Question: Week me sab se zyda koun sa din afzal hai?
Answer: Riwayaat men Jumme ke din ko tamam dino se afzal qarar diya hai. (Ref: https://mafatih.net/?p=1918). [Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam O Alaikum Mera baita 2 saal ka ho gya jab say peda hua bohat zorr lga kr motion krta chahy loos motion b karay. Or Motion me aksar blood b aatta hai kindly ilaj btaye
Answer: Doctor se masloom karen. [Updated on 05-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jb sy mera beta paida hua us k bad sy meri tabiat th nh h. Or mjhy apny pait me ajeeb sa kuch feel hota h jesy gilti type kuch h jisko dbany sy halka sa pain feel hota h or jaha sy dabao waha sy ht jati h esa q hota hy mere sth
Answer: Is silsile men doctor se ruju karen. [Updated on 21-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya imam mavia b Shaheed huwa tha
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mujha road sa billi mili jo dari hoi thi mujha nahi pata wo kisi ki ha ya nahi lakin ma usa ghar la aya tha Tou kya ya chiz chori krna ma ati ha?
Answer: 1: Jee nahin chori karne me nahin aati, lekin agar us par maalik ki taraf se koi nishaani ya koi alamat wagera nah ho to aap apne liye apne pass rakh sakte hain. aur agar us par maalik ki taraf se koi nishaani ya alamat wagera ho to maalik tak punhchani hogi ke jis wazahat zail me bayan ki jaa rahi hai. 2: Agar koi shakhs aik aisi cheez paaye jis par koi aisi nishaani ho jis ke zariye us ke maalik ka pata chalaya ja sake to agarche use maloom ho keh us ka maalik aik aisa kaafir hai jis ka maal mohtaram hai to us surat mein keh us cheez ki qeemat aik dirham tak pohunch jaaye to zaroori hai keh jis din woh cheez mili ho us se aik saal tak logon ke majme (baithakon ya majlison) mein us ka ailaan kare. Aur agar us ki qimat aik dirham se kam ho to ehtayaat-e-waajib yeh hai keh use us ke maalik ki taraf se sadqa kar de aur jab bhi us ka maalik nikal aaye aur woh sadqa karne par raazi na ho to use us ka aiwaz deday. 3: Agar aik saal tak ailaan karne ke baad bhi maal ka maalik na mile to wo use us ke maalik ke liye apne paas rakh sakta hai takeh jab bhi wo mile use dede aur us muddat mein us ki hifaazat ke sath sath us se istifaada karne mein koi ishkaal nahin. Aur yeh bhi kar sakta hai keh us maal ko us ke maalik ki taraf se faqeeron ko sadqa kar de aur ehtayaat-e-waajib yeh hai keh wo khud na lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2528,2529,2531). [Updated on 05-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran majeed mai hazrat usman ka zikar ki surah mai aya h
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum
Answer: Wa alaikum-us-salam [Updated on 09-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum
Answer: Wa alaikum-us-salam ,jee farmaye,Kya sawaal hay aap ka [Updated on 09-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اسلام علیکم
Answer: w/salam Jee farmayie ? [Updated on 17-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia Mai academy askta hun Kuch sawalat or masly puchny k lia?
Answer: Jee han, aa sakte hain, ya niche diye numbers ke zariye bhi call kar ke poch sakte hain. Tel: (0092-21) 32226948 Tel: (0092-21) 32237207 Office Timing: 8:00 AM - 9:00 PM [Updated on 20-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]