Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6853
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam-u-alaikum mai chati hun kai mare exaim mai ache num ayai 3.7 g.b ayai mujhe wazifa dai kai mare num ache ayai

Answer: Exams mai kamyabi k leye examination center janay sy pehlay surae anfaal(surah#8) ki ayt#62 ko 7 martaba parh lain,awal-o-akhir 3,3 martaba durood bhi parhai,inshaAllah kamyabi hogi.(ref:book naeem-ul-amaal,pg#352). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Id: 6858
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Plz exam me kamyabi k lye or achi job k lye koi easy wazifa btaye, kyu k mere exam kareeb h or study b chal rhi h. Or kya dono ek sath kiye ja sakte h yani ek subha or ek rat me? Plz reply.

Answer: 1)Exams mai kamyabi k leye examination center janay sy pehlay surae anfaal(surah#8) ki ayt#62 ko 7 martaba parh lain,awal-o-akhir 3,3 martaba durood bhi parhai,inshaAllah kamyabi hogi.(ref:book naeem-ul-amaal,pg#352) 2)Surah e zariyaat(surah#51) aur surae alm-nashrah(surah#94) k parhnay walay k leye khair-o-brkat mai izafa au rizq mai izafa hota hai.(ref:book payame shifa,pg#236). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6868
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA SIR. meri sister ne mere exams ki kamyabi k lye ek wazifa kya h, kya me khud bhi, ab exam me kamyabi k lye koi wazifa kr skta hu? Plz reply.

Answer: Exams mai kamyabi k leye examination center janay sy pehlay surae anfaal(surah#8) ki ayt#62 ko 7 martaba parh lain,awal-o-akhir 3,3 martaba durood bhi parhai,inshaAllah kamyabi hogi.(ref:book naeem-ul-amaal,pg#352)

Id: 6885
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamu alakikum 1) Exam ki tyari hai fir bhi koi dua bataye jisse may full cofident rahu? 2) business me fayda hone k liye koi dua?

Answer: Emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay:

Id: 6894
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamu alaikum 1) Business me fayde k liye koi dua bata dije? 2) Exam me jyada marks aye iski koi dua?

Answer: Emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62 ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7057
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main 12 pass ho gaya hu jab se mera dill padhahi mein nahi lagta mein ne phale B A mein addmition kya phir BSC mein aur fail ho gaya lekin mujhe kuch acha job karna hai plz koi wazifa bataye is se meri preshani dur ho jaye aur main kamyab ho jao

Answer: Ap nochandi jumarat aur juma roza rakhain, shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karain aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhye, or baad e asr o maghrib o isha bhi tilawat ko tark na karye aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba

Id: 7078
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Paper ho gae hain khali aik paper rehta hy but mujhy dar hy ky achy marks nhi dain gy sir koi asan si dua btaen

Answer: Emtehaan main aasan paper k liay center (imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad men 3 mertabah salawaat perhen. ye sorah anfaal (sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-55) One who recite 686 times bismillah “بسم الله الرحمن الرحیم” and recite 676 times durood “اللہم صلی علی محمد و آلمحمد” then pray, your duas/wishes will be answered. (Ref : Naemul aamaal pg # 317) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7148
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere inter keep paper hai mai achhe number se pass ho jao koi DOA bataiyye

Answer: Imtehaan main aasan paper k liay center (imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay ye sorah anfaal ki ayat # 62: Fa inna Hasbakal laah Howal lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-55)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7177
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam alekum sir Kali mera board exam h m puri mahenat krne kind kosis krne raha human fir b mje kuch yard nhi ho raha hai kuch b..plz me dua batai na koi bahut parashan hu me sir plz me help m out

Answer: Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qilaqama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref : Naway e salaheen pg # 326). Emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay:

Id: 7289
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mera dil parhai main nahi lgta yad krta hon tu bhol jata ha imtehan sir per hn plz.saqlain abbas multan

Answer: 1) Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qilaqama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref : Naway e salaheen pg # 326) Emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay.

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!