Question: assalam wa alaikum. Hamaee ghar ki lavatory east west facing hai aur kibla south west me hai..to kya ese lavatory ko use kar sakte hai. Plz jald se jald reply kijiye.
Answer: Peshab ya pakhana kertay waqt ehtiyaat e lazim ki bina par daban ka samnay ka hissa yani pait aur seena qibla ki taraf nah ho aur na hi pusht(peeth) qiblay ki taraf ho.(Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#55). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kapron per ager pashab ka ketra nikal ayn lakin banda ko shak ho ka katra nikla han ka nahi to es halat main namaz ho jay ge or es halat main kapra pak raha ga ka nahi
Answer: Agar peshab ka qatra bahar na niklay tou namz parhi jaskti hai,jab tak yaqeen ya aqli tareqay sy itmena na ho shak ki surat mai nijsat sabit nahi hoti. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#115). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal hai ky bara peshab saaf karny ka kya tareeqa hai matlb kin ungliyun sy krny ki ijazat hai islam main
Answer: Ulte (left) hath ki koi si bhi ungli se is terhan karain ke pakhane ke tamaam zarraat hat jaain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 63 , 76 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: mera sawal ye hai k kain jab peshab karta ho to mani ati hai kya kro phr nahana chea ya nhi
Answer: Mard ki sharam-gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo nah hi pishaab hota hai or na hi mani, lekin in main se baaz mani jesi or baaz peshaab jesi hoti hain, or wo ye hain, 1 – wadi, 2 – mazi, 3 – wazi, or ye teno paak hain, na in se wazo totta hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70). Lehaza ager ye ratobat (peshab ke baad nikalne wala pani) un sifaat ke saath (shehwat, uchal ke nikalna, nikalne ke baad badan ka sust ho jana) nikle jin ke sath mani ehtilaam ki halat main nikalti hai to ye mani hai, or gusal karna ho ga, or ager un sifaat ke sath nahi nikle chahe is ka rang mani ke rang ki terhan ho ya kisi or terhan ka to mani nahi hain, or na hi gusal wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 345 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Assalamualykum Meri shalwar me peshab k qatre gir jate hain kya isse na paak ho jate hain
Answer: Peshaab najis hai aur jahaan per bhi peshaab lage ga wo cheez najis ho jaay gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 80 ). Agar jism ya libaas par peshab k qatray gir jae to 2 dafa qaleel pani ko os par bahana zaroori hai ta k wo pak ho jae aur ghusl krna wajib nhi aur libaas ko har dafa dhone k baad nichoorna zarori hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 154) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia peshab rokne pr peshab k kuch katre nikal jane se bhi kapre na pak ho jate hai aur kia ghusal farz hota hai?
Answer: Peshaab kharij hone se ghusl wajib nahe hote laikin namaaz perhne k lie wuzu karna zarori hai. Agar libas peshab sai najis ho jae to os ko pak karnay k lie qaleel pani ko 2 dafa os par bahana zaroori hai ta keh pak ho jae aur har dafa pani daalnay k baad os kapray ko nichora bhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322,154). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar pisaab ka katra istanja karte waqt jism ke kisi hise pe lag jaye to usko sabun ke bagher saaf karsakte hai ??
Answer: Badan k jis hisse me pheshaab lag jaay us ko faqat pani se 2 martaba paak karna zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #154). Update on dated 30-04-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: my question is that chota peeshab rukna kia gunah girls k ly? kia disadvantages hain? aur private parts k sath play krna peshab ko rukay rehna k duran tu kia ye gunnah hai?
Answer: 1)Peshaab rookna makrooh hai aur agar badan k lie mukammal tour per muzir ho to haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #78). Update on dated 27-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 2)Insaan k lie apne penis se play karte hoe mani kharij karna guhnah e kabira hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). Update on dated 27-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar paani na ho aur uski wajah se peshab ki paaki na ho toh kya kisi aur cheez se paaki ho sakti
Answer: Paisahb ka makhraj pani k alawa kisi cheez se paak nahi ho sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #62). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ager jrian ka masla ho or pishab main mani khraj ho jay or us ka pta bi na chaly to kia ghusal wajib ho ga
Answer: Jo ratubat paishab k sath kharij hoti hay osy wadi kaha jata hay or ye mani nahi hoti. Mani uchal ker lazzat k sath kharij hoti hay or is k nikalne k baad badan sust ho jata hay. Is liay aap per ghusl wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,345). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).