Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14843
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia main apni adopted buchi ko Jis kay waldain namaloom hain r main nay usay one hour ki age main adopt kia... Main usay apna name as father day sakta hoon

Answer: Adoption(Goud lene) men koi haraj nahin hai albatta agar bachay ki adoption ki jaay to is baat ka khayaal rakha jay k bachay ka os k sagay waaldain se rishta mehfoooz rahay.or is bache ko apna baita khelana jaiz nahe hai .is ko wirasat bhi nahe mile ghe or ya bachha adoption karne wali aurat or is ki betiyo ka namehram hoga or ise haqiqat se aagha kare albatta is tarah se ke is per zehni dabaao na perhe or is ka naam apne farzan ke tour per aai card sabt na kare . chunache kise nuqsaan ya mushaqqat ki waja se aisa karna mumkin na ho tu khai sabt kare or gawaa banaae(Ref :Mafhoom e E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010)(sistani.org, urdu ,topic: goud lena, sawaal no.1,egnlish, topic :adoption,que:1) [Updated on 28-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14925
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Pehla bacha BhT chota ho Aur 2bra bivi ko haml ho Jaye To ese khtm KR skte Hain ?

Answer: Qaraar e nutfa yani mani k rehem (uterus,vagina) main thehernay k baad isqaat e hamal(geraana ) jaiz nahin hai. magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah parhi ho tu isqaat jaiz hay. laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahin hai. Agar maan khud bachay ko zaya kar day to is ki diyat maan par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko day aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maan ko ada karay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed Masail, Edition #44, Maslah #73). [Updated on 07-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14949
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Daat se nakhun katne se ghr me pareshani ati h ya barkat chli jati h?

Answer: Nakhunon ko danton se katne ke bare men Imam Musa Kazim(a.s) farmate hain: k Chaar cheezen waswas e shaitani hain: 1-Matti khana, 2-Khaali bethe hue matti ya tinke tore jana, 3-Nakhunon ko daant se katna, 4-Darhi chabana. aik aur hadees men hai k Rasool e Khuda(s.a.w.w) ne daton se Nakhun katne ko mana farmaya hai. (Ref: Tehzeeb e Aale Muhammad, Allama Baqir majlisi, pg #158,159). [Updated on 23-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15031
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haftay k din nail kat sakty hain?

Answer: Jee han, Kat sakte hain is men koi mumaniat nahin hai Albatta riwayaat men jumerat aur jume ke din nakhun (nails) katne ki fazeelat warid hoi hai. (Ref: Tehzeeb e Aale Muhammad, Allama Baqir majlisi, pg #159,160). [Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15090
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia kardi marna jayiz hain

Answer: ye kardi marna kiya hota hai .aap apne sawaal ki wazahat kare. [Updated on 25-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15143
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam agha sahb ap ny meray do sawalon ka jawab ni diya 115876 or 115912 ka Waiting for your reply JazakAllah

Answer: 115876 aap apne sawalaat meharbani kar ke dobara sent kar de [Updated on 31-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15237
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa Mei na kahi prha thaa ka Money agr pani ka uper hi reha tw usme sperms 0% hota hain or agr voo pani ka andr doob jaye tw voo garhi hoti ha or sperms b 70% sa zayada hota hain Iska bara mei kch malomat deyian please

Answer: is tarah ki batain khe ghe hain or sunne me aae hain laikin is silsele me aap docter se ruju kare. [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15362
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar huma aisa lage ki humne kisi kaam ko suru karne se pehle allah ke jagah kisi aur ka name le lia tha tho huma Kia karna chahiya ? Kia ya srikh hain ? Us kaam ka Kia hoga , Kia wo bhi haraam ho jayagah ??

Answer: rasool akram se mansoob hadees hai :har wo aham kaam jise allah ke naam se shuru na ki jaay wo abtar hay (yani apne matloob anjaam tak nahe pouchta ) chuke is kaanaat me allah he sab ka matloob or maqsood hai or allah ke begair har kaam adhura or abter rehta hai lehaza husool maqsad ke lie allah ke naam se ibteda karna zarori hai:( ref: alkusar,allama shiekh mohsin najafi ,surah alham ki ayat no:1 ki tafseer ) note ;( agar kise ko allah ke sath shareeq nahe karraha hay tu ye srikh nahe hoga or behter ye he hay ke har ache kaam ki ibteda allah ke naam se ki jaay) [Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15421
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sunni maslk me chahallum me aqeeqa kana kaysa hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). [Updated on 23-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15435
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun allaikum Kia zaid sadaat barah ka shajra kahin available hy

Answer: google per aap ye likh kar seach karsakte hai :shajra sadat bara zaidi pdf [Updated on 22-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!