Question: Phli bar date ketni umar ma hoti ha Or ksa pta kr skta ha kh lrke ka phly physically relationship khi or tha ha ni
Answer: 1: Physically relationship ke hawalay se doctor se maaloom kiya jaa sakta hai. Albatta agar date se aap ki muraad "kisi larki ke sath date pe jana hai" to is hawalay se aap ko chand sharaei masail ke taraf mutawajjeh kiya jaata hai ke agar in sharaei masail ki pabandi karte hue larki ke sath date pe jaa rahe hain to is me umr ki koi qaid nahin. 2: Na-mehram se is aitebaar se dosti karna ke ye piyar o muhabat ban jaye aur phir is se shadi kar lenge to ye jaiz nahin, Q ke jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain. 3: Na-mehram mard aur aurat ka tanhaai me kisi aisi jagah sath hona jahan aur koi nah ho aur ghunah me mubtila hone ka ahtemaal (chance) bhi ho, to Haram hai. chahe wo jagah aisi ho jahan koi aur aa sakta ho, albatta agar ghunah me mubtila hone ka ahtemaal (chance) nah ho to koi haraj nahin hai. 4: Aurat ka apna badan yahan tak ke apne baal kisi na-mehram mard ko dikhana Haram hai aur kisi na-mehram mard ka badan dekhna bhi Haram hai. Isi tarah na-mehram mard or aurat ka aik dosre ke badan ko choona ya chomna bhi Haram hai. 5: Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jab ke koe aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho to baat karna jaiz nahin hai, isi tarah gair akhlaqi aur mazaq me warid hona bhi jaiz nahin hai. 6: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur Haram me mubtila hone ka bhi khauf nah ho, isi aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na-mehram mardon ko sunaye magar ye ke Haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai ke wo apni awaaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye ke jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #2409,2397. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510. + Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69). [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kisi na mehram (mard , aurat) ko namaz k lia bolna ya nend se uthana haram ha ya halal or waja kia agr haram h to?
Answer: Na-mehram (na-mehram mard, aurat) ke hawale se parday aur ghuftago ka khayal rakhte hue us ko namaz ke liye bolna ya neend se bedaar karna pasandeeda kaam hai, balkay baaz auqaat to amar bil maroof ke wajib honay ki wajah se namaz ke liye neend se bedaar karna lazim hota hai, jaisay ke kahin koi susti aur namaz ko kamtar shumaar karte hue so raha ho, Albata agar kisi bemaar ya is jaisay kisi shakhs ko bedaar karna is ki aziyat ka sabab banay, to zaroori hai ke aisa karne ke liye sharai ijazat rakhta ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397,2399. + Tauzeeh ul masail jaame, part #1, maslah #994). [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اگر ایک لڑکا لڑکی آپس میں بہت محبت کرتے ہوں اور اپنے نفس پہ قابو نہیں پا سکے اور بہت بار آپس میں ہی شادی سے پہلے ہمبستری کر چکے ہوں تو کیا ان دونوں کا آپس میں نکاح ہو سکتا ہے ؟
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Na-mehram larka aur larki ka apas me kisi bhi qisim ka taaluq (relationship maslan piyar o muhabat, dosti) rakhna jaiz hi nahin hai. aur agar taaluqaat is had tak barh jayen ke zina bhi kar liya ho to ye kaam Haram aur ghunah e kabira hai. aur ehtiyaat e wajib ki bina zaani (zina karne wala larka) is larki ke tauba karne se pehle is se nikah nahin kar sakta. (yani jab tak wo larki is zina se tauba nahin kar leti, ehtiyaat e wajib ki bina par tab tak wo larka is larki se nikah nahin kar sakta). 2: Agar larki tauba kar lay tab bhi is larke se nikah karne ke liye larki ko apne wali (yani baap ya dada) se ijazat lena zaroori hogi Q ke wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti. Is ke alawa bhi nikah ki buhat saari sharaait hain ke jin ki pabandi karna nikah ke waqt zaroori hai warna nikah sahi nahin hoga. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #44, maslah #2327,2332,2334,2340,2363). [Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya nikkah ki niyat se kisi Larki se relation rkh skte hain??
Answer: (Sahe sharhe nikah ke begaire kise namehram larki se jinse relation qaim karna jaiz nahe hay) or na-mehram se is aitebaar se dosti karna ya relation rakhna ke ye piyar o muhabat ban jaye aur phir is se shadi kar lenge to ye jaiz nahin, Q ke jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69). [Updated on 19-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya na mehram sy wada krna jaiz hai??
Answer: Agar ghumrahi me parne ka khouf na ho aur darmiyaan main aisi batain nah ki jain jo aik ajnabhe khatoon musalman ke shayaan e shan nahin hain (or koi fasaad na ho ) to Jaiz hai. (Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat, part #4, pg #65,66). [Updated on 27-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ek mahram orat apne bhai k samny apny jism k Kon kon say hise khule chor Sakta hai. (Agar dill mein shaikani khayal na ho toh) . Un hison k Naam b bataiye ga.
Answer: Jo mard aur aurat aapas mein mehram hon agar wo lazzat ki niyat na rakhte hon aur Haraam mein mubtela hone ka khauf bhi na ho to (agli aur pichhli) sharmghah ke alawa aik dusre ka poora badan dekh sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2401). [Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya cousin k sath engagement k baad or Nikkah se phle ghr walo ki razamandi se sb k sath ghr pr milna bethna batein krna jaiz ha..??
Answer: 1: Nikah se pehle mangetar aapas me na-mehram hote hain aur kisi mard aur aurat ke liye na-mehram mard o aurat se doosti karna jaiz nahin hai isi tarah mard ke liye na-mahram aurat ka jism dekhna aur isi tarah un ke baalon ko dekhna chahe lazzat ke iraade se ho ya is ke baghair, Haraam mein mubtela hone ka khauf ho ya nah ho, dono soorton me Haram hai. aur un ke chehre par nigaah daalna aur hathon ko kalaiyon tak dekhna agar lazzat ke iraade se ho ya Haram mein mubteka hone ka khauf ho to Haraam hai. Balke ehtayat-e-mustahab yeh hai ke lazzat ke iraade ke bager aur Haram mein mubtela hone ka khauf nah ho tab bhi nah dekhay. 2: Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota .or agar ghunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho to baat karna jaiz nahin hay isi tarah gair akhlaqi or mazaq me bhi warid hona (perna )jaiz nahin hai. 3: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khof na ho, isi aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khoof ho to is surat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #124,125,127, pg #65,66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510). [Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam muje pochna hai k agr ek orat jeans shirt phenti hai or namz k waqt bari chadr se apna jism dhaanp leti hai to namaz hojati hai kia koi masla to nahi asy namaz pharne mai
Answer: 1: Agar aurat jeans aur full shirt, half shirt ya t-shirt pehene ke sath chadar se aap apne ko mukammal dhaanp (cover) lay to is soorat me namaz sahi hai. Albatta darj zel maslah pe ta tamam badan ka dhaanpna zaroori hai. 2: Zaroori hai ke Aurat namaz ke waqt apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur ehtyat-e-wajib ye hai ke apne aap se bhi chupaaye, lihaza agar aurat chadar(choti ya bari) is tarah pehne ke use apna badan nazar aaraha ho to is me bhi ishkaal hai albatta chehre ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hai aur kalaiyoon tak haath aur takhnon tak paaon ka laazmi hissa dhanpna zaroori nahin hai laikin ye yaqeen karne ke liye ke us ne badan ki wajib miqdaar dhaanp li hai zaroori hai ke chehre ke atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnon se neeche ka kuch hissa bhi dhaanpay. Aurat ke liye namaz me mardana libaas pehanna haram nahin hai aur is se namaz baatil nahin hoti albatta ehtyat-e-wajib ki bina par ye jaaiz nahin ke aurat apne aap ko mard ke roop me dhaal lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatllah Sistani(d.b.) edition #42, maslah #777,786,833). [Updated on 19-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum sir me 1 lrky se bht Pyar karti hu or wo b mjh se bht Pyar karta h magar uski family mjhy ni psnd karti h or ab wo lrka b family k dbao me araha h brae meharbani mjhy 1 aesa wazeefa btae J's se hmari mangni ho jae
Answer: 1: Na-mehram se is aitebaar se dosti karna ke ye piyar o muhabat ban jaye aur phir is se shadi kar lenge to ye jaiz nahin, Q ke jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. Albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain. 2: Shadi ke liye wazifa: Rasool(s.a.w.w) ne famaya: surah e yaseen ki tilawat kiya karo is me 10 barkaten hain jin me se aik ye hai ke gair shadi shuda (afraad) shadi shuda ho jayen gay. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Dunya-o-akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, mafhoom e pg #18). [Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ek ladki jiska apne cousins jo ki namahram hain ke sath hasi mazak karna saamne rahna sahi hai
Answer: Namehram aurat se Agar baat cheet had se bahar nah ho jaye aur aisi baatein nah ho jo aik na-mehram se na hoh sakti hon to koi harj nahin hai. isi tarah Iffat aur sharaei hijaab ka khayaal rakhtay hue baat karne mein koi haraj nahin hai, lekin mazzaq,gaire ahklaqi batain karna aur aashiqana baton mein warid(dakhil )hona jaaiz nahin hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01864/ ). [Updated on 03-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]