Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2618
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum sir Mera sawal hai ki jab padhai karne ke liye baitha hoo toh mera man hi nahi lagta iske liye koi dua hogi toh bataiye

Answer: Wssalam o alykum, ap (ya aleemo) ka wird kasrat se kijye INSHALLAH ALLAH ap per ilm o marifat ke derwaaze khool de ga. (Ref : Naway-e-saliheen, pg # 279). (ALLAH ap ki tofeeqat main izaafa farmaae).

Id: 3754
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujhay imtaihan mn full marks laina ka liya kya karna ho ga

Answer: Emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3992
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaam,plz mujhe yeh bataen kay mai imtehanat mai kamiabi kaise hasil karon,mai apnay imtehan mai qamiab nai ho pa raha...plz reply

Answer: Imtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad mai 3 martabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hai: “ ﻔﺎﻦﺤﺴﺒﻚﻫﻮﺍﻟﻨﻯﺍﻴﺪﻚﺒﻨﺼﺮﻩﻮﺒﺎﺍﻟﻤﻮﻤﻨﻴﻦ ” “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen”. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4426
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salamun alaikum i have a brother studying in f y bcom not able to study bfore he was a ranker of the class now not even he is able to pass he sleep a lot .he even wishes to study any dua for him ilaaj exam r nearer

Answer: 1)Agar koe talib e ilm chahata ho k usko sabaq yaad ho jaay tu usko chahiay keh surah aa’raaf(surah#7) ki ayat #171 ko kisi kaghaz par likh ker is kaghaz ko apni sabaq ki jaghah kitaab main rakh diya karay tu wo sabaq isko insha allah yaad ho jaay ga. 2)Emtihaan main kamiyaabi k liay ye bohat asar wala wazeefa hay.emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay.ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat # 62 hay: “ ﻔﺎﻦﺤﺴﺒﻚﻫﻮﺍﻟﻨﻯﺍﻴﺪﻚﺒﻨﺼﺮﻩﻮﺒﺎﺍﻟﻤﻮﻤﻨﻴﻦ ” “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4679
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera jhen parhai mein buhut kam chalta hai aur kuch yaad karta hun to phir bhul jata hun lihaza aap mujhe koi esi tarkeeb bataye ke mein apni zindagi sawar sakun

Answer: Agar koe talib e ilm chahata ho k usko sabaq yaad ho jaay tu usko chahiay keh surah aa’raaf(surah#7) ki ayat #171 ko kisi kaghaz par likh ker is kaghaz ko apni sabaq ki jaghah kitaab main rakh diya karay tu wo sabaq isko insha allah yaad ho jaay ga.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 354-55)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4922
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: imtiham mai kamyabi k liye dua

Answer: Imtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad mai 3 martabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hai: “ ﻔﺎﻦﺤﺴﺒﻚﻫﻮﺍﻟﻨﻯﺍﻴﺪﻚﺒﻨﺼﺮﻩﻮﺒﺎﺍﻟﻤﻮﻤﻨﻴﻦ ” “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen”. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4977
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: as salam alikum,mera beta 2 puc mein hai,man lagake padta hai ,magar jab exam ke liye jata hai to kehta hai ke sab kuch bhool gaya hai .pls koi wafefa bataee bahut meherbani hogi ,thoda jaldi jawab dijiye

Answer: emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay.ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat # 62 hay: “ ﻔﺎﻦﺤﺴﺒﻚﻫﻮﺍﻟﻨﻯﺍﻴﺪﻚﺒﻨﺼﺮﻩﻮﺒﺎﺍﻟﻤﻮﻤﻨﻴﻦ ” “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5074
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere talaq huwe 1 sal huwa hai aur main is waqt b.ed kar rahi hu b.ed mein ache numbrat se kamyab hone aur naukri k liye koi wazifa batay mera dusra nikah achi jaga ho us liye b koi wazifa batay

Answer: 1)Imtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad mai 3 martabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hai: “ ﻔﺎﻦﺤﺴﺒﻚﻫﻮﺍﻟﻨﻯﺍﻴﺪﻚﺒﻨﺼﺮﻩﻮﺒﺎﺍﻟﻤﻮﻤﻨﻴﻦ ” “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen”. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-53) 2)Agar koi shakhs surah e aal e imran ki ayat no 73, 74 ko likh kar apnay bazoo par bandh lain aur kisi aurat ko nikah k lie paigam bhejay to inshallah paigam manzoor ho jae ga aur qasid kamyabi k sath wapis aye ga. (Ref : kitab naeem ul aamal pg #331)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5315
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA..... meray papers hunay walay hain koi asi dua btaya jis sa mere mehnut rang lae aur achay marks aur percentage ajae

Answer: Examination centr janay say pehlay surah e anfaal surah#8 ki ayat#62 ko 7 martaba parh lain, awwal o aakhir main 3 martaba durood bhi parhain.(ref:book naeim-ul-amaal,pg352). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5360
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ap wazifa kr k btain k kia mein apni clas mein first aaoin ga.

Answer: Surah e Taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain. (Ref : Naway e salaheen pg # 326 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!