Question: Was there any other Adam or World before this world and Adam. If yes then will there be other Adam
Answer: Rasool allah ne farmaya : allah ne haZrat adam (a,s) se phele 100000 adam paida kie hai . www.kazmis.com/Maqalat-4/42.htm (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam walekum mai ye janana chate hu ki agar mere pass do ring hai ek yakoot aur ek aqeeq ki par mai koi ek ring pahne chate hu toe kuan si ring jyada behter hai.
Answer: Mujtihideen ne namaz perhne wale k lie aqeeq ki anghuthi (ring) perhne ko mustahab qaraar dia hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #852). Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Rasool allah(saww) ne Hazrat Ali(a.s) se farmaaya :Red aqeeq ki anghuthi( ring) pheno Q k is ne khuda ki wahdaaniyat(unity) aur meri nabuwat aur Hazrat Ali(a.s) aur un k aulaad ki imamat ka iqraar kiya. Allah ne farmaya jis haath me aqeeq ki anguthi (ring) hogi me aatish e jahanum me us haath ko azaab nah karo ga . Imam Ali Raza ( a.s) ne farmaya yaqoot ki anghuthi( ring) phenne se pareshani zael hoti hay. (Ref: Tehzeebul Islam, Allama baaqir majlisi, pg#32,36,38,39). Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam u alaikum. Mera sawal ye hai k kya periods ki halat mein aurat Allah k naam ka locket pahen sakti hai? . Agar pehle se pehna ho aur gold ka ho to kya bathroom jate hue ya periods me utaar dena chahie ya pahen sakte hain
Answer: Agar Allah k naam k locket ki likhae(writting)aurat k badan k kisi hisse se diret mass (touch ) nah ho rahi ho to wo pahen sakti hai . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448,354 ,131). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: wali yani kia hai me ne ye sawal bht dhoonda pr nai mila
Answer: Wali yani sarparast maslan (1)baap , (2)dada, (3)shohar, ya (4)Hakim e shara(mujtahid). Kanwari lerki, nabaligh lerkay or pagal k wali on k baap ya dada hote hain, bivi ka wali os ka shohar hota hay or jis pagal or nabaligh bache ka k baap or dada nah hoon tu os ka wali Hakim e shara(mujtahid) hota hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #57,67 , Eidition 1427 hij). Update on dated. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Imame zamana kay 4 naibun kay naam
Answer: Imam e zamana k 4 naebeen k naam: 1-Usman bin saeed amri, 2-Muhammad bin usman bin saeed,3- Husain bin rauh,4- Ali bin Muhammad bin sumari. (Ref:Mafhoom e http://porseman.org/q/show.aspx?id=95395 ). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia qalmay me aliyanwaliullah parrhna lazmi hai ya la illaha illallaho muhammadurosoolallah kehna bhi thik hai??
Answer: Imam jaffer sadiq a.s se riwayat hay k “ jab tum main se koe laa ilaaha illal laah, muhammadur rasoolul laah, tu os chaiay fauran k kahay: aliyun ameerul momineen. (Ref: http://www.aqaed.com/faq/614/ ).
Question: Mera sawaal ya hai ki agar koi insaan jamaat-e-namaaz ki toheen karta hai to us insaan ko kese samjhaya jaye ki wo galat kar raha hai..agar jamaat se mutaaliq imamo ka yaa rasool (s.a.w.w) kea koi bhi qaul hai ya hadees hai to please bata dijiye?
Answer: Imam zainul abideen ne paish imam k jo huqooq bayaan kiay hain on ka khulasa ye hay k paish imam k bare main jaan lain k wo aap or Allah k dermiyaan safeer hay, wo aap ki janib se (namaz main) Allah se baat kerta hay jab k aap oski janib se kalaam nahi kerte, wo aap k liay(namaz main) dua kerta hay jab k aap os k liay dua nahi kerte, wo aap k liay dua maangta hay jab k aap os k liay dua nahi maangte . Lehaza jo khidmat os ne aap k liay anjam di os k liay aap os k shukar guzaar reho.(Ref: Risala e huqooq hazrat imam e sajjad, Mafhoom e huqooq#29). Update on dated 25-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam-o-Alikum kya camera sa pictures bnana jaiz ha...answer plz
Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #18 , Eidition 1427 hij). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalamualaikum hazrat edrees AS ki kis umar me wafaat hui?plz reply
Answer: Hazrat Idress a.s hayaat hain. (Ref: Mafhoom e http://tahaffuz.com/2460/#.VZ2EQl-qpHw ). Update on dated 12-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: woak kaya ha jis ka dosra nhi wo do kaya ha jis ka tisra nhi wo teen kaya ha is ka chotha nhi wo char kaya ha jis ka panchwa nhi
Answer: Allah aik hai us ka dosera koi nahe hai,din aur raat do hain un ka thesera koi nahe hai, loh,qalam ,kursi theen hai un ka chota koi nahe hai,turait,zaboor, injeel,quraan chaar hain un ka panchwa nahe hain,5 namaaze hain un ki chethe koi nahe . (ref:KotNajiBullaH - یہودیوں کا ایک بڑا مجمع اور ان میں یہودیوں... | ...https://www.facebook.com/permalink.php?id=362252290491378...) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).