Question: Is smoking allowed according to ayatullah Sistani???
Answer: 1)cigratte nooshi is surat me haram ho gi jab is se mustaqbil(future) me hi sahi, koe barha nuqsaan pounchta ho. Farq nahi parhta k is nuqsaan ka yaqeen ho, gumaan ho ya aisa eithmaal ho jis se uqlaa(ahl e ilm) khoof mah’soos karain. Laikin agar kisi barhay nuqsaan ka khatra na ho, agarchah kasrat se istemaal na karna ki wajah se ho , cigratte nooshi main koi haraj nahi. 2) Agar ba’qaidgee se cigratte nooshi se koi barha nuqsan pounchta ho to usa tark karna zurari he. Magar ye k cigratte nooshi tark karne se bhi itna hi barha nuqsaan pounchta ho ya is se barha bura nuqsaan pounchta ho ya cigratte nooshi tark karne se is qadar tang aa jaay jo aam halaat me na-qaabil e bardaasht ho. (ref : jadid faqhi masail , ques # 358 , pg # 218,219)
Question: is it permissible to send money to pakistan for qurbani rather then doing it here in australia?
Answer: There is no problem in that. (Ref : e-mail rec from ayatollah sistani d.b. Mon, January 24, 2011 4:13:47 PM)
Question: I have 1 male friend he wants to marry with me according to him he is 1st sunni and then he believes on Bohra shia and i m sunii i m confused like as per islam can i marry with him or i cannot because i dont want to go gaianst islam. please reply me.
Answer: Ye shia web site he aur is per faqat fiqh e jaffary hi k jawabat die jatein hein
Question: facz aur wajib main kia farq hy.
Answer: Note: is website per fiqh e jafariya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Wajib or farz har wo amal hota hay jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nigah me zarori or laazimi ho. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) fiqhi istelahaat pg # 479).
Question: How old mohd saw....
Answer: 63 years (ref : naqooshe ismat pg # 17) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya aurat ko bhi naaf ke neechey ke baal ko kaadna chahiye
Answer: 1)Riwayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he.2)Riwayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2) 3) Auratain(women) apni body say baal(hair) remove kernay k liay loha(Iron) istemaal kersakti hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), email Rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) dated 15-07-2010) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Islam may shuhar per kis ki zimedari or khushi aur HAQ zada hay . Admi per biwi ki zarooriyat or khuwahish ka ya Step brother or onki zarooriyat ka
Answer: Biwi ki ghiza , libas , rehaish , aur zindigi ki baqi zurariat ka intezam sohar per wajib he agar wo ye cheezain mohyya na karay to chahae un k mohyya karney per qudrat rakhta ho ya na rakhta ho wo biwi ka maqrooz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayatullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalam alaykum , mera sawal yeh hai ki , mere panis se liqued aata hai& kabhi mani bhi aajata hai pishab karte time ,plz koi dua bataen
Answer: 1) Ratoobat jo peshab k bad niklte he aur jise wadi kahte hein agar peshab us se mila hua na ho to pak he. Mazeed ye k jab kisi shakhs ne peshab k bad istebra kia ho aur is k bad ratubat kharij ho jis k baray me shak ho jis k baray me shak ho k wo peshab he ya koi aur ratubat, to wo pak hein. 2)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69,70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir app yeh batyn kay ye side kis kisam ky questions ky liye buni hai?
Answer: Quran-o-Itrat Academy ki is website per fiqh e jafferriya k mutabiq tamaam fiqhi sawalaat k jawabaat mujtahideen karaam k fatwo k hawalay k saath diay jatay hain.or saath saath mushkilaat k hal k liay wazifay bhi bataay jatay hain. Quran-o-Itrat Academy web is all about Istifta , Books Of Mujtahid ( Maraja-e-Uzzam ) with the online question and answer system for commonly asked questions. And many more about Islam and other Shia features. Was-salam
Question: we can watch and create animated films of karbala battle or on nabi and imam movies
Answer: Agar in filmo or dramo main in muqaddas hastiyoon ki tazeem o takreem k taqazo ka khiyaal rakha jay or sami’een o nazreen k dilo main in muqaddas hastiyoon ki jo tasawwuraati tasweer maujood hoti hay osay bura asar nah milay tu koe haraj nahi hay.(Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, maslah#592).