Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15188
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Marhooma ki property me bachon or shohar ka haq

Answer: Agar aurat ki usi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saare maal ka chothae(1/4) hissa shohar ko or baaqi maandah hissa doosre wurasaa ko milta hay. Agar marhooma k maan or baap zinda nah hon to baaqi maandah hissa bachon men taqseem hoga wo is tarah se ke har bete ko 2 hisse aur har beti ko 1 hissa mile ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2727). [Updated on 08-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15208
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bhen ka baap ke Saman mein hissa Kitna hoga

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Agar aap ka sawal meeras ki taqseem ke hawale hai to is men ye hota hai ke agar kisi shakhs ki wafat ho jaye aur us ke waris faqat aik beta aur aik beti ho to meeras ke 3 hisse kiye jayen ge jin men 2 hisse bete ko aur 1 hissa bete ko mile ga. yani bete ko beti se dugna(double) hissa mile ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e maslah #2690,2693,2694). [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15313
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O alikum Meray walid ki wafat ho chuki hai. Unki 2 biwiyan hai, pehli ka انتقال ho chuka hai, jin say 2 bachy thay, ab sirf 1 bacha reh gaya hai. Dosri biwi say 5 bachay hain or biwi bhi hayat hai. Jaidad ki taqseem kis tarah ho gi?

Answer: 1. Biwi ko jaaidad ka 1/8 milay ga lekin ghar ki zameen sai biwi ko hissa nahi milta han jo cheezein ghar mai moujood hain ya bank balance ya doosri maaliyat mai sai 1/8 hi milay ga. 2. Aulaad mai baiton ko betiyon ki nisbat dugna hissa milay ga. Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2694,2727). [Updated on 20-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15377
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Chachu ki death ho chuki h or un ki biwi ny dosri shadi kr li h or ab dada Abu ki death ho gai h per aunhy ny abi Kasi KY Nam zameen ni lagai to Kya chachu ki bati ko hisa mily ga ya ni

Answer: Agar marhoom ki aulad nah ho tu os k baite ki aulad chahay baiti hi Q nah ho, marhoom k baitay ka hissa paati hay or baiti ki aulad chahay baita hi Q nah ho marhoom ki baiti hissa paati hay..(Ref: tauzihul masalel, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah # 2701, edition#44). [Updated on 27-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey] Note: Bayan karda masle k mutabiq marhoom ki poti ko meras milay gi.

Id: 15410
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Biwi ky naam ghar ho aur biwi ka inteqal hojye tou shohar ka hissa aur (1) beta aur (2) betiyon ka kitna hissa hoga

Answer: Agar aurat ki usi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saare maal ka chothae(1/4) hissa shohar ko or baaqi maandah hissa doosre wurasaa ko milta hay. Agar marhooma k maan or baap zzzinda nah hoon tu maal k 4 hisse kiay jain gay or 2 hissay marhooma k baite ko or 1 hissa 1 baiti ko or doosra 1 hissa doosri baiti ko diya jaey ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2727). [Updated on 29-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15431
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere walid ki death hu chuki hai 11000000 chorr k gaye hain 3 sisters or 2 brothers hain or walida hain sabko kitna kitna milay ga plz guide kar dain walid pe walid k koi wajibaat baki nahi hain

Answer: Aap k sawal k mutaabiq aap ke walid sahab ka inteqaal hogaya hai un ki aik zoja hai ( yani aap ki walida) or un ki 3 betian hain (yani aap ki sisters ) or un ke 2 betay hain or aap ke walid sahab ke uppe un ke koi wajebaat nahe hai or meraas 11000000 hai tou is ki taqseem kuch is tarah sai hogi. aap ke walid sahab ki zoja:(aap ki walida) ka hissa 1/8 hoga yani 11000000/8= 1375000 or baaki meraas jo bach gaye hai us mai baiton(sons) ka hissa baition ( daughters) ki nisbat dugna hoga. 11000000-1375000=9625000 1st daughter=1375000 2nd daughter=1375000 3rd daughter=1375000 1st son=2750000 2nd son=2750000 is tarah total meraas =11000000 taqseem hojaaeghe [Updated on 22-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15440
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar baap apne jaydad zameen me ladkon (boy) ko hissa ek brabar nahi do to kya baap ko gunaah mile gi ? Janab sistan sahab

Answer: baap apni zindagi may jis ko chahay utna day sakta hay or Baap ne jo maal apni zindagi men apni aulaad ko de diya wo tohfa (gift) shumaar hota hai or jisko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meras k ahkaam nahi ate. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1320 , Eidition 1417 hij). [Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15442
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar baap apne jaydad zameen me ladkon (boy) ko hissa ek brabar nahi do to kya baap ko gunaah mile gi ? Janab sistan sahab

Answer: Baap apne zindagi may jis ko jitna tofa chahay apnay maal may say hissa day sakta hay , q kay batay ka apnay baap kay mal per un ki zindagi may koi haq nahi faqad Baap k inteqaal k baad jo maal Baap ki milkiyat main tha or sab baito baitiyo or biwi main meeras ki makhsoos taqseem k mutabiq taqseem hoga.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1439 hij). [Updated on 10-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15546
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum maa ke inteqal ke baad maa ka zevar beti ka hoga ya bahu ka?

Answer: Bahu ko is me se kuch nahin mile ga albatta beti ko mile ga lekin sharaei taur par Maan meeras taqseem karte hue. Meeras ki taqseem k liye marhooma k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Marhooma ke Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Marhooma ke Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hote hen. 3rd Group: Marhooma ke chaha, phophi, mamu, khala hote hen. Or jab tak aik tabqe k afrad mojood hon chahe aik fard hi Q nah ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahin di jaey gi. (Ref: Tauzeehul masael, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2691,2694). [Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15574
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri maa ki saari jaidad h mere teen bhai do behen h kul hum 5 hain lekin do bete badqaar h jo meri maa pr zulm krte h aur aulaad ka haq ni nibhate kya aise bacho ka bhi hissa dena waajib jo maa r zulm karte ho aur maa ko maa ni maante?

Answer: Jee han, is surat mein bhi meeras mein un ko apna hissa (jitna banta hai) mile ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, edition #1443, Mafhoom e Maslah #1294). [Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!