Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1390
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam Aalikum Misken aur garib log jo Masjid me bikh mangtay hay kia un ko Masjid may unki madad ki ja sakti hay qunkay Fiqh Hanifi kay mutabiq Masjid may kisi ki madad karna mana hay.

Answer: Jee nahi haram nahi hay.balkeh maangnay walay(saa’il) ko mana kerna makhroh hay chahay gumaan(zan) ho k ye ghareeb nahi hay balkeh os ko dain chahay cheez ki miqdar kam hi kun nah ho. Masjid main awaaz ko buland kerna makhroh hay laikin azaan k liay awaaz ko buland kerna mana nahi hay.(Ref: A.Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#901) & Minhajus Saliheen Part#2, masla#1610).

Id: 1416
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o Alikom Sir mujy namaz e jumah k 2 farz ki niyyat btta dain Allah Hafiz

Answer: Ans : zurari he ke insan namaz qurbat ki niyat se yani khuda ki bargah me pesti aur khezu ke izhar ke lia perhe aur ye zurari nahin ke niyat ko apnay dil se guzaray ya maslan: zaban se kahein….. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 930)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1422
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya lerkyon ki bhi khatna hoty hay or agar hoty hay to kis umer mei hoty hay

Answer: 1)Circumcision(khatna) faqat mardon ki wajib he. ( rec : Email rec from ayatollah sistani d.b. on 26 nov 2010) 2)Aurat k lie khatna karma mustahib he agar chah wo balig ho jay aur bather ye he k aurat ki khatna 7 sal honay k bad ho. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 1382)

Id: 1477
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalmoalaikum, janab mai apko ek zehmat de raha hoon,pls hamare sawal ka jawab jaldi dene ki koshish kayega... kya apke masail par sunni firke ke log amal kar sakte hai

Answer: Jee haan, aap shia fiqh per amal kar sakhtay hein. (ref : E-mail rec from ayatollah sistani d.b., 01-28- 2011)

Id: 1483
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا فلم میں کام کرنا حرام ہے؟

Answer: har sorat main haram nahi.

Id: 1484
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hi

Answer: hi ok

Id: 1492
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hmry fiqah m aik gai m ktny hissay ho sakty hai???..Hadess ky sth jawab dy ga..

Answer: Baqar eid ki Mustahab qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha ª1431¡ hashiyah#27, sawal#4).

Id: 1497
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: details of how much nan nafqa after marriage on husband

Answer: Aurat ki ghiza (fooding), libaas , rehaa’ish (housing), aur zandagi ki baqi zaroriyaat ka intezaam sohar per wajib he. Agar wo ye cheezain mohaiya na karay to chahay un k mohayia karnay ki qudrat rakhta ho ya na rakhta ho wo biwi ka maqrooz he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2376).

Id: 1501
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ziyarat IMAM HUSAIN A.S apne marhoomin ko bakhsh sakte hain

Answer: Esaal e sawaab darhaqi’qat khuda ki baargaah me is baat ki aarzoo karna he k jo sawaab k tayhait wo(allah) ata kar reha he osay us k badle kisi aur ko ata kar de. Is etibaar se ye bhi aam duaoon ki tarah aik dua he jo k jaiz he. Is ke lie kisi khaas naiki ki zarorat nahi he,balkeh pichlay amaal k hawalay say bh esaal e sawaab kia jasakta hay,(maslan ziaraat e Imam Hussain a.s.) ( mujtahid se pochey gay sawalat , part # 1 , ques # 199 , pg # 94).

Id: 1520
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam,kia razor se unwanted balon ko saaf karney mein koi ishkal hai??

Answer: Jee haan.auratain(women) apni body say baal(hair) remove kernay k liay loha(Iron) istemaal kersakti hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), email Rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) dated 15-07-2010) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!