Question: Salaam, kia kalay colore ke kapray pehnna jaez hay, is baray main kia hukm hay?
Answer: Kalay color ke kaprhay pehenna karahiyat k saath jaiz hay(yani mahroh hay.(Ayat Ullah Khamnaie(d.b), taleemul ehkaam,pg#125).
Question: humara hous ka bahir kesc ki tar jate ha kia hum us sa bijli la sakta han jub ka kesc walo na mana kia ha or hum us sa pani bhi bharta han.
Answer: Bijli(electric) k meter ko chalnay say rookna or onhain chairhna jaiz nahi hay.or kisi bhi jagah bijli ka ghair kanoni istemaal jaiz nahi hay or aisa kaam kernay wala zaamin hay laikin is chori ki bijli say haasil honay walay paani say wuzu or ghusul durust hain or namazain bhi sahi rahain gi.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Jaded fiqhi masail, maslah #229,Mujtahid say pochay gay sawalaat, part#3,maslah#186 ).
Question: je aik general sawal hai. kya yew website shia biradaree ka hai ya suni biradare ka shukriya
Answer: Is web site per faqat fiqha e jaffaria k mutabiq hi jawabat diey jatay hein.
Question: aslam o alikum.mojay yah ask karna hai k mard hazrat neechy k hair kitny din bad remove kar saktay hain or remove na karnay pay kiya hota hai explain it this problame please
Answer: 1)Rawayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he.2)Rawayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2) 3) Darhi key elawah jism key baqi baal katna jayez hay (ref:www.qoitrat.org/QA/other/q.198) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: AOA.is it we clean our body(uder arma & uder naff part) in Fasting.plz send me answer by Email Allaha hafiz
Answer: 1)Darhi key elawah jism key baqi baal katna jayez hay. (ref:www.qoitrat.org/QA/other/q.198) 2)Riwayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he.3)Riwayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: MERHOOM KA KIA MATLB HOTA HEI
Answer: Merhoom k 2 matlab hain: 1) Rehmat kia gaya, bakhsha gaya, maghfoor, jannati. 2) Mara hoa,faut shoda, mutawaffi.(Ref: ferozul lughaat jaame, pg#1226) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: KYA AULIA ALLAH SE MADAD MAANGNA SHIRK HAI?AGAR NAHIN HAI TOU HAME USKA SABOOT QURAAN SHAREEF KI ROUSHNI MEIN SE AAYAAT KE ZARIYE DIJIYE
Answer: Agar dua ko nabi (s.a.w.) aur ehlay bait (a.s.) k sath milaya jay to dua qabool honay k nazdeek ho jati he. (ref : web site ayatullaha sistani d.b. http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1346 ) 2) Quran sorah e maa,ida sorah#5 ki ayat#35 bhi wasilay k ikhtiyaar kernay ka hokum daiti hay: “ emaan waloon Allah se daro or os tak pohanchnay ka wasila talaash karo or o ski raah main jihad karao keh shayad is terah kamiyaab ho jao.”(Ref:anwaarul Quran tarjuma or tafseer Allama zeshan haider jawwadi, pg#258-9) Or Quran sorah e nisaa sorah#4 ki ayat#64 bhi wasilay k ikhtiyaar kernay ka hokum daiti hay: “………or kaash jab in logo nay apnay nafs per zulm kia tha tu aap k paas aatay or khud bhi apnay gunaho k liay istighfaar kertay or rasool(s.a.w.w)bhi on k huq main istighfaar kertay tu ye khuda ko berha hi tauba qabool kerne wala or meherbaan paatay.”(Ref:anwaarul Quran tarjuma or tafseer Allama zeshan haider jawwadi, pg#258-9) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: masla no 1260 se taqriban 70 k m city jatahun usi din ya rat me wapas ajatahun wanha mai puriv4 rekat nemaz parta hun sahi hai
Answer: Sab say pehlay tu hum aap per ye baat wazeh ker dain k Ayat Ullah Seestani(d.b), ki Tauzee hul masail, ka maslah#1260 ka aap k sawaal say koe tal’luq nahi.maslah # 1260 k mutabiq agar safar per janay or wapas anay ka faaslah sab mila ker 44 km ho or jis din gaye hoon osi din ya raat ko wapas palat ker nah aa’en tab bhi safar main qasar perhni hay. Agar aap ka safar 8 sharait k mutabiq tha tu aap ko is safar main 4 rakati namaz ko 2 rakat hi perhna hoga.agar aap ko maloom tha k qasar namaz perhni zarori hay or aap nay ghalti say pori perhli thi tu ehtiyaat ki bina per qaza perhna zarori hay. Or agar aap ko ye maloom hi nahi tah k aap ko namaz e qasar pehna zarori hay or aap nay pori 4 rakat namaz perhi tu ye namaz sahi mani jay gi. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1260,1344-5).
Question: mari do fajar ki namaz qaza ho gi han ma un ko kasa aada kro.please tell me soon
Answer: Jis shakhs ki namaz qaza ho jaay to zurari hay k is ki qaza perhne me khothai na karay albat’tah is ka foran perhna wajib nahi hay. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha Khoei d.b masla no 1381) (Aap donoo fajar ki namaz qaza ki niyat se perhain aur toba bhi karein ke dubara namaz qaza nahei karoon ga).
Question: ji hum ye poochna chahte hain ki roz jo paise satqe ke liye nikale jate ahin un paise ko agar zaroorat pade to kya rs rakh k badal sakte hain kuch haraj to nahi hoga
Answer: Sadqa alag rakhne se sadqa nahi banta. (ref : website ayat ullaha sistani http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=228&sid=0&eid=0&page=2 , ques # 12 , sadqa)