Question: salam . meri or mery bhai ke Shadi nahi ho pa rahi age ziyad hoti ja rahi hay mary leye koi dua batai k mari shadi jald ho jay
Answer: Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: tauba k bad hath ka zina karne ki mafi hai agar mafi hai to mughe plzzz iss ka tariqa bata dein
Answer: Rasool Allah (s.a.w) se marvi Hadees ke mutabiq Sura e Talaaq (Sura no 65) ki tilawat karte howe Allah Qadir o Tawana ki Baargaah e Muqaddasa main sache dil se toba o istigfaar karain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: main ye pochna chahta ho kay main aik martaba sex kar chuka ho mairi age 21 sal hai mairi shadi nai huwi mainay aik call girl kay sath sex kia tha laikin mainay suna hai kay zani ko zani milay gi to kia aisa hi hoga ya tooba karnay say kuch badlay ga
Answer: Imaam Jafar o Sadiq (a.s) ne farmaaya, jis ka mafhoom ye hai ke ager banda apne gunah ka is terhan iqraar kar le ke is ne apne Khaliq Allah Taala ke diye gaae hokum ki nafarmaani ki hai, or is nafarmani ki waja se is ko esei pashemani ho jis ki waja se wo dubara gunah na kar sake to ALLAH TAALA bhi is ko muaaf kar ke is ki toba qabool kar leta hai. (Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e emaan o kuffur , baab # 188 , riwayat # 4). Lehaza Rasool Allah (s.a.w) se marvi Hadees ke mutabiq Sura e Talaaq (Sura no 65) ki tilawat karte howe Allah Gafoor o Raheem ki Baargaah e Muqaddasa main sache dil se toba o istigfaar karain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: agra koi adult movie dekh li ho to nazar k zina ki saza kya hai
Answer: Rasool Allah (s.a.w) se marvi Hadees ke mutabiq Sura e Talaaq (Sura no 65) ki tilawat karte howe Allah Gafoor o Raheem ki Baargaah e Muqaddasa main sache dil se toba o istigfaar karain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Toba karne ka sahi tarika kya hai
Answer: Imaam Jafar o Sadiq (a.s) ne farmaaya, jis ka mafhoom ye hai ke ager banda apne gunah ka is terhan iqraar kar le ke is ne apne Khaliq Allah Taala ke diye gaae hokum ki nafarmaani ki hai, or is nafarmani ki waja se is ko esei pashemani ho jis ki waja se wo dubara gunah na kar sake to ALLAH TAALA bhi is ko muaaf kar ke is ki toba qabool kar leta hai. (Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e emaan o kuffur , baab # 188 , riwayat # 4 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: sir mera question ye ha ke sharab haram ha lekin main ne ek bar sharab sirf taste ki thi to kia mujhe is ki tooba karne par maafi mile gi ya nahi? or plzz is ka reference bhi dena.
Answer: Rasool Allah (s.a.w) se marvi Hadees ke mutabiq Sura e Talaaq (Sura no 65) ki tilawat karte howe Allah Gafoor o Raheem ki Baargaah e Muqaddasa main toba o istigfaar karain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: salam. Allah k huzoor sachi tauba kaisay ki jaay.
Answer: Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salaam... Allha k Paas konse gunha ki maafi nahi hai esa konsa gunha hai jiski maafi khuda nahi dega.............
Answer: Wssalam o alykum, Allah Taala Quraan e Majeed main fermata hai ke Allah hargiz shirk ko muaaf nahi kare ga, or is ke ilawa jo gunaah chahe ga muaaf kar de ga.(Ref : Quraan e Majeed , sura # Al-Nisaa no 4 , ayat # 48 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kon se dua parni chiyea jise ghunha maaf hoti hai.
Answer: Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghunah se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) Hazrat Rasool e Khuda s.a.w.w. irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mainy tauba ki aik gunah sy lekin vo gunah phr mjh sy ho gya ab ma is ka kafara ksy ada krun r dubra tauba ksy krun mtlb jaisy phly ki thi wsy hi tauba kr lon
Answer: Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).