Question: sir mny bba hons main admsion lia hai or main is k hr smster main kamyabi chata hon plz mujy koi wazifa yah ayat bta dia jiy plz
Answer: Exams mai kamyabi k leye examination center janay say pehlay surah e anfaal(surah#8) ki ayat#62 ko 7 martaba parh lain,awal-o-akhir 3,3 martaba durood bhi parhai,insha Allah kamyabi hogi.(ref:book naeem-ul-amaal,pg#352). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: imtehan mei kamyabi k lye wazifa jo result se ek din phly kiya jye
Answer: Quraan majeed men Allah Ta`ala fermata hai k Insan k liye wohi kuch hai jo uski koshishh ka natija hota hai (Suraah Najaam, Ayat#39) lehaza jo apne emtashan dene k liye koshish ki hogi ap k result men wohi hoga, to is aytbar se to emtahan se ek din pehle wazeefa parehne se koi faida nahi hoga, han albatta is bat ka faida hosakta hai k ap k result men kisi qism ka dhoka na ho, lekin result wohi ayega jo apne likha hoga,Albatta emtahan sene se pehle uski tayari k wqt wazeefa k asraat hosakte hen lehaza ap Saal ke shuru se kitaboo ko achi terhan samjain or yaad kren.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 1) Emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir assalam.o.alaikum ... mera parhai mn dil nahi lagta or mere papers b sir py ay hua han or 10th ka papers han so plz kuch btayn jis se meri study bhtr ho jay ...
Answer: Surah e Taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain. (Ref : Naway e salaheen pg # 326 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Asalam walekum .sir me exam me chitting krta hu is bar me ty ka exam de rha hu kya me chitting krne me kamiyab hojaung plz ap bataye kynki mujhe kuch yad nhi hota hai
Answer: Wssalam o alykum, ye jaiz nahi hai. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 224 , eidition # 5). Or ap ko shuro saal se pharna chahiye, or pharne ke sath is wazife per amal karain ke Surah e Taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba pharain. (Ref : Naway e salaheen pg # 326 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Sir main ny final exam diye hain result main kamyaabi ki koi dua or wazifa to batain ,salam
Answer: Sura e Yaseen ko ibtida se pharna shuroo karain, jab 1st mubeen tak ponhche to 41 martaba darj zeel ayat phar kar dua maangain, phir doosre din phir shuru se Sura e Yaseen ko shuro se pharye yahan tak ke 2nd mubeen tak ponhach jaain to 41 martaba us hi ayat ko phar ka dua maangain jis ko 1st din phara tha, or jab Sura e Yaseen main 7 martaba lafz e mobeen aaya hai to 7 rooz tak ye hi amal karain. 41 martaba pharne wali ayaat : Sura e Al-Hamd (Sura no 1) ayat no 4 is ke baad ye dua pharni hai allah umma an taqziya hajati (kaamyabi ki dua maangain).(Ref : nawaa e Saleheen , pg # 49 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: mera sawal ye hai ke mera parne mai dil nahi lgta or ma fail hojata hn exam mai apni tarf se pori khoshish krta jun ke k khob parhun r mehant karo pr ma naam kaam hojta hn js ki vja se ma fail hojta hun please koi wazifa batyen mujhe?
Answer: 1) Agar koi talib-e-ilm chahta hay k is ko sabaq yaad ho jay tu is ko chahiay k Sura A’araaf, ayat 171 ko kisi kagaz per likh ker is kagaz ko apnay mazmoon(sabject) ki kitab me rakh de tu wo sabaq is ko Insha Allah yad ho jay ga.(Ref: Naeemul amaal, pg#354) 2) Imtihaan me kamyabi k liye ye nihayat mujarrab ha lihaza imtihaan me asaan exams ke liye center jane se pehle Surah Al-Infaal Ayat 62 ko awal or akir 3 martaba durood perhne ke sath 7 martaba perh ker jay.(Ref: Naeemul amaal, pg#354). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: as salam alikum mera paper hona wala he to mujha koi aysa wazif batae ka mera paper clear hojae 2nd year ka...
Answer: Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qilaqama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref : Naway e salaheen pg # 326) Emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera rang gora ho gy aor main imtihan main first ao wazifa batian
Answer: 1. Agar chahra be-ronaq ho jay ya chahray ka rang siahi mayal ho jay to har namaz k bad 111 martaba (Allaha’hul mu’sou’wi’rul maalik) parh kar hathoon per dam kar k chahray per pharaien to inshallaha bad surati zail ho gi. Awal o aakhir 14 bar darood sharif parhain. (ref : kitab naway salaheen pg # 328) ya 2. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai ghm ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qilaqama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref : Naway e salaheen pg # 326) Emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mujhe koi emtihan ma first ane ki duaa bata de please
Answer: Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qilaqama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref : Naway e salaheen pg # 326) Emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Please mujhe bata dain mera ek paper ruka hua hai mera 26th February ko exam hai Maths ka main us ke liye kya wazeefa karun mujhe bohat darr lag raha hai ke main dobara us paper main fail na ho jaun.
Answer: Emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)