Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13233
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalm alaikum... sir mera sawal yeh hai ke mard HAIR REMOVING CREAMS se apney gair zaroori baal saaf ker sakta hai???

Answer: Wa alaikum salam, Jee haan jaiz hay. (Ref: Email rcvd by ayatullah sistani). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13246
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir hum 2 boys friends hain jub b milty hain kiss karty hain 1dusry ko kya dosti main kiss krny sy gunnah hota h? hum ksi kism k gunnah ka irada nhi rkhty hain.

Answer: Mard ka mard ko jinsi lazzat ki niyat sai bosa dena haram hai. lekin jinsi lazzat ki niyat ke elawa jaiz hai.(Ref : Jaded Faqhi Masayl, Ayatullah Sistani d.b. Maslah # 500, pg # 261) [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13346
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alikum, Islma ma gazlain parhna jaiz hain? (Hamara school ma perhai jati hain in 9th class in pakistan lahore) Jazak Allah

Answer: Agar ye wo qalam ho jise aisi lae ya sur k saath gaya jaay jo lahu wa laeb ki mehfil se makhsoos ho to haram he aur us ka sunna bhi haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2043). [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13458
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam . I was reading somewhere that some of our scholars prohibits us to read the ideology or books written by the great Iranian Revolutionist Dr Ali Shariati . Kindly let me know in the regard .

Answer: Gumraah karne wali kitabo ki hifazat karna, inko chapna, inko baichna or khareedna jabkeh khud ya kisi k gumraah hone ka ihtimaal ho haram hay. agar kisi shaks ko itminaan ho keh wo gumraah nahi hoga tu jaiz hay. isi tarah agar koe ehem maslihat maujood ho tu bhi jaiz hay. gumraah kun kutub se muraad aisi kutub hain jo bbatk aqaed or aaraa per mushtamil hoon chahay deen islam k khillaf ho mazhab e shia k khilaf.(Ref: Minhajus saliheen, jild#2, maslah#36). Note: DR. Ali shariati ki kutub gumrah kun kutub main shumaar hoti hain. [Updated on 23-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13530
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Biwi ko salam kar sakte hai

Answer: Jee han, Biwi ko salam kar saktay hain. Aur Salaam karna mustahab hai aur is amar (kaam) ki bohot taaqeed ki gaye hai k sawaar pedal ko aur khara huwa shaks bethay huwe ko aur chota, baray ko salaam karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1135) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13619
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hmary gar guest aye huwy that miny unka shampoo bgyr ijazat k istmal keya ye b gunah or chori hay?

Answer: Dosre ki cheez ko bager Ijazat istimal karna jaiz nahin hai. (Ref: Ayatullah sistani, mujtahid se poche gae sawalaat, jild # 4, mafhoom e masala #147) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13620
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir kia Gana gaa denay sa ya sun lenay sa wuzu toot jata ha?

Answer: 1: Jee nahi, ye wuzu ko batil(torne) wali cheezon mai sai nahi hai. 2: Ghina(song) haram hai, Is sai murad wo batil kalam (alfaaz) hain jisay aisi lai (taraz) k sath gaya jay jo lohv o laeb(faajir o fasiqo) ki mehfiloo sai maqsoos ho. aur gina ka sunna bhi haraam hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 39th, maslah #322,2043), (Ref: alfiqh lilmugterebeen ,aqa sistani, pg: 62). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13640
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaam O Alaikum. Muhtaram mera sawal ye hai ke, koi shakhs agr Syed nahi hai magr phir bhi apney naam per syed ya Rizvi, Zaidi, Naqvi etc... Lagaey to us ke liye Sharah me kia hukm hai ? Rahnumai kijiye.. Wassalaam

Answer: Jo shaks bhi janab e hashim se mansoob hone ka dawa kare tu os k dawe ko qobool nahi kia jaey ga magar ye keh 2 adil mard ki gawahi ho. Haan, agar kaseer tadaad main loog is k syed honay ki gawahi dain ya is shaks k asli shehr main syed hona mashhoor ho ya kisi uqlae bunyaad ki wajah se os ki baat per itminaan ho tu os ko syed tasleem kia jaey ga. Lekin agar wo jhoot bol raha hai to phir Jhoot bolna gunah e kabeera hay chahay is jhoot se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. (Ref: Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen Part#1, Maslah # 30 & 1262, Edition 1439). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14133
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: chatano ki ten bree aqsam hi

Answer: Chattanon ko in ke asal ke mutabiq teen(3) bari jamaaton taqseem liya jata hai. 1. Aateshi(Igneous) chattan, 2. Tehdar(Sedimentary) chattan, 3. Munqlab(Metamorphic) chattan. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%AA%DB%81_%D8%AF%D8%A7%D8%B1_%DA%86%D9%B9%D8%A7%D9%86%DB%8C%DA%BA ). [Updated on 20-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14467
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KIA GAND K BAAL KATN AJAIZ HAN

Answer: Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k mard zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kare, Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). (Note: zair e naaf baal or baghal k baalo k kaatne ki takeed e mustahab aae hay laikin dubur(anus) k baal ki takeed e mustahab nahi aae aur riwayat men is se mana bhi nahin kiya gaya lehaza maqam e pakhana ke balon ka katna jaiz hai ). [Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!