Question: Mai boht beemart hu lagta a k mar jau gi agr ab toba karu to qabool ho gi
Answer: aap sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab ker6ni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah ko phir kabhi anjaam nahi dain gen.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 17-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam.o.alaikum mein ye janana chahta ho k jb kisi Muslim k bure amal ki waja se Allah ki trf se koi saza ya azab ai to kya sache dil se tauba krne se wo saza ya azab khatam hogai ga? Plz reply kariye ga
Answer: 1: Nabi kareem(s.a.w.w) se pehle jitni ummten guzri hain un me ye hota tha ke kisi aik bure insaan ( jo gunahgar ho) ki wajah se sab pe azaab nazil hota tha lekin Nabi kareem(s.a.w.w) ne farmaya: ke meri ummat, ummat e marhooma hai yani saaye rehmat men hai or ummat e marhooma ka matlab ye hai kisi aik bure insaan ke wajah se Allah taala dosron par azaab nazil nahin karta. or doosri baat ye hai Allah taala zaalim nahin hai Q ke Allah taala khud quran me faramata hai ke yaqeenan Allah logon par zarra barabar bhi zulm nahin karta balke ye log hain jo apne aap par zulm karte hain. 2: Han albatta gunahgar chahiye ke wo Sache dil se tauba kare lehaza Hazrat Rasool Allah(s.a.w.w) se marvi hadees ke mutabiq Surah e Tahreem ki tilawat karte howe Allah Taala ki baargah main tauba kare. 3: Tauba ka sahi mafhoom ye hai k sab se pehle tu is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiye or apne aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain ge. or hamaisha yaad rakhen k Allah har waqt daikh raha hay or is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahe hain or Allah ki na fermani ker rahe hain. (Ref: kanz ul amal, 34452. + Surah younuf, ayat #44. + Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg #37. + (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010) [Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Net pa ankho Ka zana gunahe kabera ha iski mafi ha?
Answer: 1: Sache dil se tauba karne se Parwardigar e aalam yaqeenan muaf farmaye ga. lehaza Hazrat Rasool Allah(s.a.w.w) se marvi hadees ke mutabiq Surah e Tahreem ki tilawat karte howe Allah Taala ki baargah main tauba kare. 2: Tauba ka sahi mafhoom ye hai k sab se pehle tu is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiye or apne aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain ge. or hamaisha yaad rakhen k Allah har waqt daikh raha hay or is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahe hain or Allah ki na fermani ker rahe hain. (Ref: (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 15-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum! Agr ek orat jo shadi shuda hoo , us sy zinaa hojaey , or wo us py sharminda ho or toba kr li ho , to kya uska gunah maaf hojaeyga ? Ya is k mutalik kya raaey hai apki ? Ya wo kiya kary ?
Answer: 1: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega. 2: Inssan jab tauba karay to use ye yaqeen hona chahiye ke parwardigaar e aalam ki rehmat buhat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q ke Parwardigar ne quran majeed mai wada kiya hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waday par amal na karay. 3: Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi par nidamat hai. aur isi liye kaha gaya hay ke “ nidamat hi tauba hai ”. aur waazeh hay rahay ke haqeeqi nidamat hamesha gunah ke tark ke mazboot irade aur dobara is ki taraf nah palatnay ke irade ke saath hoti hai aur haqeeqi naadim shakhs chahe mard ho ya aurat, zaroor bil zaroor apne pichle gunahon ka izaala aur tadaruk karta hai. agar us ka gunah huqooq e khuda main se ho to khuda ki baarghaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho to anjaab day. aur agar huqooq e naas (logon ke huqooq) us ke zimmay hon to zaroori hai ke sahib e haq se us haq ka apne upar halal hone ki ijazat lay lay ya us ka haq us ko day day. Taubah faqat " Astaghfirullah " kehne se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha ghunah ke tark karne ka mazboot irada or us ka tadaruk laazim hay. Albatta agar tauba ke baad gunah kare tub hi remat e Khuda wandi se mayoos nah ho balkeh zaroori hai ke dobara tauba karay, Q ke Khuda kareen or meherban hai aur bakshnay wala hai. aur tauba karnay walon ko dost rakhta hai. Hadees shareef main hay ke: “ Aik lamha fikr karna 60 saal ki ibadat se behtar hai” aur tauba main asar andaaz cheez ye hai ke azmat e Khuda aur us ka apne bandon par haq aur khuda ka har jagah hazir o nazir hone par fikr karna hai. aur isi liye hadees main aya hay: “ tanhaei main bhi gunah ke anjaam dene se parhaiz karo ke Khuda haazir or naazir (dekhne) wala hai ”. (Ref: Ayatullah sistani(d.b) ques #1, tauba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/. + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 20-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: zina k maafi shadi se pehlay kesay mangi jaye
Answer: 2 rakat namaz ada karain is tarah ke har rakat main surah e al-Hamd ke baad 60 martaba surah e tauheed (surah qul ho walla ho ahad) parhain aur phir namaz se farig ho kar sachay dil se Allah Gafoor o Raheem ki Barigaah main tauba karain. (Ref: Mafaatih ul jinaan, topic gunaahon ki bakshish ke liye namaz, pg #244). [Updated on 24-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya allah ma ke sath zinha maaf kr dega Kya allah shirk maaf kar dega
Answer: Quran e kareem main Allah ka farmaan hai ke: 'Allah is baat ko yaqeenan maaf nahin karta ke us ke sath (kisi ko) shareek thehraya jaye aur is ke alawa deegar gunaahon ko jis ke baray mein woh chahay ga maaf kar day ga aur jis ne Allah ke sath kisi ko shareek qarar diya us ne Allah per azeem gunah ka bohtan baandha'. Aik aur maqam par Allah ka farman hai ke: 'Allah sirf shirk se dar guzar nahin karta is ke alawa jis ko chahay maaf kar deta hai aur jis ne Allah ke sath kisi ko shareek thehraya woh gumraahi mein door tak chala gaya'. (Ref: Surah #4 Nisaa, ayat #48,116) Note: waazih rahay ke surah e nisaa ki ayat #48 ka matlab yeh nahin ke shirk ke alawa baqi gunaahon ke irtikaab mein koi harj nahin balke yahan yeh batana maqsood hai Allah ki rehmat o mughfirat har gunah se ziyada wasee hone ke bawajood shirk is ke daire rehmat o mughfirat mein nahin aata, lehaza agar koi shakhs mushriq nah ho aur gunah gaar mar jaye to is ke saaray gunah maaf ho satke hain. lekin agar koi shakhs mushriq marta hai to us ke liye mughfirat ki koi gunjaish nahin. shirk yeh hai ke tadbeer kaayenaat mein Allah ke sath kisi aisay ko shareek banaye jo Allah ki tadbeer ke zail mein nahin aata hai. apne aap ko shirk billah (Allah ke sath shareek qarar dene) se door rakhnay ke baad momin ke liye is aayat mein bohat barri khushkhabri hai. hazrat Ali(a.s) se riwayat hai: ما فی القرآن ارجی من ھذہ الایۃ. is aayat se ziyada umeed afzaa aayat quran mein nahin hai. (Ref: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=4&ano=48) Aur surah e nisaa ki ayat #48 main jis maghfirat ka zikr hai us ke 5 asbaab hain: tauba, hasanaat (naikiyaan), gunah e kabira se ijtenaab, shafaat, khuda ka afu o darguzar, in asbaab ke baghair bakhshish ka koi tasawwur nahin hai. aur is ayat main wada nahin kia gaya hai ke shirk ke alawa har gunah ko maaf kar diya jaye ga balke masle ko mashiyat par moqoof kiya gaya hai ke jab tak insaan ko mashiyat ka ilm nahin hai use apni maghfirat ka intezaam khud karte rehna chahiye. (Ref: Allama Zeeshan Haider Jawwadi ke tarjumay e quran ka Hashiya pg #204,205) Gunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyaatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #393). Jis insaan se gunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. (Ref: sistani.org ques #1, tauba, link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/). [Updated on 19-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam u alikum sir mainay ye poochna tha agar koi insaan apnay cousin wagaira ko apni sharam gah ki tasweer bhaijh day or baad main usay ehsas hou mainay galat kiya tou kya allah say maafi mang kar us gunah ko maaf karwaya ja sakta ha
Answer: Jis kisi ne koi ghunah kiya ho to use chahiye ke wo sachay dil se tauba kare. aur Sache dil se tauba karne se Parwardigar e aalam yaqeenan muaf farmaye ga Q parverdigar ne Quran majeed me wada kiya hai ke wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. Aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waday par amal na karay. (Ref: website Ayatullah Sistani(d.b), tauba, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ). [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum, mera sawal ye hai ky agar kisi namehram se apne mulakat ki hai or usne hath pakar kar chuma hai. lekin nadamat hai k aisa nahi hona chahye tha to is gunah ki maafi kaisy mangi jaye Allah se ...
Answer: 1: Jee bilkul agar wo nidamat aur sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai. Aur haqiqat e tauba ghunah ki anjaam dahi par nidamat hona hai, isi liye kaha gaya hai ke “ nidamat hi tauba hai ”. aur waazeh hai rahay ke haqeeqi nidamat hamesha ghunah ke tark ke mazboot irade aur dobara is ki taraf nah palatnay ke irade ke saath hoti hai aur haqeeqi naadim shakhs chahe mard ho ya aurat, zaroor bil zaroor apne pichle ghunahon ka izaala aur tadaruk karta hai. 2: Taubah faqat " Astaghfirullah " kehne se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha ghunah ke tark karne ka mazboot irada or us ka tadaruk laazim hay. Albatta agar tauba ke baad ghunah kare tub hi remat e Khuda wandi se mayoos nah ho balkeh zaroori hai ke dobara tauba karay, Q ke Khuda kareen or meherban hai aur bakshnay wala hai. aur tauba karnay walon ko dost rakhta hai. Hadees shareef main hay ke: “ Aik lamha fikr karna 60 saal ki ibadat se behtar hai” aur tauba main asar andaaz cheez ye hai ke azmat e Khuda aur us ka apne bandon par haq aur khuda ka har jagah hazir o nazir hone par fikr karna hai. aur isi liye hadees main aya hay: “ tanhaei main bhi ghunah ke anjaam dene se parhaiz karo ke Khuda haazir or naazir (dekhne) wala hai ” 3: Inssan jab tauba karay to use ye yaqeen hona chahiye ke parwardigaar e aalam ki rehmat buhat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q ke Parwardigar ne quran majeed mai wada kiya hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waday par amal na karay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ramzan chalrahy ha or mujhse zinah hogaya hai jisky sath hua hai wo mera cousin hai please kuch bataen
Answer: Jis kisi ne koi ghunah kiya ho to use chahiye ke wo sachay dil se tauba kare. aur Sache dil se tauba karne se Parwardigar e aalam yaqeenan muaaf farmaye ga Q parverdigar ne Quran majeed me wada kiya hai ke wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. Aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waday par amal na karay. (Ref: website Ayatullah Sistani(d.b), tauba, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya zinha karne ke bad hame asi touba mil sakti hai jisse hamare upar koi azab najil na ho plz bataye. or ek bar zinha karne ke bad hamare hone wale biwi or bache par koi farq to nahi padega ?
Answer: Jis kisi ne koi ghunah kiya ho to use chahiye ke wo sachay dil se tauba kare. aur Sache dil se tauba karne se Parwardigar e aalam yaqeenan muaaf farmaye ga Q parverdigar ne Quran majeed me wada kiya hai ke wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. Aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waday par amal na karay. (Ref: website Ayatullah Sistani(d.b), tauba, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ). [Updated on 11-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]