Question: Agar Mein peshab krne k bad peshab k qatre ko tissue paper se saaf kia toh mein paak hua k nai
Answer: Paishab ka maqam pani k alawa kisi bhi cheez se paak nahi hota or osay aik mertaba dhona kafi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #62). Update on dated 07-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aoa. swal ye hai k sexy batin krty rhy phr shehwat b ae aur penis sy qatra b nikla jo lais daar tha. lakin is doran penis ko hath tk nh lgaya. jism b sust nh hoa aur qatra uchar kar b penis sy nh nikla. to ye lais daar qatra ab mani hogi ya mazi????
Answer: Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70). Update on dated 13-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aoa. larki sy phone py sexy batein ki. phr penis se lais daar qatra nikla. phr me peshab karny gya to peshab k bd b lais dar ratobat nikli. ab ye ratobat mani hogi ya mazi? aur gusal farz ho jaey ga?
Answer: Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70). Update on dated 13-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamo Alekum mera sawal yah h ap say jab may call py apni mangyter say bat karta hun to mera mazi kharijh hota h to mazi pak h yah na pak kindly answer me
Answer: Mazi pak hoti hai chahay jitni miqdar amin ho.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 70). Update on dated 14-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa. Istanja k waqt safai k lie pechli jaga ungli dalny (beshak thori ya zada) se wuzu istanja ojae ga ya .koi masla a ???
Answer: Istintaja yaani peshaab ya pakhanay k maqam par is tarah pani daalna k nijasat hat jaey. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 315). Update on dated 10-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mere sawAL YE H KI JB BHI ME PESAB KR KE UT THA HU PENT PAHNANE KE BAD PESAB KA KATRA NIKLNE KA EHSAS HOTA YA NIKALA JATA H TO KYA MUJE DOBARA GUSAL KRKE KPDE CHANGE KRNE HONGE
Answer: Peshaab k katre nikalne sai ghusl wajib nahi hota lekin agar badan ya libaas par peshaab laga ho tu paak karna hoga. Agar peshab karne k baad istibraa kar liya jaey or phir koi rutobat kharij ho or us k baarey mai shak ho tu phir us rutobat ko paak maana jaey ga or badan or libaas ko paak karne ki zarorat bhi nahi hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 70,344,119). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir, Peshab k bad agr stanja nhi lia jaiya to kya unn mard ya aurat p gusal farz hota hai ya nahi ?
Answer: Agar peshab k baad istinja nah kia jaey tu namaz se pehlay sharamgaah ko paak kerna zarori hoga or isi tarah agar najis sharamgaah se badan ya libas najis ho jaey tu os ko bhi paak kerna zarori hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #62). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Wo Imam Zamin jo ajkal Bana banaya Stalz se milta h jis ko bazu py pehnty hain jis py Naqash e Nad e Ali or Qurani Ayat likhi hoti hain Insaan har time pehn sakta h agar chaye Wazu mai h ya nhi or Washroom Mai janay se pehle usy utarna zarori h ya nahi?
Answer: Ji han har halat men usy pehin sakty hen lekin ,Wuzu k bagair qurani ayaat ko choona jaiz nahi hai or agar washroom men pehin kar jany sy qurani ayat ki behurmati hoti ho to usay utarna wajib hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 315/16) [Updated on 19-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I want to ask kay Agar potty( (Ù¾Ø§Ø®Ø§Ù†Û ) kartay waqt aksar zor laganay say peshab kay muqam say mani jaysa white aur lust jaysa liquid aajata hai to kia wo mani hai? aur gusal e janabat wajib ho jata hai??
Answer: Mard ki sharam gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo nah hi pishaab hoti hain or nah hi mani wo ye hain 1-wadi, 2-mazi, 3-wazi or ye teno paak hain na in se wazo totta hai or na hi ghusl wajib hota hai (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail edition 41 maslah#70). [Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera sawal yeh hai ky agar pata na chaly ky mazi shalwar per kahan lagi hai toh kya aise surat main namaz ada kar sakty hain??
Answer: mazi k sath agar paishab nah ho tu mazi paak hai lehaaza libaas bhi paak hai or us mai namaz bhi ada ki jaasakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edtition 41 maslah no 70) [Updated on 22-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]