Question: Aslam o Alaikom meri 1st year main Math main supply hay main chahta ho k meray Math main 2nd year main achay number a jay and total marks 650 tak kam as kam a jay iska koi hal bata dai Shukria
Answer: Imtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal, Mafhoom e pg# 352-55). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir slam. Sir mera parso paper h maths ka. Mn kafi smjh rhi hn but smjh nh ati r men bht mehnat kr rhi hn lkn papr mn sb bhol jta h. Plz mjhy asaan wazefa btyn k mera result bht acha aye. Plz sb chxn men paas hjaun plz
Answer: Imtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal Mafhoom e pg# 352-55) . Update on dated 27-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir m na FA ka exam diya hyn or un m kamyabi k liya koi wazefa btain .Plz
Answer: Kisi bhi jaiz maqsad mai qamiabi k lie pehlay 11 martaba darood sharif parhain aur phir 101 martaba ﻳﺎﺍﷲ ﻳﺎﺭﺤﻣﻥ ﻳﺎﺭﺤﻳﻢ ﻳﺎﻜﺭﻳﻢ ﻳﺎﺣﻰ ﻳﺎﻗﻳﻭﻢ parhain. (Ref: Naeem ul aamaal pg # 314) Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ASSALAM O ALAIKUM me ne iss saal class 9 k papers deye han or 4 july ko mera result hy app se guzarish ha meri k aap mje koi wazeefa bta da k jiss ki madad se mei tne numbers se kamyab ho jao jitni meri khawahish ha (shukria)
Answer: Sab se pehle 11 mertaba salawaat perhain or kisi bhi jaiz maqsad main fatah hasil kerne k liay 141 mertaba wird kia jaey. (Ref: Naeemul amaal,Mafhoom e pg#311). Update on dated 28-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamu alaikum sir mere 10 class borad 2017 ky exam hony valy hai or mera books kholy ku dil nai krta please koe wazifa btady.
Answer: Perhae main dil lagne k liay: Surah e Taha ki ayat#25 se 28 tak ko har roz teen martaba pharain. (Ref : Naway e salaheen pg # 326). Update on dated 16-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Exam ma kamiabi ka wazifa
Answer: Imtehan main kamiyabi k liay: 1)Imtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal Mafhoom e pg# 352-55) . Perhae main dil lagne k liay: 2) Surah e Taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba pharain. (Ref : Naway e salaheen pg # 326) Hafiza k liay: 3)Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qilaqama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref : Naway e salaheen pg # 326). [Updated on 14-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.A main acha student tha Lekn ab prhny ka dil tk nahe krta,books ko hath lgaany main takleef hoti hai ,bar bar fail ho rhaa hoon please koi aesa wazifa btaain k main pehly ki trh prhny lg jaaon
Answer: Perhae main dil lagne k liay: Surah e Taha ki ayat#25 se 28 tak ko har roz teen martaba pharain. (Ref : Naway e salaheen pg # 326). Update on dated 14-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Dear sir ..... Aoa . MRI maths ma supply ha . Jitna b karlun paper dekh k kuch b samaj nhi ata . Kindly koi wazeefa btaen k m maths clear karlun . M bht preshan hun. Tension say kuch samj nhi araha
Answer: Emtehaan main aasan paper k liay center (imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal (sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-55) Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qilaqama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref : Naway e salaheen pg # 326) [Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam alikum My question is k mjy imtehan ma kamyabi k koi wazifa mil sakta ha ma na test dia ha ab result ana tk koi wazifa bata den taka ma wo karun n ma pass ho jaon
Answer: Surah e Taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba pharain. (Ref : Naway e salaheen pg # 326) [Updated on 14-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir Asslam oe Alikum m na Entry test ka Imtihan diya ha or ab mera result ana hai m chata hun ka mra medical college m dakhla ho jykoi lamba wazifa batien takay m zuada sa ziada zikr Khuda kron or kamyabi haasil kr skoon
Answer: Quraan majeed men Allah Taala fermata hai k Insan k liye wohi kuch hai jo uski koshish ka natija hota hai (Suraah Najaam, Ayat#39) lehaza jo apne emtihan dene k liye koshish ki hogi ap k result men wohi hoga, to is aytbar se to emtihan se ek din pehle wazeefa parehne se koi faida nahi hoga, han albatta is bat ka faida hosakta hai k ap k result men kisi qism ka dhoka na ho, lekin result wohi ayega jo apne likha hoga, Albatta emtihan dene se pehle uski tayari k waqt wazeefa k asraat hosakte hen lehaza ap Saal ke shuru se kitaboo ko achi terhan samjain or yaad kren. (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 1) Emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. Aur Kisi bhi jaiz maqsad mai qamiabi k lie pehlay 11 martaba darood sharif parhain aur phir 101 martaba ﻳﺎﺍﷲ ﻳﺎﺭﺤﻣﻥ ﻳﺎﺭﺤﻳﻢ ﻳﺎﻜﺭﻳﻢ ﻳﺎﺣﻰ ﻳﺎﻗﻳﻭﻢ parhain. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 314,352,55) [Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]