Question: Kea washroom ma wazu krna sahi ha??
Answer: Jee han, washroon me wuzu Jaiz hai. (Ref: Mafhoom e Email rcvd from Ayatullah Sistani d.b). [Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar kisi bhi wajah se bathroom ka door khula rakhna pade to kya alternate option hai..??
Answer: Insaan par wajib hai keh peshaab aur paakhana karte waqt aur dusre mawqe par (maslan nahate waqt wagera) apni sharamgahon ko un logon se jo mukallaf hon chahe wo maan aur behen ki tarah is ke mehram hi Q na hon aur isi tarah deewane aur un bachhe se agar mumayyiz hon yani jo ache bure ki tameez rakhte hon, chhupa kar rakhe, Laikin biwi aur shohar ke liye apni sharamgahon ko aik dusre se chhupanaa laazim nahin. Aur apni sharamgahon ko kisi makhsoos cheez se chhupanaa laazim nahin. balke agar apne haath se bhi chhupa lay to kafi hai. jabke mustahab hai keh insaan jab bhi rafae haajat ke liye jaaye to aisi jagah baithe jahan use koi naa dekhe. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #53,54,75). [Updated on 01-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir peshaab ky baad moni jaisa kush kharij ho to bnda napaak ho jata hai kia
Answer: Wo rutoobat jo baz awqat mard ki sharamghah se peshaab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. agar is se peshab mila hua nah ho to ye paak hai, aur is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #70). [Updated on 24-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia pakhana k bad hatho ko kalma parh kr pak krna wajib hai?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Peshab ya pakhane ke maqam ko pak karne se hath bhi khud ba khud pak ho jata hai, alag se hath ko pak karna zaroori nahin hai aur kalma parhna bhi zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #212). [Updated on 10-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam walaikum mera sawal hai ki mere office me khade hokar peshab karne wala hai aur dhone wala bhi hai to kya paak saaf hun na
Answer: Khare ho k peshab krna makroh hai. Peshaab ka markhraj ( peshaab nikalne ki jagha ) ko aik dafa pak karna kafi hay or afzal ye hay ke 3 dafa dhoya jaay. Agar insaan ka badan ya lebaas peshaab se najis hojaae tu qaleel pani do dafa dhona zaroori . (Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 53,56,62,154) [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Pehab k baad pani lena bhool gaye to kya kare
Answer:
Question: mein na yeh poochna tha ka islam ma istanja kis hath sa karnay ka hukam diya gya ha? or agar larkiyan contiously discharge hoti rahen bay shak thori hi quantity ma to kya wo namaz contiue rakha sakti hen is halaat ma without taking bath? mera last sawal yeh ha ka islam ma pregnanat ourton kay rozay k baray ma kya rayait ha kya wo chorh sakti hen? agar chorh dein to kya kufara ho ga?
Answer:
Question: Shram Gah kya hay? merd aur aurat k reference say byan farmaiye. Allah Quran may kai jagha fermata hay k us kay pasnadidah banday wo hain jo nmaz parhtay hain, zkt dete hain aur apni sharam gahon ki hifazat kertay hain, to qibla yahan shram gahon ki hifazat say murad "ZINA SE BACHNA HAY" ya Shram Gah se murad kuch aur doosray jismani hissay bhi hain. Jwab detail se dain.
Answer:
Question: sir main jb bhi peshab karta hn to us k bad aik do qatray gir jatay hain aur ager wesay meri penis karak ho jay ya kisi larki ko dekh k meri penis khari ho jay to meri penis se se kush pani ki tarhan les dar koi chez nekalta hi ...please is ka mujhay kuch elaj btay aur main is wajah se namaz bhi nahe perh pa raha ....plz mujhay is ka solution bta de ta k main namaz perh sakn....plz mujhay intyzar rahay ga ap k intyzar ka..
Answer:
Question: After peshab if I use toilet paper properly and do not take any water then completing my Ozu(with water) can I pray namaz? For more information few time in my penis I can see there is very little mozi and its make me disgusting.To clear this mozi with water is difficult to me in outside of house (like in office).In this situation I only use toilet paper properly and completing ozu with water I pray namaz. In my house time I take bath to wash mozi. Am I correct?
Answer: