Question: Yasin naam rakhna kyun mana hai?
Answer: Mana nahi hai rakh sakte hen, agarche mustahab hai ke Ap (s.a.w) or 12 Masomeen (a.s) ke naam per naam rakha jaae. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 387 , eidition # 4th , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: dog k bary m kia hukam hy .syed zady pol sakty hn r dog kitna haram hn tafsil sy bataen
Answer: Dog najis hai, yahan tak ke is ke baal, haddiyaan, panje, nakun or ratobatain bhi najis hai,albatta in ko paalna jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 102) . (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 169 , pg # 76 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Quran Majeed m kitni masjid ka zikr aaya hai ? Please
Answer: Quran main 3 Masjido ka naam le ker zikar aya hai: 1-Masjid-e-Zaraarr,2-Masjid-e-Aqsa, 3-Masjid-e-Haraam or 2 masjido ka isharatan zikr aya hay jin k naam ye hain: 1- masjid e quba or 2-masjid e nabavi. (Ref: Quran)(Khuda aap ki tawfiqaat mein Izafa farmaye).
Question: salam, mera sawal ye hai k shareek e hayat k intikhab mai sab se ziada kis bat ka khayal rakha jaye .
Answer: Rasool allah ka irshaad hai : Ek musalmaan k liye islaam k baad aysi musalmaan biwi se afzal aur kohe cheese nahe jis ki taraf dakhe to is ka dil khush ho jaay shaor hokum kare to wo is ki itaat kare ,shoar ki ghair moujoodghe me is ka tahafuz kare Mard jis khatoon se shadi karna chata hai us me in sifaat o khososiyat ko paishe nazar rakhe jo aik misali khatoon me hona chaiay jo pak daaman ho ,shareef ul asal ho , naik ho aur dunyawi aur aakherati muaamlaat me shoar ki madadghaar saabit ho mard k lie ye munaasib nahe hai k biwi k intekhaab k lie us ki nazar srif zahere husun o jamal aur maalo doulat ho. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 386 , pg # 231,232, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: WILAYAT E FAQIH IS WAQT KN HAI.,..? OOR TAMAM MULKO KA AIK HI WILAYAT E FAQIH HAI YA ALAG ALAG HAI??
Answer: Wilayat e Faqih se mutalliq tamaam umoor (masalon) main Ayat Allah Sistani ke muqallid (chahe wo kahi bhi ho) ko in hi ki taraf ruju karna hoga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 7 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: salam mai ye janana chate hu ki aqeeq aur firoza me kaya afzal hai aur isko pahnne se apki kismat badal jati ye sochna shai hai ya galat aqeeq har kaoi par feroza har koi nhai pahne sakta hai
Answer: Wssalam o alykum, dono apni apni jaga fazilat rakhte hain, jesa ke marvi Hadees main hai ke Parwerdigaar e aalam irshad fermata hai ke jis hath main Aqeeq o Feroze ki anghoti ho or wo mere aage dua ke liye phelaya jayaen mujhe us se sharam aati hai or main use na-umeed nahi pherta. (Ref : tehzib ul islaam , baab # 2 , topic # 5 , pg # 39 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: islam se kiya murad hia
Answer: Hazrat imam ali ( a.s) ne farmaaya : me islaam ki wo tareef kar raha hon jo muj se phele koe nahi kar saka hai. ( islaam tasleem hai ,aur tasleem yaqeen hai ,aur yaqeen tasdeeq hai aur tasdeeq iqraar hai aur iqraar adaa e farz hai aur adaa e farz amal hai. ( nejul balaagha.hakeemaana kalimaat no: 125) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A.O.A HALAL OR HARAM JANWAR KA PATA KESY CHALTA HAI PLZ JALDI ANS DY SHUKRIYA
Answer: Wssalam o alykum, jaanwer ki 3 aqsam hain, 1 – pani k janwer jese machli waghera, 2 – urhne wale jese parinde, 3 – na-urne wala jese gaay, bakri waghera, 1 – Pani ka janwer : pani ke janwer main se chilke wali machli( ya jhenga machli) k ilawa koi halaal nahi hai, pas ager machli chilko wali ho or is ka Share tor per tazkiya kiya jaae to machli halaal hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 877 , eidition # 4th). 2 – Parinde : (i)Haram parinde, 1 – Har wo parinda jo cheerne phaarhne or panje wala ho haram hay. 2 –Kawwe ki tamaam aqsaam yahaan tak keh paharhi kawwe bhi ehtiyaat e wajib ki bina per haram hain., 3 –Har wo parinda jo urhte waqt paron ko maarta kam bay harkat ziyada rakhta hai or panje wala hai haram hota hay. 4 – ager parwaaz ki kefiyat se is k halaal ya haram hone ka taayyun karna momkin nah ho to ager wo parinda pota ya sangdana ya paaon ki pusht per kanta nah rakhta ho to haram hai, 5 – wo hewanaat jo baghair par k urhte hain maslan chimgadar, 6 – kirhay or makorhay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2587 , 2588). (ii)Halaal parinde, 1 – Har wo parinda jo urhte waqt paro ko maarta ziyada or beharkat kam rakhta hai, wo halal hay. 2 – ager parwaaz ki kefiyat se is k halal ya haraam hone ka taayyun karna momkin nah ho to ager wo parinda pota, sangdana or paaon ki pusht per kanta rakhta ho to halal hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2587 , 2588). 3 – Na-urhne wale : Darinda sifat wale jin k bare barhe nakoon o panje hote hain in ka kahna haraam hai, jese sheer, lomrhi waghera. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 881 to 882 , eidition # 4th , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam maira sawal hai k bacho ki birthday manani chahiye ya nahi ? agar ham dua parh kar shuro kar k birthday manay is ka kia hokom hai?
Answer: Wssalam o alykum, Ager ortain Shari parde ke sath hon, or mard haraam nazro se pharaiz karain or dosre haraam kaam bhi na ho jese gana bajana wagera ( khulastan k is taqreeb men agr koi haram kaam na ho to) jaiz hai.(Ref : nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 93 , pg # 64 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: aoa mera ya sawal hai ky koi shaks jo syed ho aur uske pas uska shajra na ho tu is ka kia hall hai ?????matlab wo kisi ko kaise yakein delae ky wo syed hai ?????islam ke roshani main jawab dy
Answer: kise ka syed hona sabit hota hai 2 aadil ghawaah us k syed hone ki tasdeeq karainne , ya us k apne sheher me us k syed hone ki mashoriyat ho aur insaan ko us k khilaaf baat ka yaqeen ya itmenaan na ho ya insaan ko kise bhi tareqe se yaqeen ya itmenaan ho jaay k wo syeed hai. . (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 1262).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1810). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)