Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11690
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam.. My mom dad has died years ago... i wanna ask .. what if they dint apologiz me ( may allah not make it happen)... What should i do now...

Answer: Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey.(Ref : sistani.org ques # 1 , toba) Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai gunah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37) [Updated on 05-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11737
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mastrubation magfirat dua maine bohot baar mastrubation kiya hai mujhe mastrubation ki magfirat ki dua chaiye

Answer: Aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah ko phir kabhi anjaam nahi dain gen or hamaishah yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hukum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain. Aap koshish karain k aap khud ko doosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ko in kaamo ki janib ubhaaray. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b). [Updated on 20-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11932
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1) Agar Allah Se Ahad Karle ke woh gunah Kabhi nahi Karega lekin phir bhi gunah ho jaye toh kya kare 2) Allah Se Kiya Hua Wada Wapas Kaise Le

Answer: 1) Jis insaan se gunah hova ho wo Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na farmani ker rahay hain.wo koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo us ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar wo khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani (d.b) 2) Agr Allah se Ahad (Vada) kiya jaye to usko pura karna wajib hai, lekin Ahad ko Ahad us wqt kaha jaye ga Jab apne ye Ahad zaban se bol kr kiya ho (k Men Allah se ye Ahad krta hun k ainda men ye Gunah nahi krunga) lehaza faqt Ahad ki niyat krne se us per amal krna wajib nahi hota (arche gunah se bachna hr surat men wajib h), phir bhi ehtiyat e mustahib hai k agr dil se bhi ahad kiya jaye to us per amal kiya jaye (albatta wajib nahi hai) lehaza agr apne ahad k alfaz ko zaban se ada kiya hai to vada pura na krne ki waja se ap 60 faqeroo ko peat bhar kar khana khilayen ya phir 2 mahine ke musalsal roze rakhen (yani in dono kamon men se jo ap chahen anjam den) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2631- [Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11948
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Gunah ki mafi ka sab sy acha trika kon sa h?

Answer: Sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gay.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ki jinsi khahish ko ubhaaray.(Ref: Mafhoom e E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) [Updated on 04-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11985
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar ek muslim ladki hindu ladke se saband banane ke baad toba kre to maafi milega????

Answer: 1) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey.(Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 2) Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo koi surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai gunah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37) [Updated on 07-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12119
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kuran me maafi ke bare me Kya likha hai ager kiss inshan see galati see galati ho gye ho to kuran me ushkooo maaf krne ka koe baat hai ya nahi

Answer: Sachchay dil se toba karain prwardigar nai quran majeed me wadah kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888 [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12127
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Zina ka kuffara kya hai

Answer: 1) Zina karna gunah e kabira hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij). 2) Zina ka kuffara sache dil se toba karna hai lehaza Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baarga main toba kijye.(Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37 [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12176
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr koi larka kisi larki ko kiss krta hi to wo toba kasy kry

Answer: sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 20-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12370
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Koi Nafil Roze Ki Halat Me Musthzani Karle To

Answer: 1-Us ka roza batil hojaye ga or mushtzani haram or gunah e kabira hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1569). 2-Sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12493
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalumualikum sir, zina se toubah karne ke baad wo insan apni zindagi khushi se jee saktha hi ya isi dar may jeena cahiay ki vusse gunah hua hi plz answer me sir may bohat pareshan hoon

Answer: wsalam. agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 23-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!