Question: Assalamualaikum Ji mera sawaal yeh hai ki mai jab peshaab karke farig ho gya to ek peshaab ka katra nikal gya to ab mujhe namaaz padhne ke liye kya karna hoga?
Answer: 1. Istabrah aik mustahab amal hai jo mard peshab karne ke baad is gharz se anjam detay hain take itminan ho jaye keh ab peshab nali me baqi nahi raha, iski kaey tarkibein hain jin me se aik yeh hai keh peshab se farigh ho jane ke baad agar maqaad najis hogaya ho to pehle use paak kare aur phir teen dafa baein hath ki darmiyani ungli ke sath maqaad se le kar uzu e tanasul ki jar tk sonte aur uske baad angothay se uzu e tanasul ke upar aur angothay ke sath wali ungli ko uske niche rakhe aur teen dafa sipari tak sonte aur phir teen dafa sipari ko jhatke. Agar aap ne istibra anjaam dai dia or us k baad rutoobat niklay jiske baarey mai shak ho k peshaab hai ya koi or tou wo rutoobat paak hai lehaaza usi haalat mai aap namaz parh saktay hai. 2. Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora ratoobat hai to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 42, Mafhoom e Maslah # 69,70) [Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: asllamulekum... mola ALi as madad. sir ye swal ha k beshab k bad ratobat ati ha hallki halki. isk elava prolactin level b bhra hua ha body ma. mardana timing issue.. koi wazeefa anayit frmae .. jazaklALLAH
Answer: Mani ki alaamat ye hai k 1: uchal kar nikle 2: shehwat k sath nikle 3: nikalne k baad badan sust hojaaye siwaaye ye k beemar na ho jis rutoobat mai in teen alaamaat mai sai koi aik alaamat bhi na ho tou wo mani nahi kehlaayegi. peshaab k baad jo rutoobat kharij hoti hai usay wadi kaha jaata hai agar is rutoobat k saath pishab mila hoa na ho tou ye paak hai or is rutoobat k khaarij hone sai ghusal wajib nahi hota. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 70 and 345). Homeopathic store se mektum T-10 le kar is ke under di gaae malomaat ke mutabiq istemaal karain. (Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai). [Updated on 18-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam allaykum beitul Kuala me bidi ya cigarettes pi sakte he ya nah I.
Answer: Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah # 76) [Updated on 17-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalmu Alaikum.... Mera sawal hai ke wo lisdar qathray jo shehwat mai nikalthay hain agr wo kapro pe lag jaye tho kya namaz ada karnay se pehlay kapray ki wo jaga doni chahiye ya nhi? Ap ke jawab ka intizar rahega. Shukriya.....
Answer: Wo Rutobat (liquid qatre) jo kabhi shehwat ubharne par mard ke Aal e Tanasul se kharij hoti hai use mazi kehte hen, or wo pak hai or is se gusl bhi wajib nahin hota, or kapre bhi najis nahin hote. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, 31st Eddition, maslah #70,344,345) [Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar bagair kisi waja k Wadi nikal to un kapro mey namaz hoskti
Answer: peshaab k baad jo rutoobat kharij hoti hai usay wadi kaha jaata hai agar is rutoobat k saath pishab mila hoa na ho tou ye paak hai or is rutoobat k khaarij hone sai ghusal wajib nahi hota or us kapray may namaz b sahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 70 and 345). [Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Poty krne k baad kitni bar nahana chahiye? Or poty kpray phrn k ki ja skti ha?
Answer: Paishab ka makhraj paani ka alawa kisi cheez se paak nahin hota or osko 1 martaba dhoona kafi hay laikin afzal hay k 3 martaba dhoya jaey. Aur agar pakhanay ki jaga(anus) ko paani se dhoya jay tu zarori hay k pakhanay ka koe zarrah(spot) baqi nah rahay laikin agar colour ya smell baqi reh jaey tu koe haraj nahi hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #62,63). (Note: oper biyaan kiay gay fatway ka khulasa ye hay k maqaam e paisah ko 1 baar dhona wajib hay or pakhanay k maqaam ko is terah dhoya jay k pakhanay ka koe zarra baqi nah rahay. Yani agar 1 baar pani daalnay se hi maqaam e pakhana saaf ho jay tu phir 2 ya 3 baar dhona lazim nahin hoga ). [Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aj kal mery penis pr off white liquid ajata ha jisko saaf krny pr thori dair bd phr ajta ha kia yeh na pak ha?
Answer: Aam tor wo ratubat jo peshab k baad niklti hai agar peshab is sai mila hua na ho to wo pak hai. mazeed ye k jab kisi shakhs nai peshab k bad istebra kia ho aur is k bad ratubat kharij ho jis k baray mai shak ho k ye peshab hai ya koi aur to wo bhi pak hai. 2)Agar kisi shaks k badan se koi ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya peshab ya koi aur cheeze, agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is k niklne k bad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai .laikin agar in teen alamat mai sai sari ki sari ya kuch mujood na ho to wo ratubat mani k hokum mai nahi aye gi laikin agar insan bemar ho to phir zarori nahi hai k wo ratubat uchal kar nikly aur is k niklne k waqt badan sust ho jay bal k agar sirf shewat k sat nikle to wo ratubat mani k hokum mai ho ge (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69, 345) [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya mard ho ya aurat ko Islam mei Nahane ke bad pura kapda uttar kar (nude ho kar) tel ya body lotion lagana jaiz he?? Jaha pura room saro taraf se bandh ho,,,aur sirf aap hi akela hoo???
Answer: agar koi aisa insaan daikh na raha ho ke jis se mard ke lie apne sharamgha chupana wajib ho tu ye kaam Jaiz hai balke riwaat men to badan par tel malne ke buhut se faaide zikr kiye gaye hain.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #53). (Ref: Tehzeeb e Aale Muhammad, Allama Baqir majlisi, pg #168,169). [Updated on 10-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Imam zamin ko bazo ka kis kis waqat utara ja skta h washroom jaty hovy phn skty ya utar dety hn
Answer: Imam e zamin har waqt pehna jasakta hen lekin wuzu k bagair qurani ayaat ko choona jaiz nahin hai or agar washroom men pehin kar jany sy qurani ayat ki behurmati hoti ho to usay utarna wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e Maslah #315,316). [Updated on 27-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr gusal karte waqt rukh kabutula ke pass huwa to gusal hoga ya nhi
Answer: Peshab ya pakhana karte waqt Ehtiyat e lazim ki bina par badan ka agla hissa yani pait aur seena qible ki taraf na ho aur na hi pusht qible ki taraf ho. lekin ghusl karte waqt is cheez ka khayal karna zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #55). [Updated on 07-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]