Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1806
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: under shave kahan se kahan tk krni chaeye

Answer: 1)Rawayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he.2)Rawayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2) 3)ye tamam kam , Darhi key elawah jism key baqi baal katna jayez hay (ref:www.qoitrat.org/QA/other/q.198) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1811
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Please can u tell me that where this academy belongs.. and how qualified you are for the Islamic answers....

Answer: Please visit this link for your answer: http://qoitrat.org/about/ . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1858
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe gandi adat lag gai he mere itni kosis ke baad bi mujh me sudar nahi aa raha. Me bahut awara kism ka ladka ban gaya hu. Meri mudad kijiye.

Answer: sab sai shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na farmani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhna, waghaira. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 1936
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam valekum, Mera naam Mohd. Salim hai mujhe apne sunni islam k bare me puri tafseel se jankari chahiye. or mujhe fatiha karne ka tariqa-e-book nahi mil pa rahi hai, me aapse guzarish karta hu ki mujhe fatiha book or sunni islam ki jankari di jae

Answer: Note : Is web site per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1937
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: keya ahle sunnat k liye namaz mein karbala ki mitti agey rakh ker namaz parhna jaen hey ?

Answer: Sunni hazraat shia fiqha k mutabiq amal kar sakhtay hein. (ref : e mail rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : January 28, 2011)

Id: 2001
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere husband k muu se muje maa ka lafz nikl gaya tha kia is ka koi kafara dena pare ga plz reply as soon as possible

Answer: Is terha se zouja haram nahi hoti he aur na hi koe kaffara ho ga. Q k ye zihaar nahi keh laay ga. Or zihaar ye hay k sohar apni zouja ko mukhatib kar k ye sighah arabi main kahay k “anti alaiya ka zahri ummee” aur zaruri he k zihaar ka sighah 2 aadil mardoon k samnay kaha jaay aur wo dono sunain. Aur shohar apnay ikhtiar se kahay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 634-640) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2014
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Napaki k Baal remove krne ka tariqa batain or kahan tak kaat ne chaiyen

Answer: 1)Riwayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he.2)Riwayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2025
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: me cigrate bohat peeta hun ap ye bataye ke cigrate peena islaam me makru he ya haraam or daleel bhi batayega take me dusro ko bhi bata sagu

Answer: 1)cigratte nooshi is surat me haram ho gi jab is se mustaqbil(future) me hi sahi, koe barha nuqsaan pounchta ho. Farq nahi parhta k is nuqsaan ka yaqeen ho, gumaan ho ya aisa eithmaal ho jis se uqlaa(ahl e ilm) khoof mah’soos karain. Laikin agar kisi baray nuqsaan ka khatra na ho, agar chahe kasrat se istemaal na karna ki wajah se ho , cigratte nooshi main koi haraj nahi. 2) Agar ba’qaidgee se cigratte nooshi se koi barha nuqsan pounchta ho to usa tark karna zurari he. Magar ye k cigratte nooshi tark karne se bhi itna hi barha nuqsaan pounchta ho ya is se barha bura nuqsaan pounchta ho ya cigratte nooshi tark karne se is qadar tang aa jaay jo aam halaat me na-qaabil e bardaasht ho. (ref : jadid faqhi masail , ques # 358 , pg # 218,219) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2052
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ahle hadith ki taqleed me panch namazo ki total kitni raqate he tafshil se batae

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hein.

Id: 2103
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghair Muslim k tehwar, maslan, Easter, Chrismas, waghaira per un ko mubarakbad dena, unki taqarib main shirkat karna aur taqareeb main khana peena jaiz hai?

Answer: It is permissible to greet Ahlul Kitãb (the Jews and the Christians, etc) and also the non-Ahlul Kitãb on the occasions they celebrate like the New Year, Christmas, Easter, and the Passover. (ref : email rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : April 25, 2011)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!