Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10726
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa.. Mera sawal ye ha k jb me kisi larki se phone pe baat krta ho tou mazi ati ha iski waja kya ha or isko. Kese Ruka jae

Answer: Wo rutubat jo kabhi kabhi shehwat ubharne per mard k aala e tanasul se kharij hoti hay is mazi kehte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #70). Update on dated 07-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Advice: lazzat k tasawwur or khayalaat se door rahain tu mazi se mahfooz rahain gay.

Id: 10760
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mazi K qatre kapre se lagne ki surat ma kapre ki us jaga ko dhona zaroori ha?

Answer: ِMazi paak hai lehaza libaas najis nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 70). [Updated on 09-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10798
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kisi larki se call pe bat karty hue qatre aa jyein to kya shalwar or azaw tanasul dhone se namaz ho jati hy ya ghusal krna prta?

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70). Update on dated 18-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10904
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia shukrana nafill me just Sajda Kia jata ha ya 2 nafil namaz ada ki jati ha

Answer: Agar mannat 2 rakat nafil namaz ki maani thi tu namaz hi perhna hogi or agar mannat sajdah e shukr ki maani thi tu sajdah e shukr kia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2614). [Updated on 13-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11180
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir Aoa agr pishab karty waqat hum pishab kr k Khady hoty hai or pishab k katry nikalty hai Mani k nhi pishab k tu gusal wajab ho ga...

Answer: peshaab k baad ghusal wajaib nahi hota han jahan peshaab laga hai faqat un maqaamaat ko paak kar lein.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 31-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11350
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.A Agar urine k sath sperm k kuch drops nikal jayen to us halat me gusal krna lazim hai ya sirf wazu me namaz hoskti hai?

Answer: Agar aap ko yaqeen hia keh yeh ratoobat mani hia to chahe wo uchal kar na bhi nikle ya shehwat key sath na bhi nikle wo mani hi kehlaigi aur najis hogi aur us per gusl wajib hoga. Agar aap key badan se koi ratoobat kharij ho aur aap yeh na jante ho key yeh mani hia ya peshaab ya koi aur cheez to phir in alamaton ko madde nazar rakha jaiga yani aghr wo ratoobat 3 sharton k sath ho to mani ka hukm rakhti hai, 1- shehwat ke sath nikli ho, 2-uchal kar nikli ho, 3- nikalne ke bad badan sust ho gaya ho, lekin ager in 3 alamaton men se sari ki ari ya kuch mojud na hon to wo mani ka hukm nahi rakti.( Ref : Tauzeeh-ul-Masail Agha sistani Prob no 345/351/352) [Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11541
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mra masla ya h k jb me larki sy bt krta hu to mra pani nekalta hy jis ki waja sy me namz b chor dayta hu... to plz mujy jwb day gay .agr pani jo aata h wo pani shalwar ya pant me or tango me lag jay to kia hum namz par skty h

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose Maziمذی kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise Wazi مذی kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise Wadiودی kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. aur uske sath namaz bhi parhi ja sakti hai.(Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani,Tauzeeh ul masail, masala#70). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SALAM alikum My question is regarding mazi akraj, if anybody has mazi eruption can he recite different ziarat like namaz.

Answer: Agar mazi k sath peshab mila hoa nah ho tu mazi k kharij hone par ghusl wajib nahi hota or nah hi wuzu batil hota hay or mazi paak hai lehaaza mazi libaas ya badan ko lug jaaye tub bhi wo paak hi rehte hai or us mai wajib or mustahab namazon,ziaraton ko parha jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 70). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11616
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bathroom me peshab karna sahi hai ya ghalat

Answer: jin jahon par peshab karna haram he un me ye nahin he. lihaza bathroon me peshab karna jaiz he. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, mafhoom e maslah # 60) (Note: lekin jab bathroon me peshab kren ge to aap ko bathroom ko pak karna wajib hoga.) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12903
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA If we dont have water and we use stone or dhaila to clean uzutanasil after passing urine then after getting water we have to pak it but what for libas that we were wearing that time. Means libas pak hoga ya na pak.

Answer: Paishab ka makhraj paani k alawa kisi cheez se paak nahi hota or osay aik martabah dhoona kaafi hay or afzal ye hay keh 3 martabah dhoay. or agar libas per paisahb ya gilahat lagi ho tu laibab najis hoga.(Ref: Tauzihul masael, maslah#62). [Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!