Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14188
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar kisi ladki ke saath sab kuch kiya ho siwae uski sharm gah me penis insert na kiya ho or wo ladki ye karne ke liye razi bhi na ho to ab is gunah ki taubah kaise kare

Answer: Tauba ka sahi mafhoom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi. or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010) [Updated on 01-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14253
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main toba kerna chahata ho kaesa kero

Answer: 1: Sache dil se tauba karen lehaza Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baargah main toba kijiye. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg #37) 2: Tauba ka sahi mafhoom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi. or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010) [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14322
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If someone do six so after that what should he do

Answer: Jis kisi ne gunah kiya ho use chahiye ke wo sachay dil se toba kare. Parverdigar ne quran majeed me wada kia hai ke wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he. Aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waday per amal na karay. (Ref: website Ayatullah Sistani(d.b), ques #1, toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888 ). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15010
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr Allah se shirk ki maafi maang li jai tou kia wo maaf krr deta he ? Koi hadees yaan ayat b bta dain jisme aisa likha ho..

Answer: Sab Gunah maaf ho saktay hain, Agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat buhat wasi hai wo maaf karne waala hai. Q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tauba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shaks zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay. agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. Or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zarori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day. taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mzboot irada or os ka tadaruk laazimhay. albattah agar tauba k baad gunah karay tub bhi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobarah tauba karain. kyun keh Khuda kareen or meherban hay. or bakhshnay wala hay. or tauba karnay walo ko dost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah e fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bandon per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay. or isi liay hadees main aya hay: “ tanhaaei main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”.(Ref: Ayatullah sistani(d.b) topic tauba, sawal #2, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/#26515) + (Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011). [Updated on 14-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15175
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shirk or kufr se kitni bar tauba ki ja Skti h

Answer: Sab gunah maaf ho saktay hain, Agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahi ho sakta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tauba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay. agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. Or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zaroori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day. taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mzboot irada or os ka tadaruk laazim hay. albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobarah tauba karain. kyun keh Khuda kareen or meherban hay. or bakshnay wala hay. or tauba karnay walo ko doost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay. or isi liay hadees main aya hay: “ tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”.(Ref: website Ayatullah sistani(d.b) ques #1, toba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ). (Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011). [Updated on 31-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15259
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr koi bachpan me jhoot bhool de jis pe use Allah se bht sharmidgi ho to vo is ke kaffare ke liye Kya kre

Answer: Is ka kaffara koi nahin bas Allah se tauba talab karen aur maafi mangen.. Agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tauba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay. agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. Or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zaroori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day. taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk laazim hay. albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobarah tauba karain. kyun keh Khuda kareen or meherban hay. or bakshnay wala hay. or tauba karnay walo ko doost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay. or isi liay hadees main aya hay: “ tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”.(Ref: Ayatullah sistani(d.b) ques #1, toba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/. + email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011) [Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15287
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kisi shkhs ko ap ny apni nazeba pictures bhji houn or bd mein apko apni ghlti ka pachtawa hojata hai or ap yh tay krlety hain k ap aesa phr kbhi ni krein gy. Lkin ek shkhs ko agr apki is ghlti ka pta lg jye tou us sy kesy maafi maangi jye?

Answer: Agar kisi se gunah ho jaae to use Allah se tauba karna wajib hai or tauba ke liye haqiqe tour pe pashemaan hona zarori hai. Ghunah se tauba aham tareen umoor or wajebaat me se hai tauba ki haqeeqat Ghunahon se pashemaan hona hai or pashemaani aik qalbi amar hai (yani is ka talluq dil se hay), srif (astaqferullah ) kehna tauba ke liye kafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi tour par pashemaan hona zarori hai or agar waqean pashemaan ho jaay tu (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaate mustahab hai (yani ehteyaatan behtar hay) or tauba ke sharaei aasaar paae jane ke liye do batain lazim hai (1) insaan hatmi irada rakhta ho ke ghunah ki taraf dobaara nahin palte ga. (2) jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq islah kare (yani jo wajebaat insaan per wajib the or us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira,, agar us amal ki qaza ya kaffara hay tu un ki qaza kare ya kaffara de yani use anjaaam de or jin logon ka maali haqq khaya hay ya koi maali nuqsaan pouchaya hay, wo un ko waapsi de ya is silsele me un loqon se razamandi hasil kare. or jis insaan se ghunah howa hai wo) Toba kare Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghunah se bachney k liye mazboot irada hona chahiye. (Ref: Tauzeeh ul masail jame, Ayatullah Sistani(d.b), masalah #2224, 2223). + sistani.org ques #1,2, tauba). [Updated on 11-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15345
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya imam zamana hamary gunnah maf karngy main gunnah karti hun phir bht sharminda hoti hun me us waqt niyat karti hun phir nae karungi lekn phir hojaty hn ye adat c hogae h choot nae rahe me bhat koshsh karti hun

Answer: Parwardigar e alam ne Quran majeed main farmaya hay keh wo taubah karne walo ki taubah ko qobool karta hay or hasha wa kallaa aisa hargiz nahi ho sakta keh wo apne wade par amal nah kare.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/). mazeed tafseel k liay is link per cklick karain https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/. جواب: پرور دگار عالم نے قرآن مجید میں وعدہ کیا ہے کہ وہ توبہ کرنے والوں کی توبہ کو قبول کرتا ہے اور حاشا و کلا ایسا ہرگز نہیں ہو سکتا کہ وہ اپنے وعدہ پر عمل نہ کرے۔ [Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15363
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wo konsa gunaah hai h jo taubha se bhi maff nhi hog

Answer: Quran e kareem main khuda ka fermaan hay k : “Allah is baat ko maaf nahi kersakta k oska shareek qaraar diya jay or is k alawa jis ko chahay bakhsh sakta hay or jo b hi iska shareek banaay ga os nay bohot berha gunah kia hay. (Ref:Sorah#4 Nisaa, ayat#48) “Allah is baat ko maaf nahi kersakta k oska shareek qaraar diya jay or is k alawa jis ko chahay bakhsh sakta hay or job hi iska shareek qaraar day ga wo gumrahi main bohot door tak chala gaya hay. (Ref:Sorah#4 Nisaa, ayat#116) Note: wajeeh rahay k sorah e nisaa ki ayat # 48 main jis maghfirat ka zikr hay os k 5 asbaab hain: tauba, hasanaat(naikiyaan), gunah e kabira se ijtenaab, shafaa,at, khuda ka afu o darguzar, in asbaab k baghair bakhshish ka koe tasawwur nahi hay.or is ayat main wada nahi kia gaya hay k shirk k alawa her gunah ko maaf ker diya jay ga balkeh maslah ko mashiyat per moqoof kiya gaya hay k jab tak insaan ko mashiyat ka ilm nahi hay osay apni maghfirat ka intezaam khud kertay rehna chahiaay(Ref: Allama Zeshan Haider Jawwadi k tarjumay e quran ka Hashiya pg#204-5 ) gunaaho se tuba aham tareen umoor or wajebaat me se hai tuba ki haqeeqat gunaaho se pashemaan hona hai or pashemaani aik qalbe amar hai ( yani is ka talluq dil se hay),srif (astaqferullah ) khena tuba ke lie kafi nahe hai balke tuba ke lie haqeeqe tour par pashemaan hona zarore hai or agar waqean pashemaan hojaay tu ( astaqferullah ) khena lazim nahe hai agarche is ka khena ehteyaate mustahab hai ( yani ehteyaatan bhetar hay)or tuba ke sharhe aasaar paae jane ke lie do batain lazim hai (1) insaan hatme irada rakhta ho ke guna ki taraf dobaara nahe palte ga.(2) jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq islah kare ( yani jo wajebaat insaan per wajib the or us ne use anjaam nahe die hai maslan namaaz ,roza , hajj, zakaat wagaira,,agar us amal ki qaza hay kaffara hay tu un ki qaza kare ya kaffara de yani use anjaaam de or jin lougo ka maali haqq khaya hay ya koi maali nuqsaan pouchaya hay ,wo un ko waapsi de ya is silsele me un louqo se un razamande hasil kare) (ref:tuiziul masail jame,urdu,aqa sistani, masla no:2223), ( jis insaan se guna hoa hai wo) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1,2 , toba) [Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15403
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam U Alikum Mera Sawala ye tha ki main pehle namaz nai tha parhta ab Allhumdullilah parta hon to kya un namzo ki saza mile gi jo chot gi ya mafi mil sakti hai

Answer: wsalam. Aap par laazim hai k aap un tamaam namaazon ki qaza karein or allah ki baaragh mai tauba karein wo yaqeenan maaf karne waala hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1356). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!