Question: Kya Islamic 14 tariq ki raath ko hambistari Karna hy yah nahi
Answer: Islami 14 tareekh ka din guzarne k baad jo raat aay wo 15 ki shab hoti hay is raat main hambistari karna makhrooh hay. (Ref: Ayat ullah Seestani (D.B), (Ref: Minhajus saliheen Part #3, maslah #5). [Updated on 15-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: bivi kay hamila honay ki sorat may shohar apni jinsi khwaish ya shehwat kesy pori kry?
Answer: Aap apni Hamila biwi hambistri kar saktay hain., Mustahab hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5). Note: hamila hone ki sorat main bivi k pait per wazan nah daala jaey. [Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr galti se pichy k rasty sex ho jaye toh uska gunah toh ni? Foran husbnd ruk jaye k galati se hogya
Answer: 1)Biwi k peechay k maqam( yani maqam e pakhana) main hambistari kerna agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay, lekin bivi ke raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay.(ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). [Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mia biwi video cal per sex kar sakty hai kiya
Answer: Musht-zani (muth) haraam o guhnaah e kabeera hai. or bivi ke sath phone per sexy batain kar sakte hain laikin is baat ka khayaal rahe k is had tak baat nah ki jaey keh khud per kabo nah rahe or mushtzani karne per majboor ho jain). (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 ). [Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya bivi ki marzi se piche se sex krna jaiz he or Kya aesa krne se nikah par koe asar padega?
Answer: Biwi k peechay(back) ke maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) krna biwi k raazi na honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai,agr biwi razi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay).(Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Note: Is se nikah per koe asar nahi perta. [Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr hambistri krty huay ghalti se khawand k muh mein dudh chla jae jis ka uc ko ilm nah ho tw kiya krna chahye ?
Answer: Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay laikin shohar biwi ki breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jae, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jay(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org) [Updated on 14-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alaiqum... Mera swal ye h k Kya bivi k poru jism ka bosa(chomna) ly skty h sar sy pao tk tamam parts k..
Answer: Shohar aur biwi aik dosray k jism k kisi bhi hissay (parts of body) ko jism k kisi bhi hissay (part) say choo (touch) saktay hain ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat ke iraday say ho dono soorton men jaiz hay.(Ref: Ayat ullah seestani d b minhaaj us saliheen part 3 maslah #11). [Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir. Mara sawal ya hy k main api biwi ko apny hand ke finger sy farigh Kar Sakta hon. During sex
Answer: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker saktay or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. (Ref: jaded faqhi masayl ayat ullaha sistani d b masla#406 pg#236) [Updated on 20-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya bv shohar ko humbistri k leay keh skti hai
Answer: jee keh sakti hai or mard k liye jaaiz nahi hai k wo jawaan biwi sai 4 mahine sai ziyada humbistri ko tark karay lekin agar dono raazi hai tou phr koi harj nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2382). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam aleakum sir hambistari k kitne din bad hamal thehr jata he or kitne din bad wazeah hota he
Answer: Mard jima say farigh hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laity rahe, apni rano ko milaey takeh hamal therne main asani ho. lekin hamal ke theherne ke silsile me har aurat mukhtalif qism ki hoti hai.(Ref: Islam or jinsiyaat, pg#151). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]