Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 521
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum, Agar Taharat kerty howy pani k kuch chinty flush se ya hathon se takra ker paoon ya kapron per gir jain to kia namaz parhi ja sakti hai ya nahin aur woh pani na-pak ho ga ya pak samjha jai ga. Thanks

Answer: w.s. agar peshab or pakhane ke maqam ko qalil pani se pak kiya jaye to dhone ke bad girne wala pani agarche najis he lekin 5 shrayet ke sath jis maqam par girega use najis nahin krega: 1. us k sath najasat n ho 2. najasat ki wajeh se uska rang, bu ya zayeqa tabdil n huwa ho 3. baher se koi or najasat us me na lagi ho 4. pakhana k sath khun ya koi or najasat bahir n aee ho 5. najasat apne maqam se mamool se ziyada n pheli ho. (mujtahid se puchhe gaye sawalat, part:1)

Id: 1441
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: islami tarike se under shaving kahan se le kr kahan tak krni cahiye?

Answer: 1)Rawayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he.2)Rawayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2) 3)ye tamam kam , Darhi key elawah jism key baqi baal katna jayez hay (ref:www.qoitrat.org/QA/other/q.198)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1586
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam valekum,agar hum safar gaye hain aur waha bathroom nahi hai aur pani bhi aur hum aise hi peshab bait aaye toh hum peshab se pakh kaise ho sakte hain aur uski dua kya hai?(dua zaroor bataiye pls.)?

Answer: Peshab ka makrajh(nali) paani k ilawa kisi cheez se paak nahi hota aur usay aik martabah dhona hota he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 62).

Id: 1756
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam qari sahib.mera aap se yeh swal hai k agar istanja karne k baad hath sirf pani se doyey jaen aur sabun use na kren to hath paak hojatey hain ya nahi?wasslaam

Answer: Istinja karnay k bad agar nijasat hathoon me reh jay aur wo nijasat peshab ho tu peshab door karnay k bad 2 dafa pani dalna zurari he. Aur agar wo pakhana ho to pakhana door karnay k bad aik dafa pani dalna zarori he. Albatta rang ya bu baqi reh jay tu koe haraj nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 63, 154-156). Note: Sabun se haath dhona zarori nahi he, sirif paaani se hi dhone se najis cheez paak hojati hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2327
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Dear Sir, Agar Halte majboori mein agar aik taraf mard ho aur aik taraf aurat to kis ki taraf face kar key peshab karna chahei aurat ki taraf ya mard ki taraf.

Answer: 1)Insaan per wajib he k peshab aur pakhana kartay waqt aur doosray maoqay per apni sharamgahoon ko un logoon se jo mukallaf hoon chahay wo maa aur behen ki terah is k mehram hi Q na hoon. Aur isi terah deewano aur in bachoon se jo achay aur buray ki tameez rakhtay hoon chupa kar rakhay. Lakin sohar aur biwi ka aik doosray se chupana laazim nahi he. 2)Apni sharamgah ko kisi makhsoos cheez se chupana laazim nahi he, maslan agar haath se bhi chuppa lain to kaffi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 53,54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2458
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bait ul khala ma jana ka kya tareeqa ha aur kis taranh bait khala k bad khud ko dhona chahiya

Answer: 1) Mustahab he k Bait ul khala me jatay waqt pehlay bayaan(left) poun(leg) ander rakhay aur nikaltay waqt pehlay dayaan(right) poun bahar rakhay. Aur ye bhi mustahab he k rafa e hajat kartay waqt sar dhak kar rakhaain. Aur badan ka bojh bayen poun per dalain. 2)peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez se paak nahi hota he. aur ose aik martaba dhona kafi he albatta ethiyat e mustahab he k do martaba dohain aur behtr ye he k teen martaba dohain. 3)agar maqam e pakhana ko pani se paak kia jay to to zarori he k pakhanay ka koe zarra baqi na rehay albatta rung ya bo reh jay to koi haraj nahi aur agar pehli baar hi wo maqam is terah dhul jay k phakanay ka koe zarra baqi na rahay to dubara dhona lazim nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 75, 62, 63) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2997
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam, janab mujhy ye poochna hai k agar peeshaab k ealava he qatray kharij ho jain toh un k baray main kai hukam hai aur kai woh napak rutoobat tasawoor ki jay gi ya pak?? aur istabra ka tareeqa bhi bata deen.

Answer: Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga. jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322) Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa,keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70). Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3256
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualeakum,mera peshab ke baad khare hone par qatra aata hai ,namaz ke liye gusal aur wazu par masla aur ahtiyat plz jald bataye.

Answer: Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi he.Laihaza agar koe ratubat kharij ho or shak ho k ye paishab he ya nahi tu wo ratubat paak hogi or agar ye aurat wuzu se ho tu iska wuzu or ghusl bhi is ratubat k kharij hone ki wajah se batil nahi hoga. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 74). Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen, pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3648
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bathroom ma koi dua ya ayat pahi ja sakti ha ?

Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein. Yes, it is.(Ref: E-mail Rcvd from Ayatullah Sistani(d.b), dated:13-04.12+ urwatul wusqa, part#1, before maslah#459 ) Translation: jee haan, ye (jaiz) he.

Id: 3882
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam aleykum mera sawal ye hai ki jab koi istinja karke inkle or fir se usko lage ki uska peshab kharij ho raha hai ya wo kahi ja raha ho or usko libas na badal sake or usmai peshaab ke katre lag jaye to namaz jayez hogi..

Answer: 1) Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab naali main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi hai. Pas agar kor ratubat kharij ho or shak ho k ye paishab hay ya nahi tu wo ratubat paak hogi or is k wuzu or ghusl ko bhi batil nahi karay gi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 69,74) 2)Namaz parhnay walay ka libas paak hona zaroori hai. Agar koe shakhs halat e iktiyari mai najis libas k sath namaz parhay to is ki namaz batil hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!