Question: agar koi parinda mar jay to uskay pinjray ko hat ya kapra lag Jaya to Kiya Pak Karna paray GA aur gusal Karna paray GA please jaldi batai main buht parayshan hun
Answer: Jee nahin, is se hath ya kapre najis nahin hote aur pak karna bhi zaropori nahi hai aur na hi is se gusl wajib hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Masla #322,343,511). [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar koi parinda mar jay to uskay pinjray ko hat ya kapra lag Jaya to Kiya Pak Karna paray GA aur gusal Karna paray GA please jaldi batai main buht parayshan hun
Answer: Jee nahin, is se hath ya kapre najis nahin hote aur pak karna bhi zaropori nahi hai aur na hi is se gusl wajib hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Masla #322,343,511). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar biwi mani pee jaye to kya nikah toot jata hai
Answer: Insaan ki Mani najis hai aur is ka pina haram hai aur gunah hai. lekin is ke pine se nikah batil nahin hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). (Ref: Nigah aur libas, sawal #106, pg #69). [Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum sir wash basen main hum wazu krty hy waha par hmari bhabi aksar apni beti ki poti peshi dhula daikti hy Kia ye thk hy plz answer dain
Answer: Jee han wash besan me wuzu kia jasakta hai , albatta Agar wash besan najis ho tu us per lagne wale pani ki cheetu se perheez kia jaae . (Ref: Touzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #155). [Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar washroom k c'mod me kuch for jae Jo uthana zaroori ho aur hath pr shopping bag charha kr uthaya jae laikin agar hath bheeg jae us pani me to kia ghusal wajib ho ga ya hum sirf hath ka wo hissa pak kr k wuzu kr k ibadaat anjaam de skte han?
Answer: Faqat hath ka wo hissa jahan najasat lagi ho use pani se pak karna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #154). [Updated on 25-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia napak kapray pehny say gusl wajib hojata hai ??
Answer: Jee nahin, Aisi soorat mai ghusl wajib nahin hota. Han agar najis libas is qadar tar(wet) ho ke us ki tri dosere cheez tak muntaqil ho jaae to is libas ke pehenne ki wajah se badan ka sirf wo hissa najis ho ga jahan nijasat lagi hogi aur baqi badan pak hi rahe ga. aur sirf badan ke us hisse ko pani say pak kiya jaye ga jo najis howa hai. or namaz perhne ke lie badan or libaas ka pak hona zarori hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #119,344,787). [Updated on 14-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koye apna sperm pee Jaye sex KY dauraan tu pr konsa ghusal karna wajab hota ha ayatullah sistani KY hawaly sy... (if some one drink own sperm during sex which ghusal is required to perform)
Answer: Insan ki mani najis hay. aur is ko halaq say nigalna jaiz nahin. aur is se koi ghusl karne ki zaroorat nahin hai or paani se paak kerne ki bhi zarorat nahin hoti. Agar monh ka androni hissa najis ho jaey tu nijasat k door ho janay se monh paak ho jaata hay. aur Do cheezon say insaan mujnib ho jata hay. 1. Jima(intercourse) say or 2. Mani(semen) k nikalnay say, chahay mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. aur namaz aur is jesi dosri ibadat ke liye gusl karna wajib ho jata hai. (Ref: Istiftaat I-2).+ Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), jaame, Edition #1435h, maslah #95,99,233).+ Tauzeeh ul masael, Edition #42, maslah #344). [Updated on 07-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar ethlam hojaye aur mani pent par lgi ho bahir ki taraf nazar arahi ho aur mujhe pata na ho ka wo pant ka hissa jis par mani lagi thi niche charpai ya sofa ko laga hai to kaya wo cheez napak hogi ya pak
Answer: Wo kapra jahan mani lagi hoei hai agar wo kisi cheez ko lage aur ye kapra aur wo cheez in men se koi aik bhi tar(gheeli) ho aur aik ki tari doosri tak muntaqil ho jaye to wo cheez najis ho jaye gi warna nahin, Isi tarah jab tak kisi cheez ke najis hone ka yaqeen na ho tab tak wo pak shumar ki jaye gi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,117,119). [Updated on 25-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa,sir mera question yeh he ke agar wazu karne ke bad pata chale ke badan ke kuch mamolo hise pe khoon laga huwa tha tu kia wazoo batil he?
Answer: Jee nahin, Agar aazae wuzu ke siwa badan ka koi hissa najis ho to wuzu saheeh hai, Albatta namaz se pe us maqam ko pak karna zaroori hai (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42 maslah #276,156). [Updated on 24-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: After urinating, some urine also spreads to the nearby area. Does this part need to be washed twice after removal of najasat or is it okay to wash once?
Answer: 1: Agar badan par nijasat lag jaye to badan ke faqat us hisse ko pak karna zaroori hai jahan nijasat lagi hogi. peshaab ka makhraj ( peshaab nikalne ki jagha ) srif paani ( water ) se pak hote hay or aik dafa dhone se pak hojate hay agarche ehteyaate mustahab (bheter ) ye hay ke do dafa dhohe or afzal ye hay ke teen dafa dhohe albatta peshaab ke makhraj ( peshaab nikalne ki jagha ) ilaawa baqi badan (jisam) ya libaas pe do dafa paani bahana zaroori hai taake woh paak ho jaaye (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #62,119,154,117). [Updated on 11-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]