Question: Kya har humbistari k bad Bedsheet change karna zaruri he? Agr uspe kuch laga b na ho.. Kya hum dusre din usi bedshet par soye to namaz qubool hogi?
Answer: Agar chadar najis na hoi ho to tabdeel karna zaroori nahi hai. aur namaz ka is se koi taaluq nahin hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah #119). [Updated on 04-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Piles ka khoon paikhana k bad dhonay k bad, ager pani mai red colour hath pr lga nazer aye to kiya wo najis hoga. Kiyun k paikhana k bad khud ko saaf krnay k bad pani paikhana ki jaga sy neechay bhi ajata hai.
Answer: Jee pile ka khone najis hota hay.(Ref: tauzihul masael, maslah#93) [Updated on 27-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum mera sawal ye hain ke agar peshab karne ke waqt maloom no ho ki mani usme me mili hain ya nhi nikal aaye to aadmi pak ho ga ya Nhi?
Answer: Jo ratubat paishab k sath kharij hoti hay osy wadi kaha jata hay or ye mani nahi hoti. Mani uchal ker lazzat k sath kharij hoti hay or is k nikalne k baad badan sust ho jata hay. Is liay aap per ghusl wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,345). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kiya peshab ke bhaap se insan naapak ho jata hae?
Answer: Jee nahin, Peshab ki bhaap pak nahin hai, lekin jis cheez se lage use najis nahin karti.(Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 2, sawaal # 36, pg # 30) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 1. Sex ke baad kisi chiz ko haat lagane se wo chiz napak ho jaati hai? 2. "Sex ke baad gusul lene se pehle kisi chiz ko chuna nahi chahiye varna wo chiz napak ho jayegi" Kya ye sahi baat hai?
Answer: 1: Jee nahin, hath se choone se ya hath lagane se koi cheez najis nahin hoti. aur jis hisse k najis hone ka yaqeen ho ke is hisse men mani lagi hai to sirf wohi hissa najis hoga aur osi hisse ko pak kiya jaiga. lekin baqi hissa pak rahe ga. 2: Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag jay aur dono ya in may say aik is qadar tar (wet) ho k aik ki tari doosri tak pounch jay to pak cheez najis ho jati hay. Aur kapra, ya aisi doosri cheezain tar(wet) ho to in k jis hissay ko najasat lagay gi wo najis ho jay ga or baqi hissa pak rahay ga. (Ref: Ayatllah Seestani(d.b), Tauzeehul masael jamee, Edition# 1435, Mafhoom e Maslah #137,247) & (Ref: Ayatllah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah #119,122) [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Alikum qibla .. mera ye sawal he ki agar sote ya jaagte me mani nikal jaye or shak ho ki kis kis jagah mani lagi he to kya karenge jis jàgah shak he najees heya paas ouse bhi gusl karne se pehls paak karna zaruri he ?
Answer: Jis jagah nijasat lagne ka yaqeen ho sirf us ko paak kar lena kafi hai aur paak karne k baad namaaz perhne k lie ghusal e janabat karna zaroori hai. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #360,119,144,) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa..aitalam walay kapry dhny ky bad agr kapry shookny par dagh nazar ah jhain tw kia ho kapry pak hon gy..
Answer: Agar ain nijasat(maslan mani) baqi nah ho sirf nishan baqi ho tu phir kaprha paak shumaar hoga. (Ref: Ayathllah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 39, Maslah #164). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kapry or mani lagi ho aur go lhusk ho Jay aur os ka koi nishan baki na rahy to kaya asy kapry ko phanny sy namz ho Jay gi.. ¿
Answer: Agar un kapron main mani lagi ho tu sirf khushk hone se pak nahin hon ge, balke un kapron ko pani se paak karna hoga ya tabdeel karna hoga, aur un kapron mai namaz nahi hosakti kyun k mani najis hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 41, maslah #84). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sardiyun mn urine se bhaap ata ho to kiya insan us bhaap se napak ho jata hae?
Answer: Jee nahin, najis(napak) nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Mafhoom e Maslah #80,81,189) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam aleikum, haram prindo ka peshab or nazla najis hai ya pak
Answer: Jin parindo ka gosht haram hai un ka peshaab or fuzlaa paak hai lekin is se parhez behtar hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #82). [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]