Question: Zameen ke hisab se Khana Kaba kahan hai
Answer: Khana e kaba shehr e makkah main masjidul haram k darmiyaan maujod hay.(Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%AE%D8%A7%D9%86%DB%81_%DA%A9%D8%B9%D8%A8%DB%81 ) [Updated on 03-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: uloom e ale mohammad sikha rahy hein aap ?
Answer: Yahan fiqhi sawalat ke jawabat diye jate hai. [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ahle sunnat k mutabiq magrib ke namaz jamat se rakat rah jai to kese parhne ha
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ahlay sunnat k mutabiq magrib ke namaz jamat se rakat rah jai to kese parhne ha
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qabar pe charag jalana aur agar bati waghaira jalan jaiz ha, aur kiya quran m ya sunat m charag jalany ka koi hukam ha.
Answer: agar agarbati, lobaan, chirag waghaira ka istemaal maal ka israaf na samja jaraha ho to ye jaiz hai. ( ref: deenk ahkaam,aqasistani,356) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam alaikum, Mere nam ak isme azam kya hai
Answer: Aap ka sawal wazeh nahin hai. [Updated on 20-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam. can you please tell the right pronunciation of name ZAHRA( daughter of prophet Muhammad saw)? is it zahra or zehra? in Arabic? residing in Pakistan. thanks in advance
Answer: it is zahra in arabic pronunciation.(Ref:Al-Qamoos ul waheed page no 722) [Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Din aur raat main kitnay pahr hotay hain
Answer: Din or raat main kul 8 peher hote hain, 4 peher din main or 4 peher raat main hote hain. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D9%BE%DB%81%D8%B1) [Updated on 29-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar 7 week ka hamal zaya hojae khud he to islam mein uska kia hukum hai ya farman hai
Answer: Agar 4 month mukkamal ho chukay hoon to usay ghusl diya jaey hunoot kia jaey or kafan dia jaey laikin namaz nah perhi jaey laikin agar is se kam umar ka ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par is ko aik kaprhay main lapait ker dafan kia jaey laikin agar is ki khilqat mukammal ho tu is sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per is per 4 month wale ahkaam jaari hoon gay. (Ref: Minhajus sliheen, jild#1, maslah#330).Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73). [Updated on 27-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia tuesday ko darhi banwa sakty hain
Answer: Jee han. laikin darhi mounwaana ehteyaate wajib ki bina per jaiz nahe hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2042). [Updated on 24-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]