Question: Assalam mualiakum sir, mai bahut paresaan hu kyun ki hamesha mere se gunah hoti hai aur mai taubaa bho karta hoo,namaz padh ta hu par phir se wo gunah ho jata is ka koi hal bata oo lz rply fast
Answer: Hazrat Ali a.s irshad farmatay hain k Jo shakhs namaz e subah k baad 11 martaba surah e tauheed ki tilawat karay to os din wo koi gunah na karay ga chahay shaitan kitni hi koshish karay. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 42 , Allah Taala tofiqaat mian izafa farmaae).
Question: zina ka kaffara kya hai? jis se ye gunah hamare gunahon ki list se hamaisha k liye mit jaye.?
Answer: Imaam Jafar o Sadiq (a.s) ne farmaaya, jis ka mafhoom ye hai ke ager banda apne gunah ka is terhan iqraar kar le ke is ne apne Khaliq Allah Taala ke diye gaae hokum ki nafarmaani ki hai, or is nafarmani ki waja se is ko esei pashemani ho jis ki waja se wo dubara gunah na kar sake to ALLAH TAALA bhi is ko muaaf kar ke is ki toba qabool kar leta hai. (Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e emaan o kuffur , baab # 188 , riwayat # 4 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: hum ek ladke se mohabbat krte hai aur humare bich sex ho chuka hai par main abi b virgin hu bt yeh galti wapas nai krna chahti isiliye is galti se tauba krne ki koi dua humein btaiye
Answer: Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: 48096 yeh mera question id hai maine aap se ek sawal ka jawab pucha tha jis ka aap ne jawab v diya tha..mai us ladki se tauba krne k bad us se shadi kr sakta hu magar is tauba ka tarika kya hai mai tauba kaise karunga pls bataiye
Answer: Toba yani sharmindagi ka izhar karna k aainda ye gunah nahi karon ga. Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney waloon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalaamu alaikum sir mera sawaal bohat he kharab hai but janna zaruri hai q ki kisi ki zindagi kab sawaal hai agar ek ladki. Ke saat sex ho jai wo. Bhi kisi hindu se to us. Haalat mein kya karna chaiye zara easy language. Mein samjhai
Answer: Wssalam o alykum, Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baarga main toba kijye.(Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: May nay zana kiya mafi kaisay.mango
Answer: Toba kijye is terhan ke Hazrat Rasool Allah (s.a.w) se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (Sura no 66) ki tilawat kijye. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae
Question: aoa sir muj se muth marna control nhi hotey har roz 1 ya 3 din bad 1 plz es k koi haal batye
Answer: Ghunnah say hifazat aur nafs ki pakisgi aur bulandi k lye zikr e younusia jo surah e ambia ki ayat no 87 hay parhna chahaea, wo zikr ye hay
Question: Sir Agr koi ramzan ky maheeny main bina rozy ki halat kay kisi larki say mubashrit kar bethy to us ky li kya hukam hai kya uski toba kabool ho sakti hai
Answer: Agre wo larki us ki bivi na ho to ye haraam o guhnaah e kabeera hai to lehaza toba kare is terhan ke Rasool Allah (s.a.w) se marvi Hadees ke mutabiq Sura e Talaaq (Sura no 65) ki tilawat karte howe Allah Gafoor o Raheem ki Baargaah e Muqaddasa main toba o istigfaar karain.(Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Agar Kisi se ek gunah bar bar ho or wo bar Allah se maafi mangy or phr Wo gunah dobara hojaye Tu kiya Wo insan phr maafi k like hy qk Wo hud Ko es k like nahe samajta Tu us kiya karnay chaye .....???
Answer: Zarori hai ke Allah Gafoor o Raheem se toba kare, or us amal ko dubara na karne ki koshish kare is terhan ke Namaaz e panjgana main se har namaaz ke baad ik (1) martaba Sura e Al-Aaraaf (Sura no 7) ki ayat no 23 ko pharain. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 53 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Aslam o Alikum. main 18 saal ka hon aur mastburing (hand practice) ki gandi adat pari hai .buhat koshish ki is say jaan churanay ki lakin nakam raha.bohat dafa toba bi ki lakin phir dobara kar liya kaam .so plz mujhe koi rasta batyen is say nikalnay ka.
Answer: Wssalam o alykum, Rozana 1000 martaba ya allaho ka wird karain. (Ref : nawaa e saleheen , pg # 283 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).