Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15200
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal hai k bait ul khala m aksr jb paani lotay s daalain to uchal kr jism k hissy p lg jata h.. kiya usk bad kpry tbdeel krna ya nahana wajib hai? Agr wo pani ki cheent qamar k kisi hissy p chli jae to nahana wajib h ga?

Answer: 1: Agar aap ke badan ya libas per nijasat lag gayei ho tu Faqat apne badan ya libas ko pak karna hoga, is ke libas tabdeel karna ya nahana zaroori nahin hai. Agar kisi aisi cheez ko jo peshaab se najis ho gayi ho qaleel paani se dhona maqsood ho to us par aik dafa yoon paani bahaaye ke peshaab us cheez par baaqi na rahe to woh cheez paak ho jaaye gi- Albata libaas ya badan pe do dafa paani bahana zaroori hai taake woh paak ho jaaye laikin jahan tak libaas qaleen dari ya us se milti julti cheezon ka taaluq hai unhein har dafa paani daalne ke baad nichorna chahiye taake ghusala un mein se nikal jaaye-(ghusala ya dhowan us paani ko kehte hain hain jo kisi dhoyi jaane wali cheez se dhulne ke duaraan ya dhul jaane ke baad khud ba khud ya nichorne se nikalta ho)- 2: Agar koi cheez peshaab ke a’lawa kisi aur cheez se najis ho jaaye to najasat door karne ke ba’d ek daf’a qaleel paani oos par daal diya jaaye-jab woh paani beh jaaye to woh cheez paak ho jaati hai-albatta libaas aur oosse milti julti cheezon ko nichodna zaruri hai take oon ka dhowan nikaal diya jaaye. 3:Agar kisi paak cheez k baray me shak ho k najis ho gay he ya nahi to wo paak shumaar hongay.Aur agar is cheez k najis ya paak honay k baray me pata bhi chala sakhtay hoon to tehqeeq zarori nahi he. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,154,156, 117). [Updated on 07-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15338
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia napaki touch hone se pura jism napak Ho jata hai

Answer: Jee nahin, Jab najis cheez aur pak cheez men se dono is qadar tar(gheeli) hon ya in men se aik isqadar tar(gheeli) ho ke aik ki tri dosere tak pouch jaae to faqat jism ka wo hissa napak hoga jahan wo napaki lagi hai, poora jism napak nahin hoga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #119). [Updated on 01-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15341
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia napak Kapra Dhona Sa Banda Napak Hota ha?? Aor Kia Mani SA phla katro k lagna SA kapra napak Hota Han?

Answer: 1: Agar koi shakhs kisi cheez ko paani se dhoe to is ke paak hone par is shakhs ka woh haath bhi paak ho jaataa hai jo is ke saath dhul gaya hai. Isi tarah agar libaas ya is jaisi koi cheez ko qaleel paani se dhoya jaye aur itnaa nichor diya jaaye jitnaa aam taur par nichora jaataa ho takeh jis paani se dhoya gaya hai is ka dhovan nikal jaaye to jo paani is mein rah jaaye woh paak hai. lihaza is se insaan napak nahin hota.bus jisam ke jis hisse me najis cheez ki chethe laghe hay or qaleel pani se us cheez ko pak kia jaraha hay tu faqat utne hisse ko pak kia jaay ga or baqi badan ya jisam najis nahe hoga. 2: Agar wo rutubat (jo mani se pehle nikli ho) men neeche bayan ki gayei 3 alamatain hen to wo mani kay hukum men hogi or wo kapre ko lage gi to kapre men jahan wo rutubat lagi hai wo hissa napak hoga aur agar yeh alamatain na hon to wo mani nahin hogi or kapre ka wo hissa jahan ye rutubat lagi hai wo napak bhi nahin hoga. or wo alamatin yeh hain, 1-wo rutubat shehwat k sath nikly, 2-uchhal kar nikalay, 3-uskay nikalnay k bad badan sust ho jaey lekin beemar insan k liay yeh kukum nahin hay k wo rutubat uchal ker nikalay or badan bhi sust ho jaey balkeh us say sirf shehwat k sath nikalay tab bhi mani shumar hogi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #212,213,119,345). [Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15352
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar pishab krty wqt hath pr ik katra lag jye to kia ghusal wajib ha ?

Answer: agar Aap ke hath per peshaab lag gaya hai tu Faqat apne hath ko pak karen, or is se aap par ghusal wajib nahin hota. Q ke insan do cheezon se mujnib hota hai 1. jima se 2. mani ke kharij hone se aur aap ko is tarah ka masamla paish nahin aaya lehaza aap par ghusl wajib nahin hotaor (badan ya lebaas peshaab se najis ho jaae to use qleel pani se do martaba pak karna zarori hay ).(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,154). [Updated on 30-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15485
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa mujy puchna tha k agar condom use karny se bhi larki k kapre napaak ho jaty hai unhy b chnge krna chiye ya sirf ghusal kar k wahi kapdy pehn sakty hai

Answer: agar kapre per nijasat mani nahe laghe ho tu Kapre change karna zaroori nahin hai, Kapron men jis maqam pe nijasat lagi ho use dho kar paak kiya ja sakta hai or ghusl karne ke bad wohi kapre dobara pehen ja sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #154,155,356) [Updated on 20-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15497
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi haram kam hogya ho or koi wazifa krna ho toh jism say najasat kaisay dur krain k wazifa jo krna Hai wo kam kr Jaye

Answer: 1: Agar nijasat aisi ho ke jise paani se pak kiya ja sakta ho jese ke peshaab, pakhana, ya khoon wagera to paani us par bahane se paak ho jaye ga. 2: Agar badan peshaab se najis ho gaya ho to qaleel paani se do dafa badan par paani bahana zaroori hai taake woh paak ho jaaye. 3: Agar peshaab ke alawa kisi aur cheez se najis ho gaya ho to najasat door karne ke baad aik dafa qaleel paani us par daal diya jaaye jab woh paani beh jaaye to woh cheez paak ho jaati hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #154,156). [Updated on 23-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15746
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aurat ki sharamgah main ungli delaney say ungli najis ho jayegi

Answer: Jab kisi kharji cheez (masalan hath,ungli) ko badan ke androoni hisse mein najaasat e dakhali ( masalan khoon,peshaab .mani) lag jaaye laikin badan se Bahar aane per nijasat aaloda na ho to woh cheez pak hay. (Or agar us cheez ke Bahar aane per wo nijasat aaloda ho tu wo pak nahe hoghe ) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #128). [Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15895
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghar k tiles me bahir ki chappal pehan k Anna aur tiles gandi hojana usk bd aik bar pohchaa mar k namaz parhna. To Kia wo jaga pak kehlaegi ??? Qk bahir fandango me wahi chappl ghr k Andar pehnna ghr k tiles me to wo pak he kehlaengy ??

Answer: Agar yaqeen ho ke chapal najis nahin ya shak ho ke chapal najis thi ya nahin to in dono surton me wo jagah paak hi rahe gi. Bil-farz agar chapal najis thi or is ki wajah se ghar ke tiles najis ho gaye hon tab bhi aik surat me wahan namaz parhi jaa sakti hai aur wo surat ye hai ke agar namaz parhne ki jagah najis ho aur nijasat aisi ho jo namaz ko batil kar daine wali ho to (agar wo nijasat) itni martoob(gheeli) na ho ke us ki rutubat namaz parhne wale ke badan ya libaas tak puhnche (to is surat men bhi namaz parhi jaa sakti hai). Laikin agar sajde main peshaani rakhne ki jagah najis ho to chahe wo khushk bhi ho namaz baatil hai aur Ehtiyat-e-mustahb (yani behtar) hai ke namaz ki jagah bilkul najis na ho. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #115,117, & After Maslah #873). [Updated on 09-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15956
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa Agr bada sham ko شیاطانی ھوجائے kapron ma pir agr use kapre ko kise aur wakt pe jab wo khushk hochuka ho bpehn le to kiya ghussal pir wajib hojaega?? Ya aise kapron ko sote wakt istemal karsakte ha?

Answer: Najis libaas pehenne se ghusl wajib nahin hota, Aur use istemaal bhi kiya jaa sakta hai. Han is baat ka khayal rakhna hoga ke agar najis libaas ya badan dono ya in me se koi aik is qadar tar (wetness) ho ke aik ki tari (wetness) doosre tak puhanch jaye to pak cheez (yani badan) bhi najis ho jayegi or use paak karna parega, Lekin agar najis libaas ya badan dono khushk hon ya in me se koi aik is qadar tar (wetness) nah ho ke aik ki tari (wetness) doosre tak puhanche to pak cheez (yani badan) najis nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #119,344). [Updated on 07-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16929
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar underwear napak hojae to lazim pant bhi napak hogi

Answer: Chunkay underwear aur pant aik sath mili huei hoti hain, is liye pant bhi najis (napak) hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,119). [Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!