Question: Kia Bnda Apni Bivi Ki Shram Gha Mien Ungil Dal Sakta Ha
Answer: Shohar apne bivi ki sharamgaah main ungli(finger) daal sakta hai aur ungli(finger) daal ker mani nikaal sakta hay laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker saktay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)+ e-mail rcvd from A.Sistani d.b, dated: Jan 20, 2012). [Updated on 27-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia aurat kisi madr se nikah k bad kisi or aurat se sex kry ya usy apny jisam ko chuuny de to kia uska nikah tot jata hy
Answer: Shehwat ki niyat se aurrat ka aurat ko gale lagana, os ka bosa lena or os se cherh charh karna or agar maamla is se bhi aage barh jaey tu ye saare amaal hain, agarcheh on k darajaat mukhtalif hain. (Ref:Jadeed fiqgi masail, ayatullah seestani, maslah#509). Note. in gunah k kaamo se aap ka nikah batil nahi hoga. [Updated on 30-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar aurat se 14sal dur rhe mard to kiya nikah tot jata hai
Answer: 1- Jee nahi is sai nikah baatil nahi hota. Shohar apni jawan biwi sai 4 mahine sai ziada muddat k liye humbistri tark nahi kar sakta siwaye ye ke koi majboori ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2382) (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472) [Updated on 29-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya biwi shohar k nafs ka Pani pee sakty hai or is k peeni k fayide or noksanat Kya hai
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). [Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: a husband can kis his wife virgin (sharmgah) Agha Sistani sb k fatawa k mutabiq
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga (yani choomna wagira) saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) [Updated on 06-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A mera saval hai- kya shadi ke baad may din may(morning) sex karna ghuna hai?
Answer: Jee nahi gunah nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 pg no 357). [Updated on 06-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Humbistri Lazmi Hy Agar Miya Biwi Dono Hi Na razi Ho To Koi gunah to ni hy ??
Answer: mard apni jawaan biwi sai 4 mahine sai ziada humbistri tark nahi kar sakta lekin agar dono raazi ho tou koi harj nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2382). [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya bdkaar biwi ko maaf kr dena chahye agr usky pait mein najaiz hamal ho aur us hamal ka kya krna chahye
Answer: 1)Hamal k ho janay k bad zaya karna jaiz nahi hai. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl, masla # 73). 2)Agar shohar dar aurat zina kare to ehtiyat e wajib ki bina par woh zani par hamesha ke liay haram ho jati hai, lekin shohar par haram nahi hoti aur agar toba wa istaghfar na kare aur apne amal par baqi rahe (yaani zina kaari tark na kare) to behtar yeh hai keh us ka shohar usay talaq dede lekin shohar ko chahiye keh us ka meher bhi de. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani(D.B), Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2367). Note: bivi ko maaf karna ya talaq daina aap ki marzi per mauqoof hay. App in dono main se kisi bhi kaam ko anjaam day sakte hain. [Updated on 15-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal hai k ager biwi ka sex ka dil ho or shoar mana kr k so jaey to kia shohar ko gunnah miley ga? Plz ans
Answer: Shohar k liye jaiz nahi hai k wo jawan biwi sai 4 mahine sai ziada humbistri tark karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2382). [Updated on 20-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam alekum Meri wife mere maa baap say naaraz rahti h unka kaha nhee maanti. Jbki may biwi aur maa baap dono ka khaayal rkhta hu. Kya me apni biwi pr zor zabradasti say apne maa baap ki seva krva sakta hu .
Answer: wsalam.Aap bivi ko amar bil maroof kar sakte hain or unhe samjaha sakte hai. Bivi per aap k maan baap ki khidmat karna wajib nahi hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 pg no 302) [Updated on 08-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]