Question: Sharabi ki tauba h kya?? Agar vo vir kabi sharab na piye to
Answer: Sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Gunah chorni ki koshis mien pair gunna hojaye thorai waqt baad tou and tauba bhi ki hou pehlai
Answer: Toba karen Parwardigar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). 2)Sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gay.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ki jinsi khahish ko ubhaaray.or agar aap khud per qaabo nah rakh saktay hoon tu aap k liay wajib hoga k aap nikah karain.(Ref: Mafhoom e E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Sir Mera sawal hai k agr koi shakhash nadani mein zahr pee kr faot ho jata hai yeni k khudkhushi krta hai to uski maghfirat k liay Kia krna chahye uske rishte daroon ko k uski bakhshish ho jai Allah Rub ul Alameen uski bakhshish kr dein
Answer: Aap khuda se 14 masomeen(a.s) k wasile se on k liay dua ker sakte hain or bakhshish ki dua ker sakte hain or on k naam per sadqa day sakte hain doosre naik kaam ker sakte. Baqi Allah Ghafoor o Raheem hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part#1, Mafhoom e Jawab#199). [Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I tried to perform hetro sex but I know it is a sin so I didn't perform it, now I need to know what to do for Toba?
Answer: Jis insaan se gunah hoya ho wo Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.wo koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo us ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar wo khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai masturbation karti hn allah sa maufi mangi ha namaz parh k lakin phor wahi gunnah dobara ho jata ha phir muafi mangti hn aur phir wahi dobara ho jata ha kia karun mai mjsy comtrol he ni hota hala k mai yeh gunnah nhe karna chahti
Answer: sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.wo koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo us ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar wo khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 18-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Logon se maafi kesy mangy k Allah razi ho jay???
Answer: Istighfaar (taubah) main 6 batain shamil hain:(Nidamat k saath sachay dil say 14 masoomeen(a.s) k waseelay k saath Allah say maafi talab kernay say tubah foran qabool hoti hay) 1) Maazi(past) k gunah per shamindagi. 2) Aaindah(in future) gunah nah kernay ka masboot iradah. 3) logon ka jo haq aap per baaqi hay os ko ada kerna.( maslan kisi ka maal ya haq, nahaq khaya that tu os say maafi maangna ya os ka haq ada kerna ya agar wo log nahin mil rahe to us ki janib se radde mazalm ada karna ya jis kisi ke sath zulm kiya ho to us ke haq men dua e khair karna ). 4) Jin wajibaat ko ada nahi kiya os ko ada kerna.(maslan namaz roza ko agar ada nahi kiya tha tu os ki qaza bja laana). 5) Jo ghosht maal e haram say jism main paidah hoa ho os ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak k naya ghosht paidah ho. 6) Jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis terah osko gunah say maza chakhaya tha. (Ref: Nehjul balaghah, kilimaat o hikmaat # 417) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: muje sex videos dekhny ki adat ho gyi h , kai br toba k bawajood phr yh adat sar utha deti h aur control ni hota ,kindly muje es se bachny ka hal btye. i am unmarried aur maksoos ayam mi yh zyda hta h.
Answer: 1: Ethiat e wajib k toor per fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agarche shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) 2: Hazrat Ali a.s irshad farmatay hain k Jo shakhs namaz e subah k baad 11 martaba surah e tauheed ki tilawat karay to os din wo koi gunah na karay ga chahay shaitan kitni hi koshish karay. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 42) 3: Jo surah e jin ki apni zindigi mai kasrat sai tilawat karta hai to wo jinnat aur in k shar sai mehfooz rehta hai. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 36) 4: Is ka hal shadi hai, aur aap ke liye shadi karna wajib hai, Q ke Jo koi shadi nah karne ki waja se haram kaam me mubtila hota ho tu us per wajib hay k shadi kar lay. (Ref: Ayatullah Sistani, Tauzeeh ul masael, Edition #39, Maslah #2407). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Momin kese bana jay ya momin bany ki koishish ki jaye? Agar koi shaks se ghunahy kabira howa ho aur wo sachy dil se mafi mangy aur momin bany ki koshish kary to kya wo ban sakhta hai ya ban sakhti hai ? Kya ghuna maf hon gy ?
Answer: 1: Sab gunah maaf ho saktay hain, Agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta hai. aur aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday par amal na karay. (Ref: website Ayatullah sistani(d.b) ques #1, toba, http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888) 2: Aap sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ko in kaamo ki janib ubhaaray. (E-mail Rcvd from Ayatullah Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir agar hum Allah se mafi mangle to hume kase yaqeen ho ga
Answer: Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). [Updated on 10-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Toba kitni der men karne par gunah nahin like jate
Answer: Agar kisi se gunah sarzad ho jaye to use chahiye ke pauran tauba kare. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “nidamat hi tuba hay”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k terk k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shaks zaroor bil zaroor apnay pichlay gunaho ka izala or tadaruk kerta hay.agar os ka hunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. Or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zarori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day.taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mzboot irada or os ka tadaruk laazimhay.albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zarori hay k dobarah tauba karain.kun keh Khuda kareen or meherban hay.or bakshnay wala hay.or tauba kernay walo ko doost rakhta hay.hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah r fikr kerna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr kerna hay.or isi liay hadees main ayay hay: “ tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se per haiz karao k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”. (Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]