Question: Sir main me washroom m khary ho k ALLAH se wada kiya k main ya kam nhi kron ge or mri help krna es wady ko pura krny main mri sis thek ho jay. Ab mjh se wada pura ni ho rha. Ab ya wada ho ga ya nhi or eska kafara h ya nhi
Answer: Agar aap ki wada karne se murad Allah se ehad karna hay or aap ne Allah se wada karte waqt is tarah ka jumla apni zaban se jaari kiya tha k men Allah se ehad karti hun to is ehad per amal na karne ki surat men aap gunahgar hongi or zaroori hai k kaffara den aur is ka kaffara 60 faqeeron ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. lekin agar aap ne zaban is tarah ka jumla ada nahin kiya to aap par sharieat ki janib se koi hukum nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2631,2632). [Updated on 07-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mene masalle ke upar ho ke, allah mi kasam khai he ke me kabu smoking nehi karu fa aaj ke baad, agar mene ye kasam tor di apni marzi se, to me kaise maafi mang sakh ta hu? Kaise me maaf kia jaa sakh ta hu? Iska kia kaffara he
Answer: Jab koi shakhs qasam khaye k falan kam anjam dega ya tark karay ga maslan qasam khaye k roza rakhe ga ya tambakoo istemal nahin karay ga, Is Qasam ki chand sharaait hain: 1. Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye, 2. Jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho, 3. Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho, 4. Qasam k alfaz zaban per laye, 5. Us qasam per amal karna mumkin ho. Agar in tamam sharairt ki riyaat karte hoye aap ne qasam khai thi to is qasam ki mukhalifat karne ke soorat men aap gunahgar honge aur kaffara bhi wajib hoga. Aur kaffaray ke taur par zaroori hai k 10 faqeeron ko pait bhar kar khaana khilayen ya unhe poshaak pehnaen, or agar ye na kar sakte hon to zaroori hai k 3 din musalsal rozay rakhen. Lekin agar in sharait men se koi aik bhi shart mojood na ho to gunahgar bhi nahin honge aur na hi aap par kaffara wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634). Sab gunah maaf ho saktay hain agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai q k parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay or isi liay kaha gaya hay k nidamat hi tauba hay or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay or haqiqi nadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahin hoti balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk laazim hay albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobarah tauba karain kyun keh khuda kareen or meherban hay or bakshnay wala hay or tauba karnay walo ko doost rakhta hay hadees e shareef main hay k aik lamhah fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay or isi liay hadees main aya hay tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k khuda hazir or daikhnay wala hay. (Ref: website Ayatullah Sistani(d.b,) ques #1, toba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766 + (Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated 17 08 2011). [Updated on 10-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum maine allah se ek waada kiya tha pr wo tut gya hai to ab m kya kru
Answer: Agar aap ki wada karne se murad Allah se ehad karna hay or apne Allah se wada karte waqt is tarah ka jumla kaha tha k men Allah se ehad karta hun to is ehad per amal na karne ki surat men aap gunahgar honge or zaroori hai k kaffara den aur is ka kaffara 60 faqeeron ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. lekin agar aap ne zaban is tarah ka jumla ada nahin kiya to ap per sharieat ki janib se koi hukum nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2631,2632). [Updated on 09-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main ny khuda sy ehd Kia tha k main musalsal 2 months kisi ky sath sex ni kronga. Lekin mein es ehd ko poora ni kr ska aur gunah kr betha.. Es ka Kia solution h aur kafara h?
Answer: zina karna gunahan e kabeera mai sai aik hai lehaaza aap k laazim hai k aap tauba karein or tauba k ilawa choonke aap ne ehad bhi kia tha allah sai k aap yeh kaam nahi karein gay or aap ne mukhalifat ki tou ab aaap par laazim hai k aap kaffara bhi dein. Kaffara:jo shaks ehad par amal na karein tou wo gunehgaar hai or us k liyeh zaroori hai k 60 faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya 2 mahinay musalsal roze rakhay ya aik ghulam azad karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2632). [Updated on 05-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main Quran pak pr hand rkh k kasam khai k apni behan sy bt ni kroo gi.. Ab kasam toot gye.. Mjy bht preshani hy. Iska Kia kafara ho ga?
Answer: is tareekay ki qasam durust nahi q k is mai qasam ki sharait moujood nahi lehaaza kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2633,2634) [Updated on 24-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: سلام علیکم، میں نے غصہ میں جذبات میں بلا اختیار اپنی پھپو عزت بڑھانے کے لئے اپنی ساس امی کے دل سے اپنی پھپو کی نفرت کو ختم کرنے کے لئے مجبورا قرآن اٹھا کر قسم کھا لی ہے اس مسئلہ کا حل بتا دیں
Answer: Aap ki ye qasam durust nahin hai lehaza aap par koi zimmedari nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah 2634). [Updated on 10-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam mere bhai ki death hogai aur mainy neeat aik ki k mein apny aur bhai k aur abu k qaza rozy rkhunga ga aur zindagi bhr rkhunga aur aik din mainy decide krlyia k is din rkhunga lekin abhi tk main aik bhi roza nhi rkh paya hu is ka kia kaffara hoga
Answer: Bazahir aap ne jo kaha hai is se ye lagta hai ke aap ne na nazar/maani hai, na qasam khai hai or hi koi ahed kiya hai lihaza aap par koi kaffara nahin hoga. Han! Abatta agar aap ke apne qaza roze aap ke zimme hain to un ki qaza baja lana aap par laazim hai or dusri baat ye ke agar aap apne walid sahb ke bare bete hain to aap par walid sahb ke qaza roze or namazen ehtiyat e wajib ki bina par wajib hain lekin agar bare bete nahin hain to walid sahb ke qaza roze or namazen aap par wajib nahin hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1356,1371,1683). [Updated on 25-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi zabaradasti kisi sa Qasam uthwae or Qasam uthana wala na chahta ho uthana but us admi ko zabardasti us mamla sa jor kar Qasam uthwae jae or wo admi apna nazarya ka mutabiq Qasam uthae tou islam is baara mein kya hukam detaa hai?
Answer: Jo shakhs qasam khaaye zaroori hai ke wo apne iraade aur ikhtayaar se qasam khaaye. Lehaaza us shakhs ka qasam khana jise majboor kiya gaya ho durust nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah 2634). [Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya quran pak me manat puri krny k hawaly sy koi ayat h?
Answer: Jee han, surah rad ayat #20, surah hajj ayat #29, surah insan 7 me manat pori karne ka hukum bayan kiya gaya hai. (Ref: https://previous.quran.com/ ). [Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum Agr aapko koi aapke bht pyare jese aapki maan ki kasam de ghuse men aur kahe ke mere se taluq mat rakhna. Toh is soorat men kia yeh kasam theek maani jaati?
Answer: Yeh qasam saheeh snahin hai. Q ke Jab koi qasam khaye ke falan kam anjam dega ya tark karay ga to is tarah ki Qasam ki chand sharaait hain: 1. Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye, 2. Jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho, 3. Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho, 4. Qasam k alfaz zaban per laye, 5. Us qasam per amal karna mumkin ho. lehaaza agar in sharait men se koi aik bhi shart maujood na ho to ye qasam durust nahin hogi aur na hi aap par kaffara wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634). [Updated on 05-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]