Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4112
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maqam e paeshab ya pakhana ko agar qaleel pani sai pak kia jae to jo pani is maqam sai gry ga wo najis ho gay a pak?

Answer: Agar chah ye pani najis hai, lakin jis jigha bhi wo pani gry ga wo nichay di gae in shrait k sath is maqam ko najis nhi karay ga. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 13, pg # 25) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4238
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam o alaikum.....sir main jab bara peshaab karta hoo to us k baad kuch white rang k qatrey nikal aatey hain kiya us k baaad ghusal farz hai

Answer: Wo ratubat jo baaz auqaat peshab k baad nikalti hay jisay wadi kaha jata hay, Agar peshab is se nah mila ho to pak hay.wadi k aanay se ghusl wajib nahi hota. (Ref : TauzeehulMasailAyatullah Sistani d.b. masla #70, 345 )

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4582
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamu aleykum, mera sawal a hai k baitul khola (toilet) me bait kar khana pine se kya hukoom hia, haram hai , ya halal, ya makru plz answer den

Answer: Bathroom mai koi cheez khana makrooh hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #76)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4872
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA mera sawal ha k aksar shehwat angais khialat ki waja se aalae tanasul se aik ratobat kharij hoti ha .kia is ratobat se ghusl wajib hota ha or is ratobat se kapre napak to nai hote.

Answer: Wo rutubat jo kbhi kbhi shehwat ubharnay par mard k aala-e-tanasul sy kharij hoti hai usay mazi krhtay hain aur wo paak hai,us say gusal wajib nahi hota. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5293
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: wazu karne se pehle kya istenja karna zaruri hai matlab agar peshab pakhana na aaya ho to phir bhi aur kya peshab karne k baad pura istenja karna zaruri hai.

Answer: 1)Agar aaza e wazoo(wo body parts jis par wazoo kia jata hai) k alawa badan ka koi hissa najis ho to wazoo sahi hai laikin agar peshab ya pakana k maqam ko pak na kia gya ho to phir ehtiyat e mustahab ye hai k pehlay inhain pak karay phir wazoo karay. 2)Peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez sai pak nahi hota hai aur osay aik martaba dhona kafi hai albetta ehtiyat e mustahab ye hai k 2 martaba dohain aur behtr ye hai k 3 martaba dohain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 276-62)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5341
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam taharat ka bad agr hath pak kia ja rahai ho to jo hath pak kia ja rahai hai woh taharat ka hukum mai hi ai gai ya us ka lia alag hukum hai

Answer: Agar koe shaks kisi cheez ko pani se dhoay tu os cheez k paak honay per os shaks ka wo hath bhi paak ho jata hay jo os cheez k sath dhul gaya ho. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #212) Note: Istinja k mukammal hotay hi aap ka wo hath jo istinja main istemaal hoa hay wo bhi paak hojaay ga.

Id: 5559
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA. I want to about the hades of cleanliness. and why open defecation in open places is prohibited in Islam. give me detail reference of Quran and Hadees

Answer: 1)It is Mustahab that a person sitting for relieving himself, sits at a place where no one would see him. 2)It is Makrooh to face the sun, or the moon, while relieving oneself. But if a person manages to cover his private parts, it will not be Makrooh. Moreover, it is Makrooh to sit for urinating etc. facing the wind; or on the road side, or in lanes, or in front of a doors of a house or under the shade of the fruit-yielding tree. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 75-6)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5811
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya muslim khada ho kar pishab (urine) kar sakta hai.

Answer: Kheray ho ker paishab kerna makrooh hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #77). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5876
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal hai k islam ma aurat ko yeh hukam hai k khana pakatay howay sur pay dupatta rakhay aur yeh k bait ul hilah ma jatay howay bhi sir pay dupatta rakhay warna saitan zanna karta ha aurat k saath..............inn baaton ma kahan tuk sachai hai

Answer: Bathroom mai sar ka daphna mustahab hai aur khana pakatay huay agar koi na mehram dekh raha ho to pardah karna paray ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 75, 2397-8)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6799
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hum india me rehte hai.hamara naya ghar bana hai jiske toilet ki facing east west hai. Aur kiblah west south ki taraf hai..plz mujhe bataiye kya is tarah ka toilet ko use karna sahi hai ya nahi.

Answer: (Ehtiyaat ki bina par)wajib hai ke peshab ya pakana karte howe ap ka sena ya pusht (peet) qible ki tarf na ho, or na hi sharam gaah ko is ki taraf pheren, chahe toilet ki facing kuch bhi ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 55 , 56 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!