115,116, pg #57). [Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17577
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا لڑکی کا ٹی وی وغیرہ پر نعتیہ مقابلے میں حصہ لینا جائز ہے؟

Answer: Khawateen ki naat, manqabat ya marsia khawani, agar naram aur bareek aawaz ya isi ki manind ke hamrah is tarah se ho ke jo aam taur par sunne walay ke liye hejaan (shehwat) ka baais banti ho, to laazim hai ke na-mehram tak aawaz puhnchanay se parhaiz kiya jaye. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #534). [Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!