Question: Aoa, kindly mje tora guide krya.. Main na June main paper dena hy.. M tyari b kafi krta ho. Magar result sai nhi arha. Mje koi dua btye k m jo yad kru wo yad rahy aur meray exams b bht achy number sa pass ho jae.. Shkriya
Answer: 1: Agar koi talib-e-ilm chahta hai ke is ko sabaq yad ho jaye tu is ko chaye ke Sura Aaraaf ayat 171 ko kisi kagaz per likh ker is kagas ko apnay mazmoon(sabject) ki kitab me rakh de tu wo sabaq is ko Insha Allah yad ho jay ga. 2: Imtehan main kamiyabi k liay: Imtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal Mafhoom e page #352 to 55) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. I'm appearing in some exams next year, can you please tell me any wazifa which can help me to ace those exams? I have to top those exams at any cost. Please help. Any wazifa, any dua. Thankyou!
Answer: Imtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad mai 3 martabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hai: “ ﻔﺎﻦﺤﺴﺒﻚﻫﻮﺍﻟﻨﻯﺍﻴﺪﻚﺒﻨﺼﺮﻩﻮﺒﺎﺍﻟﻤﻮﻤﻨﻴﻦ ” “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen”. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-53). [Updated on 18-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Pardhi main Dil laghny Kay leyeh
Answer: Agar ilm haasil karne me dil na lagta ho to surah alaq ki aya #1 se 5 tak ko likh kar galay me daalay aur pani par parh kar piye to zehan-o-aqal ki taizi ke liye mujarrab hai. (Ref: Naway-e-Saleheen, pg #346). [Updated on 21-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Govt job ke liye koi bhe test dun us m mere marks axhi nhi aati men reh jati hun. Akhir kyu hota h esa or eska hal kya h
Answer:
Question: ASLAAM O ALIKUM SIR SIR 1ST YEAR KE PAPERS START HAIN CHEMISTRY KA PAPER HOGAYA HI JIS ME ME PASSING MARKS SE OUT HON PLEASE KOI WAZIFA BATAIN K MERE NUMBERS ACHE AA JAEN SIR ALLAH HAFIZ?
Answer:
Question: my q is in my kundli very long time rahu is create problem in my success and i m really stragling for my job,marriage,health etc hindu pandit told me some solution hindi dharms way but i dont want to go that way so please help me out any solution for it any islamic way to read duas or any else please reply as soon as possible
Answer:
Question: As salaam o Alaikum sir/madam. Mein PIPFA ka student hu or CA krna chahta hu.Or mujay parhai ka shok b hei. Lakin meray sath ek masla hei or wo ye hei k mera jab mein parnay bethta hu to mera parnay ko g nai chahta.Bas ye g chahta hei k books chor doun or parna band kr doun.Or isi waja se mera result b bohat bura aata hei.Ab to esa lagna shura ho gia hei k shayad muj pay kisi jadu ka asar hei, meharbani parma kar mujay is museebat se nikalnay ka hal batein. Ta k mein jald az jald apni parhai shuru kar skoun. ALLAH aapka hami o nasir ho.
Answer:
Question: ASSALAM A LAKUM, Me government service ki tayyari kar raha ho me kuch bhi agar yad karta ho to jaldi yad nahi hota hai aur yad agar hojata hai to jaldi bhol jata hon aur abhi study me dhyan nahi lag raha hai please madad kijiye koyi WAZIFA batlaye. SUKRIYA
Answer:
Question: aoa sir mjy apne paper main pass hone k liy dua pochni he mjy 4 saal hoge he maine b.a k imtehan dye hen par mara english k paper clear nhe howa main 3 daf paper dye choki ho par pass nhe hoi or ab main phir paper dia he or app se request he k mjy koi dua bata deny jis ko pharne se main is dafa paper main pass ho jo plz
Answer:
Question: Name : m firoj khan , maa ka nam : zareena perveen, place : rajasthan, india. Sub : hafiza taleem me kamiyabi, Salam mawlana sahab mera masla ye he ki me padhai me zera bhi dil nai legta muje koi aisa wazaif de taki me din rat padhai me mushroof rahu, apne ammi abbu ka nam roshan keru,duniyavi ya kitabi koi bhi taleem hasil kerne me puri kamiyabi hasil ker saku. Allah hafiz.
Answer: