Question: .Kya non Muslim se bartan saf krwana jaiz hai
Answer: Kafir yani wo shakhs jo khuda k wajood ya khuda k aik honay ka iqrar na krta ho wo najis hai aur jo bartan wo dhoae ga wo bhi najis ho jain gai. Laikin ahl e kitab yani christen, yahoodi aur majoosi pak hain aur wo jo baran dhain gay wo bhi pak hon gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 103)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kya janabat ki halat mein insan ka batun for example dil aur damagh aur zaban napak hotay hain ya surf jism napak hota hai please explain
Answer: Jis jagah mani lagi ho srif wo hi hissa najis hota hay aur baqi badan paak ho hota. ( ref: ayatullah sistani(d.b),tauzeehul masail 31st edition, maslah #122 ) (khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: rooh najis ho jati hay badan napaak nahi hota.
Question: mera sawal ye hai k kapron pe kitni nijasat lgny se kapry gandy yani napak hoty hain?
Answer: Nijasaat say faqat wo cheez najis ho gi jis par nijasaat is qadar lagi ho k aik ki tari dosere me muntakil ho jaay to doseri cheaze najis ho gi. Is k alawa koe aur cheez najis nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam, ager kapro per mini leg jaye aur gusal ker leya jaye aur bd me wo kaprey dobara pehan leye jaye without washing kiya jism phir napak ho jaye ga.
Answer: Agar kapro ya jism me se koe is qadar tar (geela) ho aur osi jigha touch ho jis jigah mani lagi thi to wo jagah bhi najis ho jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aslam o alaikum!!!!!!!!!!!kya napak kapre pehne se jism dobara napak ho jata he???????jesa k jo kapre mene humbistri karne k bad pehne,,,,,,wohi kapre mene dobara rat ko pihr pehn lie,,,,,to kya jism dobara napak ho jaye gha????????
Answer: Agar koi paak cheez kisi najis say lag jaye aur dono ya in me say 1 is qadar tar (geeli) ho kay 1 ki tari dusray tak pahunch jaye to paak cheez najis ho jaye gi (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asalam oalaikum mera sawal ye ha k etilam k bad jo kapra najis ho jata ha tu kapre ma lagi srif us nijasat ko saaf krna kafi hai ya pura kapra dhona parhe ga
Answer: Q k najis faqt wo hi hissa hota hai jahan nijasat lagi hoti lehaza faqt usi ko pak krna kafi hia. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah #24).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Jin kapro pat liquid lag jaye wo napak jo jate hein agar dusre din wohi kapre pehne jayein mtlb un kapro ka liquid sookh chuka he kapre ghile nai hein,,,,,,dusare din wohi kapre pehne se kya jisam napak ho jata he????
Answer: Ager jism gila nahi hai to paak rehe ga najis nahi hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: during washing nijis cloth hands become nijis with nijis water,now wet hand touches tap.after still tap is wet someone touch tap with wet pak hand .is new hand become nijis ,if yes then would it make other pak thing also nijis before drying
Answer: Ager koi paak cheez een e nijasat(jin ki tadaad 10 hain)se najis ho jaae to ye najis hone wali cheez mazeed 2 cheezoo se ziyaada ko najis nahi kar sakti, masalan ager pishaab se sedha haath najis ho jaae or phir ye sookh jaae, to phir jab ulta haath tari ke sath sedhay haath ko laage ga to wo is ko najis kar de ga, phir ye bhi sookh jata hai, phir jab kapre tari ke sath is ulte haath per lagee ga to ye un ko najis kar de ga, or jab is sedhee haath se ye do cheezain najis ho chukain gi to phir is libaas se or koi cheez najis nahi ho sakti. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 119 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: English seat walay toilet per Bethany say shower istamal kartay huay kuch cheentay jism per aajatay hai forexample after urinating ...agar wash kar bhi liyay humay yeh shak hai Kai shayad saray cheentay nhin wash hua...tau ub Kya Kia jaye???
Answer: Agar kise pak cheese k bare me shak ho k najis ho gai hai ya nahi to wo pak hai isi tarh agar kise najis cheese k bare me shak ho k pak hui hai ya nahi to wo najis hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #117 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salaam ji mujhe ye puchna h k agr baccha 1 year ka ho aur uska peshab chadar me lag jae to puri chadar dhona zaruri h ya phr jitni jagah peshab hai sirf utna dho len aur sirf pani se dhoye ya sabun use karna zaruri h plz reply me
Answer: agar kise aise chease ko jo pheshaab se najis hoghai ho qaleel pani (jo kurr pani taqleban 384 litre se kam ho) se dhona ho to is per aik dafa youn pani bahade k pheshaab is chease me baqi na rahe to wo chease pak ho jaay ghe . albatta libass aur badan per 2 dafa pani youn bahana zarori hai taake pak ho jaay laikin jaha tak libaas , qaleen , dari, aur in se milti julti cheaso ka tallaq hai inhe har dafa pani daalne k baad nichoorna zarori hai take ghusala(wo pani jo pani men dalne se us kapre wgera men agaya hai) in me se nikal jaay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #154 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).